Taa-at Ki Haqiqat ALLAH-TA’AALA Ki Maarefat, Khauf-A-Khuda, ALLAH-TA’AALA Se Ummid Aur Har Waqt ALLAH-TA’AALA Ki Taraf Ruju Hona Hain, Wo Banda Jo In Khubiyon Se Khali Hota Hain Wo Imaan Ki Haqiqat Ko Nahi Pa Sakta! Lihaza Ita-at Us Waqt Tak Sahi Nahi Hoti Jabtak Ki Banda ALLAH-TA’AALA Ki Maarefat Aur Us Be-Misl, Be-Misaal Qaadir Wa Khaliq Rabbe Juljalaal Ki Tamaam Sifaton Per Imaan Nahi Lata!
Ek Badhwi Ne Hazrat Mohammad Bin Ali Bin Hussain Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Se Arz Ki, Ki Tumne ALLAH Ko Dekha Hain? Us Ki Ibadat Karte Ho? Aapne Farmaya, Haan! Dekhker Ibadat Karta Hoon! Pucha, Wo Kaise? Aapne Farmaya, Wo Aankhon Ke Noor Se Nahi Dil Ke Idraaq Se Dekha Jata Hain, Use Hawaas Nahi Pa Sakte, Wo Apni Anginat Nishaniyon Se Pehchana Jata Hain, Be-Andaza Ausaaf Se Mausoof Hain! Wo Kisi Per Zulm Nahi Karta, Wo Aasmaan Wa Zameen Ka Maalik Hain Aur Uske Siwa Koi Maa-Budh Nahi Hain! Badhwi Be-Saakhta Keh Utha ALLAH Jaanta Hain Ki Use Kis Gharane May Apna Rasool Bhejna Hain!
(Mukashfatul Kulub, Pg-163)
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021