Islamic Blog

Hazrat Abu Umama (radi allahu anhu) se riwayat karte hai ki hazrat Muhammad (sallallahu alayhiwasallam) ne farmaya “Tahajjud zarur padha karo, kyuyki woh tumse pahle ke logo ki ravish hai aur tumhare liye apne Rab ki nazdiki ka zariya, gunaho ke mitane ka saadhan (aur zyada) gunaho se bachne ka sabab hai.”

Ibn Khuzaima, hadith-1135.

Tahajjud ki namaz ka bahut zyada sawab hai, ye namaz shuru mein farz thi jab 5 time ki namaz farz nahi thi, lekin jab 5 time ki namaz farz ho gai to phir ye farz nahi rahi, ab nafil ho gai hai, lekin ye namaz farz namazo ke baad sabse zyada sawaba waali namaz hai.

Hazrat Muhammad (Sallallahu alayhiwasallam) tahajjud roz ada karte the, iska time isha ki namaz ke baad se lekar fajar ke time se pahle tak rahta hai, isliye agar koi chahe to tahajjud ki namaz isha ki namaz ke baad bhi padh sakta hai, lekin fajar se pahle padhna zyada behtar hai, Hazrat Muhammad (Sallallahu alayhiwasallam) bhi fajar se pahle hi ada kiya karte the.

tahajjud ki namaz ke liye sona zaruri nahi hai. isko 2 rakat se 12 rakat tak padh sakte hain, matalb chaho to 2 rakat padh lo, chaho to 4 ya 6 ya 8 ya 12 padh lo, lekin zyada rakat padhenge utna zyada sawab milega. is namaz ko 2-2 rakat karke padhenge, aur jese aam namaz padhte hain wese hi isko padhenge.

Kuch log aesa bhi karte hain ke isha ki namaz mein jo witar padhi jaati hai usko tahajjud ke baad ada karte hain, lekin humko aesa tab hi karna chahiye, jab humko pakka yakeen ho ke hum tahajjud mein uth kar namaz padhenge, warna kahi aesa na ho ke witar ki namaz rah jaae.

Jab Sehri Khane Utho To Tahajjud Ki Namaz Padh Lo
=======================

Dosto, aam dino mein hum tahajjud ki namaz nahi padh paate. Lekin ramzan mein isko aasani se padh askte hain. Tahajjud ki namaz ka bahut sawab hai. Aur ramzan mein to sawab 70 guna badh jaata hai. Hum sehri khane jis time uth jaate hain use 15-20 minute uth jaaen. Aur 2-2 rakat karke kul 12 rakat namaz nafil tahajjud ki niyat se ada kar len. Aur phir Allah se dua Karen.. Ye time ibadat aur dua ke liye bahut keemti hai.


Theek us hi tarah jab maghrib ki namaz puri kar len to uske baad 2-2 rakat karke kul 6 rakat namaz nafil Awwabin ki bhi padh len, iska bhi bahut sawab hai. Aur ramzan mein to sawab 70 guna badh jaata hai. 21wi shab se ‘shab e qadr’ ki raate shuru ho jaati hain, agar hum ye amal ramzan khatam hone tak karte rahe to insha Allah hamari ye namaze ‘shab e qadr’ ki ibadat mein shaamil ho hi jaengi. Kyonke Maghrib ke baad se lekar fajar ki azan tak shab ek qadr ki raat rahti hai. Allah hum sabko amal karne ki taufik ata kare.

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)