الله أكبر الله أكبر
لا إله إلا الله
الله أكبر الله أكبر
ولله الحمد
Allāhu akbar Allāhu akbar
Laa ilāha illallāh
Wallāhu akbar Allāhu akbar
Wa lillāhil hamd.
Tarjuma :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
ALLĀH sab se bada hai, ALLĀH sab se bada hai,
ALLĀH ke siwa koi ibaadat ke laa’iq nahi,
Aur ALLĀH sab se bada hai, ALLĀH sab se bada hai,
Aur ALLĀH hi ke liye tamaam ta’areefen hai.
*******
Maah e Zil Hijjah me aur khaas kar Ayyaam e Tashreeq me ya’ni 9 Zil Hijjah se 13 Zil Hijjah tak is takbeer ko zyada se zyada padhen. Is ka bahot zyada sawaab hai.
*******
Chand khaas baaten :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) 9 Zil Hijjah ki Fajr se 13 Zil Hijjah ki Asr tak har Farz Namaaz ke baad Takbeer e Tashreeq padhna Waajib hai.
1 baar padhna Waajib hai aur 3 baar padhna Afzal hai.
(2) In dino me Jama’at ke saath namaaz padhne waale ke liye har farz namaaz ke baad Takbeer e Tashreeq padhna Waajib hai.
Tanha namaaz padhne waale ke liye aur Musaafir par Waajib nahi, lekin Mustahab hai.
(3) Mard buland aawaaz se padhen aur Aurten aahista padhen.
**********
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur In baato ko yaad rakhkar amal karne ki aur dusro ko bataane ki taufiq ata farmae.
Aameen.
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021