Islamic Blog

★ Sawaal : Takkabur Kya Hai ?
» Jawaab : Khudko Afzal Aur Dusaro Ko Haqeer
Jaanane Ka Naam Takkabur Hai «
ﻢﯿﺣﺮﻟﺍ ﻦﻤﺣﺮﻟﺍ ﻪﻠﻟﺍ ﻢﺴﺑ
Al-Quraan : Aur Yaad Karo Jab Hum (Allah) Ne
Farisht’aon Ko Hukm Diya Ki Aadam Ko Sajda Karo Toh Sab Ne Sajda Kiya Siwaaye Iblees Ke, Aur Wo
Ghuroor Me Aa Gaya Aur Kaafir Ho Gaya.
(Al-Bakrah, 34 – Kanzool Imaan)
∗ Hadees : Nabi-E-Kareem (Sallallahu Alaihi
Wasallam) Farmaate Hai Ke, “Takabbur Haq Ki
Mukhaalifat Aur Logon Ko Haqeer Jaan’ne Ka Naam Hai”.
(Sahih Muslim , Kitab-Ul-Imaan , Baab : Tahrim-Ul-
Kabir Hadith No-91)
∗ Takkabur Se Apne Nafs Ki Pakizagi Na Jataya
Karo,
Jo Parhezgar Hain Usko ALLAH Khoob Jaanta Hai. (Muslim Sharif)
∗ Wo Shaksh Kis Tarha Takabur Kar Sakta Hai, Jo
Mitti Se Bana Ho,
Mitti Me Milne Wala Ho Aur Mitti Me Keede-Makore Ki
Gizah Ban’ne Wala Ho.
Hazrat Abu’bakar(Radhi Allahu Ta’ala Anhu)

mm
Latest posts by Færhæn Ahmæd (see all)