Taleem har insaan chahay wo ameer ho ya ghareeb, mard ho ya aurat ki bunyaadi zarooriyaat mai say ek hai. Ye har insaan ka haq hai jo koi usay nahe cheen sakta. Insaan aur haiwaan mai farq taleem he ki badulat hai. Ye kici bhe muaashray ya qaum kay lye taraqi ki zamant hai. Taleem he qaumon ki taraqi aur zawaal ki waja bnti hain. Taleem haasil karnay ka matlab sirf school, college ya university say koi degree lena nahe balkay eskay saath tameez aur tehzeeb seekhna bhe hai takay insaan apni muaasharti riwayaat aur iqdaar ka paas rakh sakay. Taleem insaan ka kirdaar bhe sanwaarti hai. Taleem ek aici dolat hai jo baant’nay say kum nahe balkay barhti hai. Insaan ko “ashraf ul makhlooqaat” ka darja bhe sirf taleem ki waja say mila.
Dunya kay tmaam mazahib mai taleem ko khaas ehmiyat haasil hai. Islam mai taleem haasil kana har musalmaan par farz hai. ALLAH nay ye kaainaat bhe es lye bnaai takay insaan taleem kay zariyay eskay poshida raaz pehchanay sakay aur Uski maarfut haasil kar kay Usko pehchaan sakay. ALLAH nay he insaan ko dunya ki tmaam cheezon par foqiyat di aur sub cheezon ko uskay matehet kiya kyun kay wo taleem ki waja say en sub say a’ala hai. Nabi S.A.W.W nay farmaya “Taleem haasil karo beshak es kay lye tmhe cheen (china) he jana paray”. Nabi S.A.W.W apnay Sahaaba R.A ko parhnay ki talqeen kartay kyun kay Nabi S.A.W.W khud parhna likhna nahe jaantay thay aur tmaam ahaadith Sahaaba R.A say likhwatay thay. Islam mai taleem ko lazim qaraar diya gaya takay insaan apna aap aur Khuda e wahid ko pehchaan sakay.
Maghrib ki taraki ka raaz bhe yhe hai kay un logon nay taleem ko ehmiyat di aur taleem haasil karnay kay lye har mumkin koshish ki aur dunya ko taleem kay bul par fatah kiya. Maghrib ki kaamyabi aur mashriq kay zawaal ki waja bhe taleem ka na hona hai. Dunya kay wo mulk jnki economy tabaah ho chuki hai jo dunya ki bhari taakaton par depend kartay hain unka defense budget tau arbon rupay ka hai par taleemi budget na honay kay barabar. Jahan ghareeb awaam kay lye taleem haasil karna na mumkin hai kyun kay taleem unki puhnch mai nahe! Kya ek mulk jski 50% say zyaada abaadi unparh ho par uskay paas jadeed hathyaar hon taraki kar skta hai? Jub tuk ye mulk taleem ki ehmiyat ko nahe samjhein gay maghrib ka muqabla nahe kar skein gay!
Ye hakoomat aur hukmaraanon ka farz hai kay wo apnay logon kay lye aisay mawakay muyasar karay kay ameer logon kay saath ghareeb log bhe taleem say istifaada kar skein. Jub tak taleem ka myaar acha nahe hoga tub tak muaashra takaraqi ki manzil tay nahe kar sakta. Es taleem kay saath deen ki taleem bhe zaroori hai takay insaan apnay Khuda say bhe taa’luq barqaraar rakh sakay. Taleem ki ehmiyat janay bghair insaan hamesha pasti mai rahay ga, beshak jaahiliyat Khuda ki lanat hai!
Source:http://muslim-academy.com/taleem-ki-ehmiyat/
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017