Hazrat Kasir Ibne Kaiss Radhi Allahu Ta’ala Anhu ne farmaya ki me Hazrat Abu Darda Radhi Allahu Ta’ala Anhu ke saath Damishk ki masjid me baitha tha toh ek aadmi ne aakar kaha ki Abu Darda beshak me RASOOL ALLAH SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ke sahar madina tayyaba se yeh sunkar aaya hu ki aap ke paas koi hadees hai jise aap RASOOL ALLAH SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM se riwayat karte hai aur me kisi dushre kaam ke liye nahi aaya hu
Hazrat Abu Darda ne kaha ke mene RASOOL E KARIM ALAIHISALATU WASALLAM ko farmate huye suna hai ki jo shaks Ilm (deen) haasil karne ke liye safar karta hai toh KHUDA E TA’ALA use jannat ke raasto mese ek raasta pe chalata hai taalib e ilm ki khushi haasil karne ke liye farishte apne paro ko bicha dete hai aur har woh cheez jo aashman wa zamin me hai yaha tak ki machliya paani ke andar aalim ke liye bakshish ki dua karti hai aur aalim ki badhai ibaadat karne wale par aisi hai jaisi 14vi raat ke chand ki badhai taaro par. Aur aalim nabiyo ke waaris hai,nabiyo ki warasat maal wa doulat nahi. Unhone warasat me sirf ilm chora hai toh jis ne use haasil kiya usne pura hissa paaya
(Tirmizi Sharif)
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017