Islamic Blog

Dunya mein jo kuchh hota hai aur bande jo
kuchh bhala’ee ya bura’ee karte hain Allah
taala ne use apne ilm ke mutabiq pehle se
likh diya hai usi ko taqdeer kehte hain. Ye
haq hai aur is par imaan laana zaruri
hai.aur is ka inkaar karne wala gumraah
bad’mazhab hai.

Lekin koi ye khayal na kare ki Allah taala
ne hamari taqdeer mein jaisa likh diya hai
hame majbooran waisa hi karna padhta
hai.Sahi baat ye hai ki ham jaisa karne
wale the, Allah taala ne apne ilm se waisa
hi likh diya.agar kisi ki taqdeer mein
bura’ee likhi to is liye ki woh apne ekhtiyar
se bura’ee karne wala tha agar woh
bhala’ee karne wala hota to Allah taala uski
taqdeer me bhala’ee likhta.khulasa ye hai ki
Allah taala ke likh dene se banda kisi kaam
ke karne par majboor nahi kiya gaya.
Taqdeer ka pehle se likha jaana haq hai aur
is par imaan laana zaruri hai.Huzur ﷺ ne
irshad farmaya ki:

ﻻَ ﻳُﺆْﻣِﻦُ ﻋَﺒْﺪٌ ﺣَﺘَّﻰ ﻳُﺆْﻣِﻦَ ﺑِﺄَﺭْﺑَﻊٍ :
ﺑِﺎﻟﻠَّﻪِ ﻭَﺣْﺪَﻩُ ﻻَ ﺷَﺮِﻳﻚَ ﻟَﻪُ ، ﻭَﺃَﻧِّﻲ
ﺭَﺳُﻮﻝُ ﺍﻟﻠﻪِ ، ﻭَﺍﻟْﺒَﻌْﺚِ ﺑَﻌْﺪَ ﺍﻟْﻤَﻮْﺕِ ،
ﻭَﺍﻟْﻘَﺪَﺭ

TARJAMA: Koi banda momin nahi ho sakta
jab tak ki woh chaar(4)baaton par imaan
na le aaye.
(1)Allah par jis ka koi shareek
nahi hai.
(2)Aur ye ki beshak main Allah ka
Rasool hu.
(3)Marne ke baad dobarah zinda
kiye jaane par.
(4)Aur taqdeer par.[Ibn-e-
Majah , Hadith No. 81]

FAAIDA: Taqdeer ke mas’ale mein bahas
karna aur us ke bare mein zyada gaur-o-
fikr karna mana hai kyunki is ki wajah se
gumrah hone ka andesha hai.Isi liye jab
huzur ne ek baar sahaba ko is mas’ale
mein bahas karte hue dekha to Aap ﷺ bahut
naa’raaz hue , Hazrate Amar bin shu’aib
radhi allaho anho bayan karte hain ki Aap ﷺ
ka chehra-e-aqdas gusse se itna surkh
hogaya ki maloom padhta tha ki aap ke
chehre me anaar ka daana nichod diya
gaya hai.
[Ibn-e-Majah ,Hadith No:85]

Ek dusri hadis me hai ki: Huzur ﷺ ne irshad
farmaya ki jis ne taqdeer ke bare me bahas
kiya us se us ke bare mein Qayamat ke din
sawal kiya jaayega aur jis ne bahas nahi
kiya us se us ke baare mein puchha
jaayega.
[Ibn-e-majah,hadith No:84]

Is liye hame bas itna yaqeen rakhna
chahiye ki ye haq hai aur us ke bare me
bahas karne se bachna chahiye .Aur ye
soch kar na baith jaana chahiye ki jo likha
hai woh to ho kar rahega phir ham kyun
mehnat wa mushaqqat kare.Balki taqdeer
par yaqeen rakhne ke saath amal bhi kare .
Kyunki hame isi ka hukm diya gaya hai.

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm