Islamic Blog

Sawaal – Bahot Se Log Ae’teraaz Karte Hai Ke Jab Hum Khud Qur’aan Wa Hadees Padh Sakte Hai Aur Qur’aan Wa Ahadees Se Apne Masle Ka Hal Dariyaaft Kar Sakte Hai To Phir Hume Mujtahideen Ki Taqleed Ki Kya Zaroorat?
*Jawaab* – Agar Kisi Ko Uloom e Qur’aan Wa Uloom e Hadees Me Itni Hi Nazar Ho To Phir Woh Shakhs Khud Mujtahid Hai Aur Use Waaqeyi Kisi Ki Taqleed Ki Zaroorat Nahi, Kyunke Agar Koi Qur’aan Me Naasikh Wa Mansookh, Mohkam Wa Mutashaabeh, Mutlaq Wa Mashroot Aayaat, Lugaat e Arab Ka A’alim Ho Aur Ahaadees Ke Mandarja Zail Uloom Ka Maahir Ho To Waaqe’an Uss Par Taqleed Saaqit Hi Ho Jaayegi Aur Woh Uloom e Ahaadees Darja Zail Hai Jinko Mujtahid Banne Keliye Haasil Karna Zaroori Hai.
(1) Mohaddis Ki Sadaaqat Ka Ilm
(2) Isnaad e Hadees Ka Ilm
(3) Hadees e A’ali Ka Ilm
(4) Hadees e Naazil Ka Ilm
(5) Riwaayaat e Mauqoofa Ka Ilm
(6) Un Isnaad Ka Ilm Jiski Sanad Paigambar e Islam Alaihissalaam Se Zikr Na Ho
(7) Sahaaba Ke Maraatib Ka Ilm
(8) Ahaadees e Mursala Aur Unke Silsile Me Pesh Ki Jaane Waali Deleelo Ki Ma’refat
(9) Taaba’een Se Naqal Ki Gayi Ahaadees Ka Ilm
(10) Isnaad e Musalsal Ka Ilm
(11) Ahaadees e Mo’an’ana Ka Ilm
(12) Riwaayaat e Mo’zal Ka Ilm
(13) Ahaadees e Mudarraj Ki Pehchaan
(14) Taaba’een Ki Shanaakht Ka Ilm
(15) Tab’a Taaba’een Ki Ma’refat
(16) Akaabir Wa Asaagir Ki Ma’refat
(17) Aulaad e Ashaab Ka Ilm
(18) Jarah Wa Ta’deel Ka Ilm
(19) Sahih Wa Saqeem Ki Pehchaan
(20) Fiqhul Hadees Ka Ilm
(21) Naasikh Wa Mansookh Ahaadees Ka Ilm
(22) Matan Me Gareeb (Na Maanoos) Alfaaz Iste’maal Ho Unka Ilm
(23) Ahaadees e Mash’hoor Ka Ilm
(24) Gareeb Aur Na Maanoos Ahaadees Ka Ilm
(25) Ahaadees e Mufrad Ka Ilm
(26) Un Logo Ki Ma’refat Jo Hadees Me Tadlees Kar Dete Hai
(27) Hadees Ki Illato Ka Pechaanna
(28) Shaaz Riwaayaat Ka Ilm
(29) Paigambar Alaihissalaam Ki Un Hadeeso Ko Jaanchna Jo Doosri Ahadees Se Mu’aariz Na Ho
(30) Un Hadeeso Ki Ma’refat Jinka Koi Rukh Kisi Rukh Se Mu’aariz Na Ho
(31) Ahaadees Me Alfaaz e Zaayed Ki Ma’refat
(32) Mohaddiseen Ke Mazhab Ki Ittel’a
(33) Mutoon Ki Tehreeri Galtiyo Se Aagaahi
(34) Muzaakra e Hadees Ka Jaanchna Aur Muzaakra Karte Huwe Raastago Ki Ma’refat
(35) Isnaad Me Mohaddiseen Ki Tehreeri Galtiyo Ki Ittel’a
(36) Sahaaba, Taaba’een Aur Unke Bhaaio Behno Ki Asre Haazir Tak Ma’refat
(37) Un Sahaaba, Taaba’een, Tab’a Taaba’een Ki Ma’refat Jin Me Se Bas Ek Raawi Ne Riwaayat Ki Ho
(38) Un Sahaaba, Taaba’een Aur Unke Maanne Wale Me Se Jo Raawi Hai Asre Haazir Tak Unke Qabaail Ki Ma’refat
(39) Sahaaba Se Asre Haazir Tak Ke Mohaddiseen Ke Ansaab (Nasab) Ka Ilm
(40) Mohaddiseen Ke Naamo Ka Ilm
(41) Sahaaba, Taaba’een, Tab’a Taaba’een Aur Asre Haazir Tak Unke Maanne Walo Ki Niyat Ko Jaanna
(42) Rawaayaan e Ahaadees Ke Watan Ki Pehchaan
(43) Sahaaba, Taaba’een, Tab’a Taaba’een Ki Aulaad Aur Unke Gulaamo Ki Ma’refat
(44) Mohaddiseen Ki Umar Ki Ittel’a, Wilaadat Se Wafaat Tak
(45) Mohaddiseen Ke Alqaabaat Ki Ma’refat
(46) Un Raawiyo Ki Ma’refat Jo Ek Doosre Se Qareeb Hai
(47) Raawiyo Ke Qabaail, Watan, Naam, Kunniyat Aur Unke Pesho Me Mutashaabehaat Ki Pehchaan
(48) Gazwaat e Paigambar Alaihissalaam Ke Un Khutoot Wagaira Ka Ilm Jo Unhone Baadshaaho Ko Tehreer Farmaaye
(49) Mohaddiseen Ne Apni Kitaabo Me Jin Abwaab Ko Jama Kiya Hai Unki Ma’refat Ka Ilm Aur Iss Baat Ki Justuju Ke Un Me Se Konsa Hissa Zaaye Hogaya Hai
(50) Iske Alaawa *Ahaadees Ki Mandarja Zail Aqsaam Ka Bhi Ilm Hona Chaahiye*
(1) Saheeh
(2) Hasan
(3) Za’eef
(4) Musnad
(5) Muttasil
(6) Marfu
(7) Mauqoof
(8) Maqtu
(9) Mursal
(10) Mo’zal
(11) Tadlees
(12) Shaaz
(13) Gareeb
(14) Mo’an’an
(15) Mo’allaq
(16) Mufrad
(17) Mudarraj
(18) Mashoor
(19) Mus’haf
(20) A’ali
(21) Naazil
(22) Musalsal
(23) Ma’roof
(24) Munkar
(25) Mazeed
(26) Naasikh
(27) Mansookh
(28) Maqbool
(29) Mushkil
(30) Mushtarak
(31) Motalif
(32) Mukhtalif
(33) Matrooh
(34) Matrook
(35) Mo’awwal
(36) Mubeen
(37) Mujmal
(38) Mo’allal
(39) Muztarib
(40) Mohmal
(41) Majhool
(42) Mozu
(43) Maqloob
(44) Hadees e Maasoor
(45) Qudsi
(46) Azeez
(47) Zaayedus Siqah
(48) Mausooq
(49) Mutawaatir
*Ab Agar Koi Shakhs Taqleed Na Karna Chaahe To Theek Hai*
Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)