Islamic Blog

HADEES:-
*********
Hazrat Ibne Abbas Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Se Marwi Hain Ki Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Farmaya, Jab Banda Tauba Karta Hain, ALLAH-TA’AALA Uski Tauba Kubul Kerleta Hain! Muhafiz Farishte Uske Pichle Gunahon Ko Bhool Jate Hain! Uske Aaza-A-Jismaani Uski Galtiyon Ko Bhool Jate Hain, Zameen Ka Wo Tukda Jisper Usne Gunah Kiya Hain Aur Aasmaan Ka Wo Hissa Jiske Niche Usne Gunah Kiya Hain Uske Gunahon Ko Bhool Jate Hain! Jab Wo Qayamat Ke Din Aayega To Uske Gunahon Per Gawahi Dene Wala Koi Nahi Hoga!

“SUBHANALLAH”

(Mukashfatul Kulub, Pg-125)

*********************************

HADEES:-
*********
Hazrat Ali Karmallahu Ta’aala Wajhhul Karim Se Marwi Hain, Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Farmaya Ki Makhluk Ki Paidayish Se 4 Hazaar Saal Pehle Arsh Ke Charon Taraf Likh Diya Gaya Tha Ki-

“Jisne Tauba Ki Aur Imaan Laya Aur Nek Amal Kiye, Main Use Bakshne Wala Hoon!”

Chote Aur Bade Tamaam Gunahon Se Tauba Farz-A-Ain Hain, Kyonki Chote Gunahon Per Israar Uneh Bade Gunah Bana Deta Hain!

(Mukashfatul Kulub, Pg-125)

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm