Islamic Blog

Humne Ibrahim Aalaihi – salaam aur Ismail Aalaihi-salaam se wadah liya ke tum mere ghar ko Tawaaf karne walon aur Aitekaaf karne walon aur Ruku Sujood karne walon ke liye paak saaf rakho.

{ Al-Quraan, Surah-No- 02, Surah-Tul-Baqra, Aayat-No : 125 }

Abu-Huraira {Radi Allahu ‘Anhu} se rivayat hai ki *Rasool-Allah Sallallahu Alaihe Wasallam* ne farmaya Qayamat na qayam hogi yahan tak ki Qibla-e-Doos ki Auraton (womens) ke sareen hilenge Zil-khalsah ke gird [ yani wo Tawaaf karengi iska ] Zawaalkhalsah ek Boot tha jisko Qibla-e-Doos jahiliyat ke zamane me puja karte the.

{ Sahih-Bukhari, Vol-no: 8, Book: 93(Kitab-ul-Fitan), Hadees-no: 7116 }

{ Sahih-Muslim, Vol-no: 6, Book: (Kitab-ul-Fitan), Hadees-no: 7298 }

*FAIDAH*

Arab me ek qaoom thi jisko Qibla-e-Doos kaha jata tha, Jahiliyat me iska ek Boot tha jisko Zawaalkhalsah kaha jata tha, Ahhad-e-Risalat me isko toord diya gaya tha, *Aap Sallallaahu Alaihe Wasallam* ne peshangoi ki ke qayamat ke qareeb log is Boot ko phir manne lagenge aur Qibla-e-Doos ki Auratein (womens) iska phir Tawaaf karengi, *Maloom hua ke Khana-e-Kaba ke siwa aur kisi Qabar, jhande, Boot, Murti, Darkht ka Tawaaf karna Jayaz nahi.*

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)