Islamic Blog

*1 – Jaam’e Tirmizi, Hadees No.3528*
Tarjumah – “Rasoolullah ﷺ Ne Farmaaya Ke Jab Tum Me Se Koi Nee’nd Me Darr Jaaye To Yeh Du’aa Padhe
“أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ مِنْ غَضَبِهِ وَعِقَابِهِ وَشَرِّ عِبَادِهِ وَمِنْ هَمَزَاتِ الشَّيَاطِينِ وَأَنْ يَحْضُرُون”
Tarjumah – Mai’n Panaah Maa’ngta Hoo’n Allah Ke Kaamil Wa Jaam’e Kalmo’n Ke Zariye Allah Ke Gazab, Allah Ke Azaab Aur Allah Ke Bando’n Ke Sharr Wa Fasaad Aur Shayaateen Ke Waswaso’n Se Aur Iss Baat Se Ke Woh Humaare Pass Aaye’n.
Yeh Du’aa Padhne Se Pareshaan Kun Khwaab Usko Kuchh Nuqsaan Nahi Paho’ncha Sakega.
Hazrate Abdullah Bin Umar Radiallahu Anhu Apne Baalig Bachcho’n Ko Yeh Du’aa Sikha Dete The Aur Jo Bachche Na Baalig Hote The Unke Liye Yeh Du’aa Kaagaz Pe Likh Kar Unke Gale Me Latka Dete The”.
Imaam Tirmizi Rahmatullah Alaih Kehte Hai’n Ke Yeh Hadees Hasan Gareeb Hai. (Matlab Yeh Hadees Qaabil e Qabool Hai)
Iss Hadees Ko Aur Kitne Mohaddiseen Ne Likha Hai Post Ke Aakhir Me Mulaaheza Farmaaye’n
*2 – Gunyatut Taalibeen, Safha No.130*
Me Gause A’azam Shykh Abdul Qaadir Jilaani Rehmatullah Alaih Likhte Hai’n.
*Bukhar Ka Ta’weez* :-
Neeche Di Huwi Du’aa Likh Kar Aur Ta’weez Banaakar Bukhaar Waale Ki Gardan Me Daaldo, Imaam Ahmad Bin Humble Rehmatullah Alaih Farmaate Hai’n Ke Mujhe Bukhaar Huwa To Yeh Du’aa Likh Kar Di Gayi,
Tarjuma – Allah Ke Naam Se Jo Bada Maherbaan Nihaayat Rahem Karne Waala Hai, Allah Ke Naam Ki Barkat Se, Mohammad Allah Ke Rasool Hai’n, Aye Aag Ibraaheem Par Thandi Aur Salaamati Waali Hoja, Unhone Ibraaheem Ke Saath Tadbeer Ki Lekin Humne Unhe’n Nuqsaan Uthaane Waala Bana Diya, Aye Jibrail, Meekaa’il Aur Israafeel Ke Rab, Apni Qudrat e Kaamela Se Iss Sahib e Ta’weez Ko Shifa Bakhsh, Tu Hi Sabse Badh Kar Rahem Karne Waala Hai.
*3 – Fathul Baari Sharah Sahih Bukhaari, Jild No.10, Safha No.196*
Me Imaam Ibne Hajar Askalaani Rehmatullah Alaih Likhte Hai’n.
Tarjumah – “Tamaa’im Tameemah Ki Jama Hai, Isse Muraad Woh Daane Aur Maale Hai’n Jo Gale Me Latkaaye Jaate Hai’n, Ahle Arab Zamaana e Jaahiliyat Me Aqeedah Rakhte The Ke Yeh Tameemah Aafaat Ko Dafa Karte Hai’n.
Imaam Ibne Hajar Askalaani Rehmatullah Alaih Ki Iss Wazaahat Se Yeh Saaf Hogaya Ke Jo Hadees Me “Tameemah Ko Shirk Kaha Gaya Hai” Woh Qur’aani Ya Du’aa’iyah Ta’weez Nahi Balke Mushriko Ke Daane Aur Maale Wagaira Hai.
Qur’aani Ta’weez Pahenna Bilkul Jaiz Hai Balke Sahaabi Ki Sunnat Hai.
Hazrate Abdullah Bin Umar Radiallahu Anhu Waali Hadees Ke Hawaale Mulaaheza Farmaaye’n
*1- Jaam’e Tirmizi, Hadees No.3528*
*2 – Masnade Ahmad Bin Humble, Hadees No. 6696*
3 – Imaam Ibne Abi Shayba (Ustaad Of Imaam Bukhaari, Muslim & Abu Daawood) *Al-Musannaf, Hadees No. 2413*
*4 – Imaam Daarmi, Al Raddu Ala Jaheemiya, Safa No. 150*
*5 – Imaam Bukhaari, Khuliki Afa’alu Ibaad, Safha No. 89*
*6 – Sunan e Abu Daawood, Hadees No.3893*
*7 – Imaam Tabraani, Ad-Du’aa, Hadees No.1086* .
*8 – Imaam Haakim, Al-Mustadrak, Jild No. 1, Safha 733, Hadees No. 2010.*
*9 – Imaam Baiheqi, Kitaabul Aadaab, Safha No.893*
*10 – Imaam Baiheqi, Al Isma Wassifaat, Hadees No.4407*
*11 – Khateeb Tabrezi, Mishqaatul Masaabih, Hadees No.2477*
*12 – Imaam Munzari, At Targeeb Wat Tarheeb, Hadees No.2496*
*13 – Imaam Nawvi, Al-Azkaar, Hadees No.354*
Wahabio Ke Molvio Ne Bhi Iss Hadees Ko Likha Hai
*1 – Allama Zehbi, At-Tibbun Nabi, Safha No.281* .
*2 – Ibne Taimiyah, Al Kalimut Tayyib, Safha No.32, Hadees No.48.*
*3 – Ibne Kaseer, Tafseer Ibne Kaseer, Sureh Momin, Safha No.97.*
*4 – Ibne Qayyim Jauzia, Ja’adul Maad, Jild No.4, Safha No.290*
*5 – Naasiruddin Albaani, Sahi Sunan e Tirmizi, Hadees 2793*
Iss Post Ko Zyaadah Se Zyaadah Share Kijiye Taake Logo’n Tak Sahih Deen Paho’nch Sake.
Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)