Islamic Blog

Taziyadari umuman Hazrat Imam Hussain A.S. ki yaadgar hai, magar yaadgar ka sirf yahi matlab nahi ki hamare Imam shaheed ho gaye the, balke iska ek aham maqsad hai, jo kabhi bhi bhulaya nahi ja sakta. Kyunki shaheed to aur bhi Hazraat hue hain jinki shahadatein bhi badi dardnak thi, lekin un shahidon ke na taziye aur na koi yaume majlis manai jati hai, jaise dekhiye Hazrat Amir Hamza R.A.A. ki shahadat se goya Huzur SAW ka dahina bazu shahid ho gaya, aur lashe Hamza R.A.A. ki wo insaniyat soz behurmati ki gayi ki farishte bhi cheekh uthe. Yani Abu Sufian ki biwi “Hinda“ aur Yazeed laeen ki dadi ne Hazrat Hamza R.A.A. k naak, kaan, dil, gurda, kaleja, fefda sab lashe Mubarak se nikal liya aur kaleja chabaya aur kate hue aaza ka haar banakar apne gale me pahen kar, sharab pee kar madmasti me jashn manaya. Phir Badr aur Ohad me bahut se logo’n ne apni shahadate pesh ki. Phir dekhiye Karbala me 6 mah ke Ali Asgar aur Kufa me Hazrat Muslim ke dono sahabzado’n ki dardnak shahadat hui.

Ali Asgar to bawaqte shahadat apne walid k god me the, jab halaq par teer laga to baap ne kaleje se laga liya aur lashe athar ko chumkar pyar ka izhar kiya magar Hazrat Muslim k bachhe apne baap se bichhad kar khajur k khokhle tane ko hi agoshe pidar samjhe, aur shahadat k bad koi kaleje se lagane wala na tha, sirf dono masoom lashen ek doosre se bagalgeer hokar dariya me bahti chali gayi’n. Is se bakhubi pata chalta hai ki Hazrat Imam e Aali maqam aur Karbala walon ki shahadaton k sath sath dusro’n ki bhi dardnak shahadatein hui hai’n, lekin unki yaad awri me taziye nahi banaye jate, sirf Hazrat Imam Hussain A.S. ki yaadawri me taziadari hoti hai. Jiska zikr kitabo’n me bhi hai aur bahut se buzurgane deen ne hamesha taziyadari ki hai. Iska hasil maqsad ye hai ki tazia na sirf shahadat ki nishani hai aur na mahaz gham o matam ki nishani hai balke ye ummate Mohammadiya k liye ek raazdar amanat hai, jisko Hazrat Imam Hussain A.S. ne “Harfe Akhir“ farmaya hai. “Halmin Naserin Yansurna”, yani jab sar tan se juda ho raha tha to zabane paak se ye sada aa rahi thi k  hai koi ummati jo is amanat ko sambhale, wo meri madad me aye, yani Hazrat Imam Hussain A.S. ki shahadat se ummate Mohammadiya ko ek nayee zindagi ki amanat mili. Chunki Yazeed ki khilafat me ummat halaq ho chuki thi, yani Huzur SAW ne jis kufr o jahalat ko khatm karke insaniyat ko nayi zindagi bakhshi thi magar jab Maviya badshah ban gaye to Banu Umaiyya ki Bani Haashim se purani dushmani ke jazbe par apne daure hukumat me amal kiya aur apne bete Yazeed ko apna janasheen muqarrar karke uski maqbooliyat k liye tayeedi vot aur mardum shumari karne lage, take musalman Yazeed ko Maviya ka janasheen tasleem kar lei’n. Hasil kalam ye ki, Huzur SAW ka mansobaye rehmat aur ilme hayatunnabi ki amanat Hazrat Imam Hussain A.S. par munhasir thi aur Yazeed aur uske hamnawaon ka mansuba aisho israt par munassir tha. Jaisa ki Yazeed ne khud chand ashaar padh kar zahir kiya hai jabki Hazrat Imam Hussain A.S. ka Sar e Mubarak Damishq pahunchaya gaya to Yazeed Layeen ne Sar e Mubarak par chhadi se chot karke ye ashar padhe ( tarjuma) –

  1. Kash mere buzurg Utba, Shaiba, Abu Jahal, Walid bin Utba jo jang e Badr me mare gaye aaj maujood hote, 2. To wo khush hokar mujhe sabash kehte ke, 3. Maine kaisa achha badla le liya k aale Banu Haashim ko qatl kiya, 4. Beshak mai Utba ki nasl me shumar na hota k Mohammad  SAW jo kar gaye agar uska inteqam na le leta, 5. Darasal Banu Haashim ne mulkgiri k ye dhakosle nikale the ki mai Nabi hun warna naahi koi farishta ya aur naahi koi wahi nazil hui, ye mahaz fareb tha – – – – – – – – – –

Ye the Yazeed layeen ke khayalat aur uska imaan

Dar asal jange badr me Abu Sufiyan ki taraf se Utba, Shaiba, Abu Jahal, Walid bin Utba ne Huzur SAW ko challenge kiya. Un kafiron k muqable me  Huzur SAW ki janib se Hazrat Ubeida, Hazrat Amir Hamza aur Hazrat Ali Murtaza A.S. khade hue. Pehla shaksh Utba qatl kiya gaya, uske baad doosre, shaiba, abu jahal aur walid bin utba bhi qatl kar diye gaye aur Huzur SAW ki taraf se unke chachazad bhai Haz Ubeida bin Haaris shahid huye.

Hazrat  Amir Hamza R.A.A. aur Hazrat Ali A.S. ne baki aur choudah logon ko qatl karke kamyabi ka jhanda phahra diya.

Pas sare Arab aur ajam me jang e Badr aur Banu Haashim ki shohrat ki dhoom mach gayi aur Banu Umaiyya ne Badr ki shikast ko apna azeem hadsa samajh kar apne dilo’n me inteqami girah bandh li aur sharm se idhar udhar muh chhupate phirte rahe. Banu Umaiyya ki isi inteqami girah ko Yazeed ne upar likhe hue ashaar padhkar zahir kiya hai ki usne inteqam le liya.

Ab nazreene karaam bakhubi samajh sakte hain ki Banu umaiyya ka mansuba jisko Yazeed layeen ne zahir kiya – Phir kya wo log Islam ko mante the ? Jabke saaf sabit hai k wo log na Huzur SAW ko apna mazhabi rahnuma mante the aur na Quran ko.

Jange badr ka inteqam lena aur apni hukumat qayam kar ke  aisho ishrat karna hi apna mazhab samajhte the isliye waqaye Karbala par Hazrat Imam Hussain A.S. ke Sar e Mubarak ke samne apne inteqam aur apni hukumat par fakhr karte the.

 

Contd…. ( part – 2 )

Via:facebook

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm