Islam mein zindagi ki har baat ko saaf tor par bataya gaya hai, kese khana chahiye, kese nahana chahiye, kese chalna chahiye, kese bethna chahiye, matlab jeene se lekar marne tak ki har baat ko kese karna hai bataya gaya hai. Wese hi toilet jaane ka tarika bhi bataya gaya hai.
Insan din bhar sawab kese kaame? Wo din bhar namaz, ya quran shareef nahi padh sakta, isliye agar insan zindagi ke roz-marra ke kaam hamare pyare nabi hazrat Muhammad (sallallahu alayhiwasallam) ke sunnat tariko se karega to har kaam mein sawab milega, chahe wo khana ho ya peena, nahana ho ya sona, jo bhi kaam sunnat ke hisab se kiya jaega, har kaam par sawab milega, wese hi toilet ka bhi sunnat tarika hai.
peshab karne ke baad paaki haasil karna =
• paaki haasil karne ke liye mitti ka dhela ya paani dono ka istemal behtar hai varna sirf paani bhi kaafi hai. (Bukhari, muslim, tirmizi)
• Juta/Chappal pahan kar, sar dhaak kar andar jaaiye
( ibne saad )
• Toilet jaane se pahle ye dua padhiye (Bismillahi, Alla humma inni aauzu bika minal khubusi wal khabaais” (Tirmizi Shareef)
• Andar jaate time left per pahle andar rakhe (Ibne Maja) aur bahr nikalte time Right per pahle bahar nikale
• Jab kapda khola to sirf utna khole jitna zarurat hai
( abu daud, tirmizi)
• Anguthi ya kisi bhi cheez par quran ki ayat ya Allah ya pyare nabi (Sallallhu alyhiwasallam) ka naam likha hai to wo bahar hi rakh kar jaaiye (Nasi Shareef)
Note: Agar taabiz mom-zaama kiya hua hai to pahan kar ja sakte hain.
• Toilet mein is tarah bethe ke kaaba ki taraf na muh ho na peeth
(Tirmizi Sharif)
• toilet se bahar aakar ye dua padhiye (Gufranaka, Alhamdu lillahil lazi azhab annil aza wa afani)
Allah hum sabko sunnato par amal karne ki taufi ata kare, aameen.
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021