SAWAL : Jab Hazrat Nooh (Aalaihissalam)ne Kashti me “Sher” ko dakhil kiya to logon ne unse kiya kaha tha?
>>JAWAB : Jab Hazrat Nooh (Alaihissalam) ne Tamam Janwaro ko Kashti me Sawar karliya to logo ne kaha ke Sher ki Maujoodgi me Baqi Janwar kaise Aaram se rah Sakenge.Tab Hazrat Nooh (Alaihissalam) ne Allah Pak se duwa ki to Allah pak ne us waqt Sher par “Bukhar” Dal diya,jisse wo Sher chupchap Baitha raha… ye Pahla Janwar hai jo duniya me Bimar huwa,isse pahle Duniya me ye Bimari nahi thi.
{Al Bidaya-Jild-02-Safa-No-111}
.
SAWAL : Toofan-e Nooh me Barasne wale har Qatre me kitna Pani hota tha?
.
>>JAWAB : Us Toofan ki Barish ka har Qatrah ek (Mashk) ke barabar hota tha.
.
SAWAL : Kashti-e Nooh” BaiTulla Shareef ka “Tawaf” kitne dino tak karti rahi?
.
>>JAWAB : Kashti-e Nooh 40 Dino tak Baitullah Shareef ka Tawaf karti rahi,fir Allah Tabarak wa Ta’ala ne use (JOODI) ki taraf Rawana kardiya… Ba’z kahte hai ke 07 Roz tak.
{Ibn-e Kaseer-Parah-12-Ruku-04}
.
SAWAL : Kashti-e Nooh Dauran-e (Gasht) kaha ruki thi aur kyun?
.
>>JAWAB : Kashti-e Nooh” Tmaam Rooy Zameen par Gasht karte karte Jab (Zameene KarBala) par Pahunchi to ruk gayee… Hazrat Nooh (Alaihissalam) ne Allah Pak ki Bargah meArz ki: Ya Ilahal Aalameen ! ye kiya Maqam hai,aur Kashti Thahirne ka kya Maajirah hai?>Jawab mila : ye wo Maqam hai jaha (Ahle Bait Athaar) ki Kashti Gardab-e Khoon me Garqab hogi… aur Mere Mahboob (Sallallahu alaihi wasallam) ke Jigar Goshe is Maqam se Jaam-e Shahadat pee pee kar Mere Paas aayenge.
{Auraq-e Gam-Safa-No-73}
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021