Islamic Blog

Tujhe sajne ki zarurat
nahi Aye Bint-e-Hawwa””
Tujh pe sajti Hai Haya bhi kisi
Zewar ki Tarah”””
ASSALAM O ALAIKUM
Tum ne Pucha tha na k Mai scarf
Q Leti Hun”? Roz subah
scarf lene se pehle, meri aakhon
k samne on
tamam haseen Aourton k dilkash
nazare gardish karte hai, Jo TV
par maine daikhi hoti hai, aur
mera dil karta
hai k main bhi un ka raasta chun
lu,
Magar mujhe wo Aakhri Adalat
yaad aati hai.
“Tab main sochti hun k us din
mai “Allah” ko kya jawab
dungi”?
Mai tarazu k aik palde main apna
“Sarapa” daalti hun, jis main
mai khud ko acchi lagti hun.
Aur doosre main wo jis main,
mai Allah ko acchi lagti
hun. Meri pasand ka palda kabhi
nahi jhukta, aur Allah
ki
pasand ka palda kabhi nahi
uthta,
Tum ne pucha tha na k mai scarf
kyun leti hun?
“So Main ye is liye leti hun Q k
Main “Allah” ko Aise
Acchi lagti Hun”.
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
▬▬▬▬▬▬ Beshak musalman mard
aur musalman aurte ” momin
mard aur momin aurte ” farma
bardar karne wale mard
aur aurte ” rast baaz mard aur
rast baz aurte ” sabar
karne wale mard aur sabar karne
wali aurte ” qayrat
karne wale mard aur roza rakhne
wali aurte ” apni
sharmogah ki hifazat karne wale
mard aur hifazat karne waliya ”
ba kasrat Allah ka zikar karne
wale aur zikar
karne waliya ” inn sab ke liye
Allah tala ne wasi
magfirat aur bada sawab taiyyar
kar rakha hai
{Surat al ahzab. 33. Ayat 35}

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)