ALLAH-TA’AALA KA FAZL:-***************************
Rab Tabarak Wa Ta’aala Ne Ummat-A-Mohammadiya Ko Apne Fazl Se Kuch Khususiyat Ata Ki Hain-
(1)Yeh Ummat Sabse Pichli Hain Taaki Agli Ummaton Ki Tarah Iski Badh-Naami Aur Ruswayi Na Ho, Aur Iske Aib Na Khulen, Gujishta Ummaton Ke Uyub Quraan-A-Karim Ne Bayan Kiye Jisse Wo Qayamat Tak Keliye Badhnaam Hogayi, Hamare Baad Koi Aasmaani Kitab Nahi Aayegi Aur Yun Hamare Aib Chupe Rahege!
(2)Khuda Ke Fazl Se Yeh Ummat Yahudh Ki Tafreet Aur Isayiyon Ki Ifraat Se Pak Hain, Iske Aqaayid Aur Aamaal Ausat Hain!
(3)Yeh Ummat Sabse Pichli Hain Taaki Sabki Gawahi De Sake, Kyonki Gawahi Wakaye Ke Baad Hoti Hain Na Ki Pehle!
(4)Insha-Allah Isme Hamesha Ulma Aur Auliya Rahege, Pichli Ummaton Ki Tarah Sab Gumrah Na Hojayege!
(5)Inke Jism Shari-at Se Aur Inke Qalb Tarikat Aur Marifat Se Munavwar Rahege!
(6)Inki Jabaan Haq Ka Kalaam Hain, Jis Chiz Ko Yeh Accha Jane Wo ALLAH Ke Nazdik Bhi Acchi Aur Jisko Bura Kahe Wo Buri!
(7)Yeh Ummat Saare Nabiyon Ki Gawah, Aur Zaahir Hain Ki Gawah Muddayi Ko Bada Pyara Hota Hain! Lihaja Ummat-A-Mohammadiya Saare Paighambaron Ki Mehboob Ummat!
(8)Sab Log Musalmano Ke Haajat-Mand Hain, Musalman Kisi Kaum Ka Mohtaaj Nahi! Isiliye Duniyawi Huqumatain Islam Se Kawaneen Leti Hain Aur Kuffaar Quraan Se Faida Uthate Hain!
(9)Isi Ummat Ke Ulma Bani-Israyil Ke Paighambaron Ki Tarah Deen Ke Madadgar Hain, Unih Mayse Mufassirin, Mohaddisin, Fuq-ha Hue Aur Qayamat Tak Hote Rahege!
(10)Isi Ummat May Qayamat Tak Auliya, Gaus, Kutub Aur Abdaal Hote Rahege!
(11)Isi Ummat Ke Nabi Ki Sawaneh Umriyan Be-Shumaar Likhi Gayi! Quraan-A-Karim Ki Be-Shumaar Tafsiren Har Jabaan May Hui, Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Hayaat-A-Taiyyaba Ka Ek-Ek Wakiya Hadeesi Shakl May Duniya Ke Saamne Maujudh Hain! Kisi Nabi Ki Ummat Ko Yeh Khubiyan Mayassar Nahi Hui!
(12)Aakhirat May Bhi Yeh Ummat Tamaam Ummat Se Afzal Wa Behter Hogi Ki Tamaam Jannatiyon Ki Kul 120 Safain Hogi Jinme 80 Safain Is Ummat Ki Aur Bakiya Safain Digar Ummaton Ki!
(13)Ummat-A-Mohammadiya Ke Gunahon Ka Hisaab Chupwa Hoga Aur Nekiyon Ka Hisaab Sabke Saamne!
(14)Ummat-A-Mohammadiya Keliye Hauz-A-Kausar Ki Naher Maidaan-A-Mehsher May Aayegi!
(15)Pehle Ummat-A-Mohammadiya Hi Jannat May Dakhil Hogi!
(Tafsir-A-Nayimi)(KAJH Pg-712-713)
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017