Islamic Blog

Rab Tabarak Wa Ta’aala Ne Ummat-e-Mohammadiya Ko Apne Fazl Se Kuchh Khususiyat Ata Ki Hai-
(1). Yeh Ummat Sabse Pichhli Hain Taaki Agli Ummaton Ki Tarah Iski Bad-Naami Aur Ruswayi Na Ho, Aur Iske Aib Na Khuln, Gujishta Ummaton Ke Aib Quraan-e-Kareem Ne Bayan Kiye Jisse Wo Qayamat Tak Ke liye Badhnaam Hogayi, Hamare Baad Koi Aasmaani Kitab Nahi Aayegi Aur Yun Hamare Aib Chupe Rahege!
(2). Khuda Ke Fazl Se Yeh Ummat Yahud Ki Tafreet Aur Isayiyon Ki Ifraat Se Paak Hai, Iske Aqaayid Aur Aamaal Ausat Hain!
(3). Yeh Ummat Sabse Pichhli Hai Taaki Sabki Gawahi De Sake, Kyonki Gawahi Waaqiye Ke Baad Hoti Hain Na Ki Pehle!
(4). Insha-ALLAH Isme Hamesha Ulma Aur Auliya Rahenge, Pichhli Ummaton Ki Tarah Sab Gumrah Na Hojayege!
(5). Inke Jism Shari-At Se Aur Inke Qalb Tariqat Aur Maarifat Se Munavwar Rahenge!
(6). Inki Zabaan Haq Ka Kalaam Hai, Jis Chiz Ko Yeh Achchha Jaane Wo Allah Ke Nazdiq Bhi Achchhi Aur Jisko Bura Kahe Wo Buri!
(7). Yeh Ummat Saare Nabiyon Ki Gawah, Aur Zaahir Hain Ki Gawah Muddayi Ko Bada Pyara Hota Hain! Lihaja Ummat-e-Mohammadiya Saare Paighambaron Ki Mehboob Ummat!
(8). Sab Log Musalmano Ke Haajat-Mand Hain, Musalman Kisi Kaum Ka Mohtaaj Nahi! Isiliye Duniyawi Huqumatain Islam Se Kawaneen(Sabak) Leti Hain Aur Kuffaar Quraan Se Faida Uthate Hain!
(9). Isi Ummat Ke Ulma Bani-Israyil Ke Paighambaron Ki Tarah Deen Ke Madadgar Hain, Unhi Maise Mufassirin, Mohaddisin, Fuq-Ha Huye Aur Qayamat Tak Hote Rahenge!
(10). Isi Ummat Me Qayamat Tak Auliya, Gaus, Kutub Aur Abdaal Hote Rahege!
(11). Isi Ummat Ke Nabi Ki Sawaneh Umriyan Be-Shumaar Likhi Gayi! Quraan-e-Kareem Ki Be-Shumaar Tafsiren Har Zabaan Me Hui, Huzoor (SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM) Ki Hayaat-e-Taiyyaba Ka Ek-Ek Waqiya Hadeesi Shakl Me Duniya Ke Saamne Maujud Hai! Kisi Nabi Ki Ummat Ko Yeh Khubiyan Mayassar Nahi Hui!
(12). Aakhirat Me Bhi Yeh Ummat Tamaam Ummat Se Afzal Wa Behter Hogi Ki Tamaam Jannatiyon Ki Kul 120 Safain Hogi Jinme 80 Safain Iss Ummat Ki Aur Baqiya Safain Digar Ummaton Ki!
(13). Ummat-e-Mohammadiya Ke Gunahon Ka Hisaab Chhupa Hoga Aur Nekiyon Ka Hisaab Sabke Saamne!
(14). Ummat-e-Mohammadiya Keliye Hauz-e-Kausar Ki Naher Maidaan-e-Mehshar Me Aayegi!
(15). Pehle Ummat-e-Mohammadiya Hi Jannat Me Dakhil Hogi!
(Tafsir-E-Nayimi)

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm