Islamic Blog

Hadees – Hazrat jabir Raziallahtala Anhu ravi hai ki umme malik ke pas ek kuppa tha jisme wo ghee rakh kar nabiye kareem Sallallaho alehe wasallam ke paas hadiya bheja krti thi ( to us kuppe me Yeh bakrkat namudar hui ) to jab kabhi unke bachche salan mangte the to wo us kuppe me se ghee nikal kar unko de dya krti thi isi trha usme hmesha ghee niklta rha ek martaba umme malik ne us kuppe ko nichor dala to usme se ghee niklna band ho gya jub wo nabiye kareem Sallallaho alehe wasallam ke paas hazir hui or Yeh maazra arz kiya to aapne farmaya ki ky tumne us kuppe ko nichor dala tha? to unhone kaha ki ji ha. to aapne farmaya ki agar tumne us kuppe ko yuhi chor diya hota to hmesha usse ghee niklta rahta. (jawahirul hadees page 159)

Tabsara – Yeh huzure akdas Sallallaho tala alehe wasallam ka muajjija hai ki jis bartan me apke paas ghee rakh kar hadya kiya jata tha us bartan me itne ajimushshaan barkat namudar ho gyi ki isse malum hua ki aaj bhi ki jis bartan me koi shirini ya taaam rakh kar huzoor akdas Sallallaho tala alehe wasallam ki baargahe akdas me isaale sawab or fatiha kiya jayega to in shaa Allah tala us bartan me zarur kch na kch khero barkat ka nuzool hoga. fir un bartano ki khero barkat ka kya aalam hoga Jin bartano me huzoor Sallallaho tala alehe wasallam ne khana peena nosh farmaya chunache sahaba ikraam wa tabaeen unki khero barkat wa kadro manzilat ko pehchante wa jante the islye wo un bartano ko apni jaano se zada azeez rakhte the. algaraj Yeh tamam musalmano ka aqeedat hai ki har wo cheez jisko huzoor akdas Sallallaho tala alehe wasallam se kisi trha nirbat hasil ho gyi bila shuba wo cheez khero barkat ka khazana ban gyi. lihaza usko tabarruk banakar usse barkat hasil krna or usse mohabbat wa akidat rkhna har musalman ke liye imaan ka nishan hai islye ahle sunnat wa zamanat ka amal hai ki wo rasool e akram Sallallaho alehe wasallam ke tamam tabarrukkat khawah bartan ho ya libase mubarak ya naalain sharefain ya madina munawwara ki khake paak har cheez ko markaze akidat banakar usse khair wa barkat hasil krte hai jo dar haqekat imaan ka nishan or sachche momin ki pehchan hai

Source:http://www.islamicpost.in/

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm