Islamic Blog

Kya kabhi tumne gaur bhi kiya ki hamara mazhab kya seekhata hai ?
Tera Khaliq tujhe banane wala Allah عزوجل kya farmata hai ?
Toh sunon Irshaad-e-Baari Ta’ala mulahiza farmayein….

Tarjuma-e-Kanzul Imaan….
“Aur Aye Sunne wale (Musalman) Zameen me aksar woh hain ke Tu Unke kahe par chale toh tujhe Allah ki Rah se bhatkadein woh sirf ghumaan ke peeche hain aur nare atkal daudate hain”…
{Surah-Al-Ana’am, Ayat no.116}
الله اکبر

Aur ek jagah Irshaad hota hai…
“Beshak Allah logon par kuch zulm nahi karta haan log hain aapni jaanon par zulm karte hain”
[Surah-e-Yunus Ayat no.44]

Kya aapko nahi lagta ki Gunaah karna aapne aap par zulm karna hai ?
Valentine day manana toh sirf gunaah nahi zina tak pohachne ki raha hai
(MaazAllah)

Kyunki isme Insaan Gair-mehrum ke saath relation kayam karta hai yaad rahe ki kissi gair-mehrum ko haath lagana toh door bas usse ba-shehwat dekhna bhi Zina me shumar hoga….
Mafum-e-Hadees hai,

“Kal baroz-e-Qayamat Zaani (yaani Zina) karne wale ko muh ke bal ghasitte hue jahannam me lejaya jayega”
الله اکبر

Aye apne aapko Musalman kehne wale Kya tumhe khauff nahi aata kya tumhara dil nahi dehalta Allah عزوجل ki zameen par rehkar uski na-farmani karte hue ???

Mere pyaare bhaiyon yaad rakho agar gunaah karte karte maut aagayi aur Jahannam muqaddar hogaya toh hum soch bhi nahi sakte ki hamara haal kya banega…

Hadees me aata hai,
“Dozakiyon me sabse halka aazab jisko hoga use aag ke jute pehnaye jayenge jinse unka dimag khaulne (ubalne) lagega”
(Sahih Muslim)

Kisi Insaan me itni taqat nahi ki Allah عزوجل ke kisi Aazab ko bardasht kar sake…
Nabiyon ke Sultan,Rehmat-e-Alamiyan,Sardar-e-do jahaan,Mehboob-e-Rehman عزوجل ,

Mere Pyaare-Pyaare Aaqa Madine wale Mustafaصلی اللہ علیہ وسلم ka farman Haq Nishan hai,
“Jab Gair Mard Aur Gair Aurat
Tanhayi Mein Kisi Jagah Ek Saath Hote Hai,
Toh Un k Saath Tisra Shaitan Hota Hai.”
{Tirmizi Sharif, Jild-1, Hadees No-1171}
الله اکبر

Ab aap ek musalman hone ke naate batayein ki jab kahin shaitan hazir ho kya woh chahega ki Musalman kuch neki kare ?

Hargiz-Hargiz nahi woh bada makkar hai uska kaam hi hai sirf Insaanon se gunaah karwana aur jahannam ki raah par lejana.

BY-COTT VALENTINE……..

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm