Islamic Blog

Bismillahirrahmanirraheem

1-Kuch Log Kehte Hain Waseela Zaruri Hai,Kuch Kehte Hain Waseela Zaruri Nahi Hai…..
Waseelay Ka Inkaar Hum Nai Kr Skte Kyun K Waseelay Ka Zikr Quran Me 2 Baar Aaya Hai.
Allah Farmate Hain K Allah Ki Taraf Waseela Talash Karo

1) Quran 5:35
Ae Eemaan Walo!Khdua Se Darte Raho Aur Us Ka Qurb Hasil Karne Ka Zariya Talaash Karte Raho Aur Uss Ke Raste Main Jihaad Karo Taa-Ake Dastgaari Pa=ao.

2) Quran 17:57

“Yeh Log Jin Ko Khuda Ke Siwa Pukaarte Hain Wo Khud Apne Parwardigaar Ke Haan Zariya-E-Taqqar ab Talash Karte Rehete Hain Ke Koun Un Main Khuda Ka Ziada Muqqrab Hota Hai Aur Uss Ki Rehmat Ke Umeedwar Rehte Hain Aur Uss Ke Azaab Se Khaof Rakhte Hain. Beshak Tumhare Parwardigar Ka Azaab Darne Ki Cheez Hai.”

Inn Do Ayaat Se Yeh Baat Crystal Clear Hai Ke Waseela Jaiz Hai………

Ab Kuch Log Kehte Hain Ki Waseela Zinda Logo Ka Hota Hai Lekin Phir Quran Ki Ayaat Hum Se Keh Rahi Hain Ke Shaheed To Zinda Hote Hain: )

Quran 2:154

“AUR JOH LOG KHUDA KI RAAH MAIN MARE JAAYEN UN KI NISBAT YEH NA KEHNA KE WOH MARE HUE HAIN WOH MURDA NAHI BALKE ZINDAA HAIN LEKIN TUM NAHI JAANTE. ”

Quran 3:169

Joh Loug Khuda Ki Raah Main Maare Gaye Un Ko Mare Hue Na Samjhna, Wo Mare Hue Nahi Hain Balke Khuda Ke Nazdeek Zinda Hain Aur Un Ko Rizq Mill Raha Hai.”

Ab Yeh Baat Bhi Prove Ho Gaye Inn Do Ayaat Se Ke, Jo Allah Ki Rah Me Maare Jayen Unhe Murda Na Kaho Wo Zinda Hain……..

Lekin Yahan Pe Ek Baat Clear Karna Zaruri Hai K Jo Log Bhi Shaheed Hue Hain Wo Qabro Me Ja Chukay Hain.

Ab Hamein Quran Ki Ayaat Se Decide Krna Hai K Hamein Waseela Kin Ko Bnana Hai Apne Amaal Ko, Zinda Zahir Logo Ko Ya Phr Jo Qabro Me Ja Chukay Hain Un Ko.

Note: Shaheed Bhi Zinda Hai Or Dunya Me Rehne Wale Bhi Zinda Hain Fark Itna Hai K Ek Qabar Me Hai Or Ek Nai.

Lets C What Quran Says:

1))) Hazrat Moosa(A.S) Ne Allah Se Kaha K Hazrat Haroon(A.S) Ko Mera Wazir(Madad Gaar) Bnaen:

Quran 20:29-30

Aur Mere Ghar Waloun Main Se Aik Ko Mera Wazeer Yaani Madadgaar Muqarrar Farma.

30

Yaani Mere Bhai Haroon Ko.

Us Waqt Hazrat Haroon(A.S) Qabar Me Nai Ja Chukay Thay.

2))) Hazrat Suleman(A.S) Ne Apne Samne Bethe Hue Jin Or Insaan Thay Un Se Kaha K Kon Takht Lane Me Meri Madad Kare Ga:

Quran 27:38-41

“Sulaimaan Ne Kaha Ke Ae Darbaar Walo! Koi Tum Main Se Aisa Hai Ke Qabal Is Ke Keh Wo Loug Farmaabardaar Ho Kar Hamare Paas Aayen Malka Ka Takhat Mere Paas Le Aaye.”

39

“Jinnat Main Se Aik Qawi Haikal Jinn Ne Kaha Ke QabalIs Ke Keh Ap Apni Jaga Se Uthain Main Is Ko Aap Ke Paas La Hazir Karta Hoon Aur Mujhe Is Par Qudrat Bhi Haasil Hai Aur Amanat Daar Bhi Hoon.”

40

“Aik Shakhs Jis Ko Kitaab-E-Ilaahi Ka Ilm Tha Kehne Laga Ke Main Aap Ki Aankh Ke Jhapakne Se Pehle Pehle Isse Ap Ke Paas Haazir Kiye Deta Hoon.Jab Sulaiman A.S. Ne Takhat Ko Apne Paas Rakha Hua Daikha Toh Kaha Ke Ye Mere Parwardigar Ka Fazal Hai Taa-Ake Mujhe Aazmaaye Ke Main Shukar Karta Hoon Ya Kufraan-E-Naima t Karta Hoon Aur Joh Shukar Karta Hai Toh Apne Hi Faaide Ke Liye Shukar Karta Hai Aur Joh Nashukri Karta Hai Toh MeraParwardigar Be Parwa Aur Karam Karne Wala Hai.”

41

“Sulaimaan Ne Kaha Ke MalkaKe Imtihaan-E-Aqaa l Ke Liye Is Ke Takhat Ki Soorat Badal Do.Daikhain Ke Wo Soojh Boojh Rakhti Hai Ya Un Lougon Main Se Hai Joh Soojh Nahi Rakhte.”

Us Waqt Wo Shaks Qabar Me NaiJa Chuka Tha Jis Se Hazrat Suleman(A.S) Ne Madad Maangi.

3))) Allah Momino Ko Hukum De Rahe Hain K Neki K Kaamo Me EkDusre Ki Madad Kiya Karo:

Quran 5:22

“Naiki Aur Parhaizgai Ke Kamon Main ek Doosre Ki Madad(Help) Kia Karo Aur Gunnah Aur Zulm Ki Batoun Main Madad Na Kia Karo Aur Khdua Se Darte Raho.Kuch Shak Nahi Ki Khuda Ka AzaabSakht Ha Yahan Un Momino Se Khitaab Nai Ho Raha Hai Jo Qabar Me Ja Chukay Hain.”

4))) Hazrat Ibrahim(A.S) Ne Khana.E.Kaaba Ki Tameer Ko Waseela Bnaya:

Quran 2:128

“AE PARWARDIGAAR, HAM KO APNA FARMAANBARDAAR BANAYE RAKHIYO.AUR HAMARI AULAAD MAIN SE BHI AIK GIROH(GROUP) KO APNA MATEE BANATE REHIYO, AUR PARWARDIGAAR HAMAIN HAMARE TAREEQA-E-IBADA T BATA AUR HAMARE HAAL PAR REHEM KE SATH TAWAJOH FARMA. BESHAK TU TAWAJOH FARMANE WALA MEHERBAAN HAIYahan Hazrat Ibrahim(A.S) Ne Achay Amal Ko Waseela Bnaya”

5))) Hazrat Moosa(A.S) Ne Apni Kaom Ko Sikhaya K Allah Par Yakeen Ko Waseela Banao:

Quran 10:86

“Aur Apni Rehmat Se Qoum-E-Kuffar Se Nijaat Bakhash.”

Yahan Par Emaan Ko Waseela Bnaya Gya.

6))) Hazrat Yousuf(A.S) K Bhaiyon Ne Apne Walid Ki Dua Ko Waseela Banaya:

Quran 12:98

“Unhoun Ne Kaha Ke Main Apne Parwardigaar Se Tumhare Liye Bakhshish Maangoon Ga. Beshak Woh Bakhashne Wala MeherbaanHai.”

Us Waqt Un K Walid Qabar Me Nai Ja Chukay Thay.

Inn Sari Ayaat K Baad Ek Bahut Hi Simple Si Example Dun Ga Jo K Hum Sab Daily Routine Me Observe Krte Hain:

Hum Jab Bhi Bemar Hote Hain To Doctor K Paas Jate Hain aur UsKo Waseela Banate Hain Shifa K Liye Lekin Jab Wo Doctor Qabar Me Chala Jata Hai To Kbhi Bhi Us Ki Qabar Pe Ja K Us Ko Waseela Nai Bnate.

Jo Shaheed Qabar Me Ja Chukay Hain Wo Beshak Zinda Hain Lekin Allah Ke Paas:

Quran 3:169

“Joh Loug Khuda Ki Raah Main Maare Gaye Unn Ko Mare Hue Na Samjhna,Wo Mare Hue Nahi Hain Balke Khuda Ke Nazdeek Zinda Hain Aur Unn Ko Rizq Mill Raha Hai.”

Qayamat K Din Wo Apni Kabro Se Dubara Uthaye Jaen Gai:

Quran 80:21

“Phir Us Ko Mout Di Phir Qabar Main Dafan Karaya.”

Qruan 22:77

“Aur Ye Ke Qiamat Aane Wali Hai. iss Main Kuch Shak Nahi.Aur Ye Ke Khuda Sab Lougon Ko Joh Qabroun MainHain Jala Uthaye Ga.”

23:16

“Phir Qiamat Ke Din Utha Khare Kiye Jao Ge”

Note: “”Qayamat K Din””
Iss K Baad Ek Bahut Hi Payari Ayat Allah Ne Naazil Ki aur Woh Hai:

Note:

““”Qayamat Tak””Wo Hamari Pukaar Nai Sun Skte Lekin Jab Qayamat Ke Din Sunen Gai To Hamare Dushman Ho Jaen Gai.”

Ye Ayat Pat’thar K Devi,Devta(Idol s) Ke Liye Nai Hai Kyun Ke Qayamat Ke Din Wo Zinda Nai Hon Gai Wo To Be.Jaan Hain.

Umeed Krta Hun K Waseelay Se Related Jinho Ne Yeh Note Parha Hoga Un Ko Samajh Me Aya Ho Ga.

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)