Islamic Blog

Wazu Ka Bayaan

※Jab Wazu Karna Hoto Dil Main Wazu Karne Ka Irada Kare
BismillAh Hirrahma Nirraheem Kahe
※Duno’n Haath Gatto’n Tak Dhoye
※Phir Miswaak Kare Dahne Haath Se(Miswaak Na Hoto Ungli Se Daant Male)
※Phir 3/Baar Kulli Kare Khoob Acchi Tarah Ke Halaq Tak Daanto’n Ki Jad Zubaan Ke Neeche Paani Ponhche.
Agar Daant Ya Taalu Main Koyi Cheez Chipki Ya Atki Hoto Chudaye
※Phir Baaye(Left) Haath Se Naak Saaf Kare Uski Choti Ungli Naak Ke Andar Daal Kar
Phir Dahne(Right) Haath Se 3/Baar Naak Main Paani Chadaye Ke Andar Naak Ki Haddi Tak Paani Ponhche.
※Phir Duno’n Haatho’n Main Paani Lekar 3/Baar Muh Dhoye Is Tarah Ke Baal Jamne Ki Jaga Se Le Kar Thodi Tak Aur Dahni Kanpatti Se Baaye’n Tak Koyi Jaga Chotne Na Paye Aur Dhaadi Hoto Use Bhi Dhoye Aur Us Main Khalaal Bhi Kare. (Lekin Ahraam Baandhe Hoto Khalaal Na Kare.)
※Phir Kehniyo’n Tak Kehniyo’n Sameet Kuch Uppar Tak Duno’n Haath 3_3 Baar Dhoye,
※Phir Ek Baar Sar Ka Masah Kare,
( Isi Tarah Duno’n Haath Tar Kar Ke Angothe Aur Kalma Ki Ungli Cchod Kar Duno’n Haatho’n Ki 3_3 Ungliyo’n Ki Nook Ek Dusre Se Milaye Aur Un Ungliyo’n Ke Pet Ki Jad Maathe Par Rakh Kar Peeche Ki Taraf Gudi Tak Le Jaye Is Tarah Ke Kalma Ki Duno’n Ungliya’n Aur Duno’n Angothe Aur Duno’ Hatheliya’n Sar Se Na Lagne Paaye Aur Ab Gudi Se Haath Wapas Maathe Ki Taraf Laye Yu Ke Duno’n Gudiliya’n Sar Ke Daaye Baaye Hissa Par Hoti Huwi Maathe Tak Wapas Aajaye,
※Ab Kalma Ki Ungli Ke Pet Se Kaan Ke Andar Ke Hisso’n Ka Aur Angothe Ke Pet Se Kaan Ke Uppar Ka Masah Kare Aur Ungliyo’n Ki Peeth Se Gardan Ka Masah Kare. Lekin Haath Gale Par Na Jane Paaye Ke Gale Ka Masah Makruh Hai,
※Phir Dahna(Right) Pair Ungliyo’n Ki Taraf Se Tukhne Tak Dhoye Tukhne Sameet Kuch Uppar Tak,
Phir Isi Tarah Baaya’n Pair Dhoye,
Haath Pao’n Ki Ungliyo’n Main Khalaal Bhi Kare.

Ab Wazu Khatm Huwa Uske Ba’d Ye Dua Padhe.
Aur (Wazu) Ka Bacha Huwa Paani Khade Hokar Thoda Sa Pee Le Ke Bimariyo’ Ki Shifa Hai Aur Aasman Ki Taraf Muh Karke Ye Dua Padhe.
Aur Kalma Shahadat Aur Sure Al_Qadr Padhe.
Aur Behtar Ke Har Wazu Dhote Waqt BismillAh Aur Durood Padhe Aur Kalma Shahadat Bhi Padhe.

Ye Wazu Ka Tariqa Jo Uppar Bayaan Huwa Usme Kuch Baate’n Farz Hain Ke Jinke Cchotne Se Wazu Na Hoga.
Aur Kuch Baate’n Sunnat Hain Ke Jinke Qasdan Cchodne Ki Aadat Qabile Saza Aur Kuch Baate’n Mustahab Hain Ke Unke Cchotne Se Sawaab Kam Hojata Hai.

◆ Wazu Ke Fara’iz
Wazu Main 4 Baate’n Farz Hain.

1) Chehra Dhona
(Yaani Maathe Ki Jad Jaha’n Se Baal Jamte Hain, Waha Se Lekar Thodi Tak Aur Ek Kaan Se Dusre Kaan Tak Muh Ki Khaal Ke Har Hissa Par Ek Baar Paani Bahana.

2) Kehniyo’n Sameet Duno’n Haath Ka Ek Baar Dhulna

3) Chauthayi Sar Ka Masah
(Yaani Chauthayi Sar Par Bheege Haath Ka Pherna Ya Kisi Surat Se Kam Az Kam Itni Jaga Ka Tar Hojana

4) Duno’n Pao’n Ka Tukhno’n Sameet Ek Baar Dhulna

Ye Chaar(4) Baate’n Wazu Main Farz Hain Aur Inke Siwa Jo Kuch Tariqa-E- Wazu Main Bayaan Ki Gaye Wo Sab Ya Sunnat Ya Mustahab Hain Aur Wazu Ki Sunnate’n Aur Mustahabaat Bahot Hain.
Jo In Sabko Janna Chahe Wo Bahare Shari’at Aur Fatawa Razwiah Waghera MatbuAat Dekhe .

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm