Allah ne shohar aur biwi dono ke apne apne huquq rakhe hain, dono ki apni apni zimmedariyan hain, jisko nibhana chahiye.
♥ Behtareen Shohar Kaun♥
Jo Apni Biwi Ke Sath Narmi, aur acchi tarah se Pesh Aaye.
Jo Apni Biwi Ka haq ada karne mein, pani hesiyat ke hisab se kisi tarah ki kami na rakhe
Jo Apni Biwi Ka Iss Tarah Ho Ker Rahen Ke Kisi Ajnabi Aourat Per Nigah Na Dale.
Jo Apni Biwi Ko Apne aaram,khushiyo mein shaamil rakhe.
Jo Apni Biwi Per Kabhi Zulm na kare
Jo Apni Biwi Ki kisi kharab baat par bhi sabr kare
Jo Apni Biwi Ki acchaiyon Par Nazar Rakhe Aur chhoti-moti Galatiyon Ko Nazar Andaz Kare.
Jo Apni Biwi Ki Musibaton Bimariyon mein wafadari kare.
Jo Apni Biwi Ko Parde Me Rakh Kar Izzat-O-Aabru Ki Hifazat Kare.
Jo Apni Biwi Ko Zillat-o-Ruswayi Se Bachaye Rakhe.
Jo Apni Biwi Ko islam par chalne ki samjhaish deta rahe.
Jo Apni Biwi Ke jayaz kharcho mein Kanjoosi Na Kare.
Jo Apni Biwi Per Iss Tarah control mein rakhe ke wo kisi burai ki taraf na jaae.
♥ Behtareen Biwi Kaun ♥
Jo Apne Shohar Ki baat maane aur isko pura karna apna farz samjhe.
Jo Apne Shohar Ke saare haq pura kare,
Jo Apne Shohar Ki Khubiyon Per Nazar Rakhe Aur Ussju kamiyo Ko Nazar-Andaz Karti Rahe.
Jo Khud Takleef Utha Kar Apne Shohar Ko Aaram Pohchane Ki Hamesha Koshish Karti Rahe.
Jo Apne Shohar Se Uss Ki Aamdani Se Zyada Ka kharcha karne ka na bole, sirf jayaz kharcha karne ko hi bole.
Jo Apne Shohar Ke Siwa Kisi Ajnabi Mard Per Nigah Na Dale Na Kisi Ki Nigah Apne Uper Padhne De.
Jo Parde Me Rahe Aur Apne Shohar Ki Izzat-O-Namoos Ki Hifazat Kare.
Jo Shohar Ke Maal Aur Makan aur Saman Aur Khud Apni Jaat Ko Shohar Ki Amanat Samajh Ker Har Cheez Ki Hifazat-O-Nigehbani Karti Rahe.
Jo Apne Shohar Ki Musibat Me Apni Jani-O-Maali Qurbani Ke Sath Wafadari Ka Saboot De.
Jo Allah ka haq ada karti rahe, saath hi shohar ki baat bhi maane.
Jo Padosiyon(Aurto) Aur Milne Julne Waali Aourton Yaani Saas, Nanand, Sasurali Rishtedar, Ke Sath Khush Akhlaqi (acchi tarah mile)
Jo Maika, Sasural Dono Gharon Me Har-Dil Azeez Aur Ba Izzat Ho.
Quran :
2 Surah Baqarah, Aayat 187 :
هُنَّ لِبَاسٌ لَكُمْ وَأَنْتُمْ لِبَاسٌ لَهُنَّ
Wo (biwiya) tumhare liye libaas hain aur tum unke liye libaas ho.
Libaas insan ki zinat badhata hai aur uske aib chhupata hai.
Isi tarah shohar aur biwi ko bhi ek dusre ke aib chhupana chahiye aur dusro ke saamne zaahir nahi karne chahiye aur koi galti ho jaaye to narmi ke saath use sahi baat samjhani chahiye aur galat fehmiyo ki wajah se paida hone wale burai (mis understanding) se hamesha bachna chahiye aur ek dusre ki izzat ki hifazat karni chahiye aur ek dusre ki khubiya par nazar rakhna chahiye, khud bhi hamesha aise kaam karne chahiye ke ek dusre ki izzat badhe.
***********
Hadeese Nabawi :
(1) hazrat Muhammed ﷺ ne farmaya Agar main kisi ke liye Sajde ka hukm deta to Aurto ko hukm deta ki apne shohar ko sajda kare.
(Tirmizi, Jild -1, Baab -788, Safa 594, Hadees -1158,
Mishkat, al-Masabih, Hadees -7)
(2) hazrat Muhammed ﷺ se kisi ne arz kiya ke –
Behtareen Aurat ki pehchan kya hai? Aap ne farmaya
Jo Aurat apne Shohar ka kehna maane.
(Nisaai, Jild -2, Safa -364)
(3) hazrat Muhammed ﷺ ne farmaya
Jo Aurat 5 time namaaz padhe, Ramazaan ke roze rakhe, apni izzat aabroo ki hifazat kare aur apne shohar ka kehna sune to wo jannat ke darwazo me se jis darwaze se chahe daakhil ho jaayegi.
(4) Koi aurat bagair apne shohar ki ijazat ke nafli roza nahi rakh sakti.
(Sahih Bukhari, Hadees -5192, Sahih Muslim, Hadees -1026)
(5) Agar kisi aurat ka shohar raat ko uske saath sona chaahe, aur biwi bina kisi jayaz wajah ke mana kar de, aur shohar naraz hokar so gaya to puri raat rahmat ke farishto se biwi mehroom rehti hain.
(Bukhari shareef, Jild -3, Baab -115, Safa -96, Hadees -178)
***********
6) hazrat Muhammed ﷺ ne farmaya – tumme sabse behtar wo insan hai jo apni biwiyo se acche rahte hain, aur mein tumme sabse accha hu,
matlab ye hua ke wo insan sabse accha hai jo apni biwi se accha rahta hai, aur mein apni biwiyo se tum sabse zyada accha rahta hu.
7) hazrat Muhammed ﷺ ne farmaya – jo apni biwiyo se accha rahe, unki kamiyo ko nazar andaaz kare, to wo jannat mein mere pass hoga
(Mafhoom e hadees)
Shohar aur Biwi ke liye in baato ko apnana khas zaroori hai :
(1) Aapas me mohabbat rakhen aur ek dusre par bharosa rakhe aur ek dusre se achhi tarah rahe.
(2) Ek dusre ki acchaiyo par nazar rakhe aur kamiyo ko aur mamooli galtiyo ko nazar andaz kare.
(3) Ek dusre ko sahi raay (sggestion) de aur islam seekhne aur us par amal karne ka bolte rahen.
(4) dusro ke saamne sharm aur haya se pesha aaen, aur aesa koi kaam na karen, jisse ek dusre ki izzat kam ho.
Ek dusre ke raaz ya kamiyo ko chhupa kar rakhe, rakhe aur dusro ke saamne na bataen.
(5) Ek dusre ki jaiz zaroorato ka khayal rakhe.
Mard halaal rozi kama kar laaye aur ghar ke kharcha ko pura kare
Aur Aurat uski halaal kamai se khaane ka aur dusri zaroorato ka khayal rakhe. Aur uske halal rizq par shukr aur sabr kare aur ghar ka, maal ka aur rishtedaro ka aur ghar walo ka khayal rakhe.
(7) ek dusre ke liye wafadar hon, husband kisi gair aurat ke baare mein ya wife kisi parae mard ke baare mein na soche, na usse taalluk (relation) rakhe,
8) Ek dusre ke Rishtedaaro ki izzat kare aur unse acchi tarah mile.
(9) Kisi bhi musibat, bimari, pareshani mein ek dusre ke saath rahen, aur ek dusre ko himmat dilane waali baat karen.
(10) Koi galti ho jaaye to us baat ko aaram se, pyar se samjhaen,
(11) Aesa koi kaam na kare, jisse ek dusre ke liye dil mein shak peda ho. Agar shohar ko kuch kaam ya tarika pasand nahi to biwi iska dhyan rakhe, aur agar biwi ko kuch baat pasand nahi to shohar dhyan rakhe.
(11) ALLAH taala se ek dusre ke liye dunya aur aakhirat me bhalai ki aur khairo barkat ki aur salaamati ki dua kare.
Jab miya biwi ek dusre ko pyar se dekhte hain to Allah dono ko khush hokar (pyar se) dekhta hai.
Insan se har time ka hisab liya jaaega, kewa kuch time ka nahi jisme miya biwi ka beth kar pyar se aur acchi tarah baat karna shaamil hai.
Allah har miya-biwi ko ek dusre ko samajhne, ek dusre ki izzat karne, ek dusre ka khyal rakhne, ek dusre se pyar karne wala, fikar karne wala, bharosa kaayam rakhne wala bana de. Aameen.
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017