Islamic Blog

Wife-Husbnad (miya-biwi) ke ek
dusre par haq
ASSALAM O ALAIKUM
Mard ko shadi ke baad apni biwi
ki zimmedari nibhana zaruri hai,
agar koi insan usme kami karta
hai to islam ke hisab se wo
gunahgar hai.
Quran mein ALLAH farmata hai ki
AURATON ka HAQ MARDO par
aisaa hi hai jaisaa AURATON par
(mardo ka) hai.
.
.
.
[SURAE BAQRAH:228]
MARD ke ye liye zaruri hai ki
BIMAARI me apni biwi ka ilaaj
karaye, kabhi-kabhi usko uske
ghar walo se milata rahe….
Abdullah bin abbas (raziallahu
anhu) farmate hain
Hazrat MUHAMMAD (sallallahu
Alayhi wasallam) ne farmaya ki
(jiska matlab ye hai ki) agar tum
akhirat mein mere karib rahna
chahte ho to apni biwi ko khush
rakho,
or uski khushi ke liye uske ghar
walo
or uski saheliyo se bhi acche se
raha karo.
Hazrat MUHAMMAD (sallallahu
alyhi wasallam) ne farmaya ki
(jiska matlab ye hai ki) Tum me
sabse accha wo hai jo apni biwi
ke liye accha ho or me apni biwi
ke liye TUM mein SABSE BEHTAR
hu.
Hazrat MUHAMMAD (sallallahu
alyhi wasallam)
ghar mein apni biwi ke saath
ghar ka kaam mein madad bhi
karte the.
Hazrat MUHAMMAD (sallallahu
alyhi wasallam) isha ki namaz ke
baad zyadatar ghar se bahar
nahi nikalte the or na kisi se mila
karte the kiu ki ye time ghar par
diya karte the.
Agar miya-biwi ek dusre ko
muskura kar dekhte hain to
ALLAH un dono ko muskura kar
dekhta hai.
Yaani miya-biwi ka ek dusre se
hasna-bolna, pyar se saath mein
rahna bhi neki hai…
subhanALLAH..
ALLAH TA’ALA hum sabhi ko
hidayat de..
Aameeeeeeeeeen

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm

One Response

  1. This is very interesting, You are a very skilled blogger.
    I’ve joined your rss feed and look forward to seeking more of your great post.

    Also, I have shared your website in my social networks!