Islamic Blog

Witr Ki Namaz Ka Tarika

Namaz E Witr Ke Bare me Bayaan⚡ / Witr Ki Namaz in Hindi

① Namaz E Witr Wajib Hai

② Agar Yeah Chhut Jaye To Kaza Lazim Hai

③ Witr Ka Waqt Isha Ke Farz Ke Baad Se Subah Sadiq Tak Ka Hai

④ Jo So Kar Uthne Par Qadir Ho Uske Liye Afzal Hai Pichhli Raat Me Tahajjud Ada Kare Aur Fir Witr Padhe

⑤ Iski Tin Raka’at Hai

⑥ Isme Qade Ula Wazib Hai Sirf Tasahaddud Padhke Khade Hojaiye

⑦ Tisri Raka’at Me Taqbir E Qunut Kahna Wajib Hai

⑧ Jis Tarah Taqbeer E Tahrima Kahte Usi Tarah Hatho Ko Kano Taq Utha Kar ALLAH O AKBAR Kahiye

⑨ Fir Hath Bandh Kar Dua E Qunut Padhiye

⑩ Agar Yeah Dua Na Aaye To Allahumma Rabbana Aatena…. Wali Dua Ya Fir Allahum Magfirli Padhiye…

⑪ Dua E Qunut Padhna Bhul Gaye To Wapis Na Na Lotiye Balki Sajda E Sahw Ada Karle

⑫ Witr Jamaat Se Padhai Ja Rahi Jesa Ki Ramdan Me, Muqtadi Qunut Se Farig Na Hua Tha Aur Imam Ruku Me Chale Jaye To Muqtadi Bhi Ruku Me Chale Jaye
📜References

📖 Aalamgiri Jild 1. Safa 110

📝Reference

Book Namaz Ke Ahkam, Chapter Namaz Ka Tariqa, Page No77

 

Namaz e Witr Padhne Ka Tariqa

Yeah 3 rakat namaz witr isha ka tarika hai . sab se pehle niyat kare .us ka baad takbir e tareema kareen yani apna dono hath apna kano tak le jar kar dono hath ka anghotay kano ki loh pe lagahe yani kan k nichla hisa pe lagahe .

phir kahe Allah-o-Akbar keh kar apna dono hath band le hath naf ka niche rakh kar band le baye hath ka uper daya hath ana chahiye or girift bana kar pakar lae daye hath se bahe hath ko phir sana padhe.

SANAA
“Subhana Kalla Humma Wa Bee Hamdeeka Wata Baara Kasmooka Wa Ta’ala Jaddoo Ka Wa La ilaha Ghairuka”

Is ka baad
TA’AWUZ padhe
“Aaoo Zoo Billahee Minash Shaitaanir Rajeem”

Phir
TASMIYAH Padhe
“Bimillah Hir Rahmaanir Raheem”

Is k baad surah fateha Padhe
SURAH FAATEHA
“Alhamdo Lillahi Rabbil Aalameen Ar Rahamaanir Raheem Maaliki Yaomid Deen iyya Kana Budoo Wa iyya kanastaeen Ihdinas Siratual Mustaqeem Siratual Lazeena An Amtaa Alaihim Ghairil Maghdoobe Alaihim Walad Dualleen”

Phir quran pak ki kohi se be surah ki tilawat kareen surah choti be par sakte ha jesa surah falaq, surah nas, surah kafiron, surah fil ,surah ikhlaas,
Phir surah ikhlas pareen

SURAH IKHLAAS
“Qul Huwal-Laahu Ahad. Allaa-hus Samad Lam Yalid Walam Yoolad Walam Yakul Lahoo Kufuwan Ahad.”
Phir yeah kahe Allah-0-Akbar or rukoo main jahe apna dono hath apna ghootno per rakhe or yeah tasbi pareen 3 5,ya 7 dafa

(“Subhaana Rabbi-yal Azeem”)

Us ka baad TASMEE yani yeah alfaz keh kar seda khade ho jaye
“Samee Allahoo Layman Hamidah”
Phir seda khare khare yeah kahe
“Rabbana Lakal Hamd”
Phir sajda main jahe Allah_0_akbar kehte hue
Sajda main jate hue zameen per pehla gotna rakhe , phir hath rakhe ,phir dono hatho ka darmayan is taraha chera rakhe k pehla naak or phir matha zameen per ahe or hath is tarah rakhe ka ungaliya kibla rukh ho note(pao khare rakhe or niche pao ki ungaliya fold honi chaheya taka pao ki ungali be sajda kareen , pet rano se nahi lagna chaheya mard ka )
Or sajda main yeah tasbih padhe.

SAJDAH
“Subhaana Rabbi-yal ‘Alaa” yeah 3,5,ya 7 dafa be par sakte hai

Phir Allah -0-Akbar keh kar beth jaye or apna daya pao khara rakhe or ulta pyer ka upper beth jaye
Phir dosara sajda kare or yahi tasbih padhe.

“Subhaana Rabbi-yal ‘Alaa”

Phir Allah-o-Akbar kehte hue sidda khade ho Jaye
Or dusre rakat pure kareen jab dosara sajda dosare rakat ka karleen to bajahe seda khara hona ka wahe beth jahe or TASHAH-HUD pareen

“Atthayyato Lillahe Wassalawato Wat Tayyebato Assalamu Alaika Ayyohan Nabiyo Wa Rehmatullahi Wa Barakatoh Assalamu Alaina Wa Ala Ibadillahis Sualaiheen Ashadu An La ilaah illal Laho Wa Ashadu Anna Mohammadan Abdohoo Wa Rasooluhoo”

TASHAH-HUD parte howa jab Ashadu An La ilaah illal Laho per pouchay to dahe hath ki shahad ki ungali ko chor kar baki ki tino ungali ko moti ki tarah band karleen or anghota ko be milahe or shahdad ki ungali ko thore dair k liya otha kar gira de.

Phir Allah_0_ akbar kehta howa seda khare ho jahe or hath band kar apni tesare rakat pareen 3 rakat main surah fateha ka baad kohi assan sorate padh le jab sorate padh le to yeah kahe Allah-o-Akbar matlab takbir e tareema kareen yani apna dono hath apna kano tak le jar kar dono hath ka anghotay kano ki loh pe lagahe phir dobara hath band lay or dua qunoot padhe phir rokoo kare .or baki rakat pure kare jab app 3 re rakat ka dosara sajda kar le to bajahe seda khara hona ka wahe beth jahe or TASHAH-HUD padhe.

Phir DUROOD-E-IBRAAHEEMI Padhe

“Allah Humma Salle Ala Mohammadiyon Wa Ala Ale Mohammadin Kama Sallaita Aala Ibharima Wa Ala Aalay Ibarhima Inna Ka Hameedum Majeed. Allah Humma Baarik Aala Mohammadiyon Wa Ala Ale Mohammadin Kama Barakta Ala Ibrahima Wa ala Ale Ibarhima Inna Ka Hameedum Majeed.”
Phir koi dua padhe jo Quran or hadees main ho

DUA 1
“Allaa-humma Innee Zalamtu Nafsee Zulman Kaseeran wa Innahu Laa Yaghfiruz-Zunooba Illaa Anta Faghfirlee Maghfiratam Min ‘Indika Warhamnee Innaka Antal Ghafoorur Raheem.”

DUA2
“Allah Humma Rabbana Aatina Fid Dunya Hasanah Wa Fil Akhirate Hasanah Wa Qina Azaban Naar.”
in main kohi se 1 Dua padh le

Is ka baad sidha khanda ki taraf mu kar ka yeah kahe
(Assalamu Alaikum Wa Rahmatullah)

phir ulta khanda ki taraf kar k yeah kahe
(Assalamu Alaikum Wa Rahmatullah)
salam karte hue namaze ki nazre kandho ki taraf honi chahiye

 

Witr Ki Namaz Mein Padhne Ki Dua E Qunoot

Mafhoom-e-Hadees: Hasan bin Ali (RaziAllahu Anhu) ne farmaya ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne humko kuch kalimat Sikhaye Jinhe hum Witr ke Qunut me padhte hain wo ye hain

اللَّهُمَّ اهْدِنِي فِيمَنْ هَدَيْتَ
Allahumma ahdini fiman hadayat
وَعَافِنِي فِيمَنْ عَافَيْتَ
Wa Aafini fiman Aafayat
وَتَوَلَّنِي فِيمَنْ تَوَلَّيْتَ
Wa tawallani fiman tawallayat
وَبَارِكْ لِي فِيمَا أَعْطَيْتَ
Wa barikli fima Aatayat
وَقِنِي شَرَّ مَا قَضَيْتَ
Wa qinni sharra ma qadayat
إِنَّكَ تَقْضِي وَلاَ يُقْضَى عَلَيْكَ
innaka taqdi wa la yuqda alayak
وَإِنَّهُ لاَ يَذِلُّ مَنْ وَالَيْتَ
Wa Innahu la yazillu man walayat
وَلاَ يَعِزُّ مَنْ عَادَيْتَ
Wa la yaizzu man aadayat
تَبَارَكْتَ رَبَّنَا وَتَعَالَيْتَ
Tabarakta Rabbana wa taalayat

Tarjuma :
Aye ALLAH ! mujhe Un logo ke saath hidayat de jinhe tune hidayat bakhshi ,
Aur meri un logo ke saath nigehbani farma jinko tune nigehbani ata ki ,
Aur mujhe un logo ke saath apni dosti ata farma jinko tune apni dosti ata ki ,
Aur jo kuch tune ata kiya hai usmein Barkat ata farma ,
Aur us burayi se mujhe mehfooz rakh jiska tune faisla kiya hai ,
kyunki tu hi faisla karne wala hai aur tere faisle ke upar koi faisla nahi kar sakta.
Aur wo kabhi zaleel nahi ho sakta jiske saath tu Dosti kar le,
Aur wo kabhi Beizzat nahi ho sakta jiski tu himayat kar le,
Aye Humare RAB , tu bada Barkat wala hai aur Azeem hai.

Sunan Abu Dawud, Jild 1, 1412-Sahih
Sunan Nasaii, Jild 1, 1748-Sahih
Sunan ibn Majah, Jild 1, 1178-Sahih

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)