hamari zindagi ki wo namaz jo humne nahi padhi usko ‘kaza e umri’ kahte hain.
Farz namazo ka (jo hum par 5 time farz hain) wo humko padhna zaruri hai, isliye agar hum pichle time mein farz namaz nahi padh paae hain to usko ab padh sakte hain. Pichle time ki jo namaz humne nahi padhi hai, wo ab padhne se uska sawab time par padhi gai namaz se kam hoga aur jo time par nahi padhi uska gunah bhi hoga. baad mein padh lene se uska farz to ada ho jaega.
kaza e umri namaz mein sirf farz’ namaz hi hum padhte hain, jese zohar ki namaz mein 4 sunnat, 4 farz, 2 sunnat aur 2 nafil hote hain, lekin jab hum zohar ke time ki kaza e umri padhenge to zohar ki sirf 4 farz hi padhenge baaki namaz nahi padhenge.
isi tarah fajar ki 2 farz, zohar ki 4 farz, asar ki 4 farz, maghrib ki 3 farz aur isha ki 4 farz – 3 witar namaz padhenge.
Jese hum dusri namaz padhte hain wese hi kaza e umri namaz padhte hain, bas niyat hum is tarah kar sakte hain, jese zohar ke time mein (zohar ki namaz ke baad) agar hum asar ki kaza e umri padh rahe hain to niyat is tarah hogi. Niyat karta hu mein 4 rakat namaz farz ‘kaza e umri’ asar ki, waqt zohar ka……………… baaki namaz jese hoti hai wesi hi rahegi.
Humse hamari zindagi mein kitni namaz kaza ho gai hai, uska hum ek andaza laga sakte hain, jese agar hamari age 23 saal hai to hum dekhe ke islam ke hisab se baaligh hone ke baad (12-13 ki umar ke baad) humse kitni saal ki ya kitni namaz kaza hui hain, usko padhte jaaen, ek saath saari kaza namaz padhna to mumkin nahi, isliye aesa bhi kar sakte hain ke zohar ke saath zohar ki kaza e umri aur asar ke sath asar ki kaza e umri padh lete hain. Agar 5 saal ki namaz kaza hain to wo aane wale 5 saal tak puri ho jaengi. Humko jesa aasan lage hum wesa kar sakte hain. ye zaruri nahi ke zohar mein zohar ki hi kaza e umri padhi jaaegi, hum apne hisab se bhi padh sakte hain. Chahe to zohar mein asar ki kaza e umri padh len, ya asar mein zohar ki, ye apne upar hai. Aur gar hisab se zyada kaza e umri namaz bhi padh li to koi baat nahi, wo nafil ban jaengi, matlab sawab hi milega.
Lekin ye dhyan rakhiye ke farz namaz kisi bhi halat mein maaf nahi hain, isliye namaz ko barabar padhte rahe aur jo hamari kaza ho chuki hai unko bhi saath-saath padhte jaen.
Allah hum sabko 5 time ki namaz pa-bandi se padhne ki taufiq ata kare, aameen.
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017