Islamic Blog

Uthman bin Affan Radi Allahu Anhu ne wuzu ka pani mangwaya aur wuzu kiya to ( Bismillah parh kar) pahle dono haatho ko (kalaii tak) teen baar dhoya phir
( teen baar) kulli ki aur naak mein pani daala ( teen baar) aur uske baad teen baar munh dhoya aur phir dahina haath kohni tak teen baar dhoya aur uske baad bahina haath kohni tak teen baar dhoya , phir sir ka masa kiya aur phir dahina paanw dhoya teen baar aur phir bahina paanw dhoya teen baar aur uske baad kaha ki maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko dekha ki aapne isee tarah wuzu kiya jaisa maine abhi kiya aur phir Aap Sallallahu alaihi wasallam ne is tarah wuzu karne ke baad farmaya tha ki jo shaksh mere wuzu ki tarah wuzu kare phir 2 rakat (nawafil) khade hokar padhe aur kisi khayal mein garq na ho ( yani faltu khayal dil mein na laye) to uske pichle sare gunah bakhs diye jayenge
Ibn Shihab ne kaha ki hamare ulma kahte hain ye wuzu sab sare wuzu mein pura hai jo namaz ke liye kiya jaye
Sahih Muslim, Jild 1, 538

✦ Note: wuzu karte waqt gardan ka masa kisi sahi hadith se sabit nahi hai
————————————–

✦ Uthman bin Affan called for ablution water and this is how he performed the ablution. He washed his hands thrice. He then rinsed his mouth and cleaned his nose with water (three times). He then washed his face three times, then washed his right arm up to the elbow three times, then washed his left arm like that, then wiped his head; then washed his right foot up to the ankle three times, then washed his left foot like that, and then said: I saw the Messenger of Allah (Peace be upon him) perform ablution like this ablution of mine. Then the Messenger of Allah (Peace be upon him said: He who performs ablution like this ablution of mine and then stood up (for prayer) and offered two rak’ahs of prayer without allowing his thoughts to be distracted, all his previous sins are expiated. Ibn Shihab said: Our scholars remarked: This is the most complete of the ablutions performed for prayer.
Sahih Muslim, Book 2, 436
✦ Note: Wiping neck during ablution is not proven by any Authenticated hadith

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm