Islamic Blog

Rasoolallah (sallallaahu alaihi wasallam) se 1000 saal pehle Yaman ka ek Baadshah tha,

ek baar wo Baadshah apni saltanat ke daurey ko nikla,

12000 Aalim aur Hakeem,
aur 1,32000 sawaar,
aur 1,13000 paidal sipaahi Apne saath le kar is shaan se nikla ki jaha bhi pahunchta, uski shaan-o-shaukat dekh kar log jamaa ho jaate.

ye Baadshah jab daura karta hua Makka Muazzama pahuncha, toh Makke ke logo mein se koyi usey dekhne na aaya,

Baadshah hairaan hua, aur apne vazeer se iski wajah poochi,

toh vazeer ne bataya ki is shaher mein ek Ghar hai,
jise Baitullaah kehte hain,
us Ghar aur uske khaadimo ki jo ki yahi ke rehne wale hain, tamaam log Bahot izzat aur taazeem karte hain,
aur jitna aap ka Lashkar hai, isse kahi zyada log us Ghar ki zyarat ko aate hain,
aur yaha ke rehne walo ki khidmat kar ke chale jaate hain, fir aap ka Lashkar unke khayal mein kyu aaye??

ye sun kar Baadshah ko Gussa aa gaya, aur wo kasam kha kar kehne laga

“main us Ghar ko khudwa dunga aur yaha ke rehne walo ko Qatl karaunga….”

bas ye Kehna tha ki Baadshah ke naak, muh aur aankho se khoon behna shuru ho gaya, aur aisa badbudaar tha ki uske paas kisi ko baithne ki himmat na hoti thi,

Baadshah ki beemari ka bahot ilaaj kiya gaya magar koyi fayeda nahi hua.

fir Baadshah ke Aalimo mein se ek Aalim-e-Rabbaani aaye, aur Nabz dekh kar farmaya

“Marz aasmani hai aur ilaaj zameen ka ho raha hai…

Aye Baadshah ! agar aap ne koyi Buri neeyat ki hai toh fauran usse tauba kariye…”

Baadshah ne dil hi dil mein Baitullaah shareef aur uske khaadimo ke baare mein apne iraade se tauba ki…

tauba karte hi uska khoon behna band ho gaya aur fir sehat ki khushi mein us ne Baitullaah shareef ko Reshmi Ghilaaf chadhaya,
aur shaher ke sab logo ko 7-7 Asharfi aur 7-7 Reshmi jode gift kiye.

fir Baadshah aur uska Lashkar Makka se Madeena Munawwara pahuncha, toh Baadshah ke saathi Aalimo ne, Jo ki Aasmani kitabo ke Aalim thy, unho ne waha ki mitti ko soongha aur waha ki kankariyo ko dekha, aur Nabi-e- Aakhiruz’zama (sallallaahu alaihi wasallam) ki Hijrat’Gaah ki jo nishaaniya unho ne pardhi thi, unke mutaabik is sarzameen ko paya, toh unho ne aapas mein ye tay kar liya ki ham yahi rahenge yahi par hi marenge aur is sarzameen ko nahi chordenge,

agar Hamari kismat ne saath diya to kabhi na kabhi jab Nabi-e- Aakhiruz’zama (sallallaahu alaihi wasallam) yaha Aayenge toh hame bhi zyarat ka sharf hasil ho jayega, Warna Hamari Qabro par toh zaroor hi kabhi na kabhi un ki joote ki muqaddas khaak ud kar pad jayegi, jo Hamari nijaat ke liye kaafi hai.

ye sun kar Baadshah ne un Aalimo ke liye 400 makaan banwaye, aur sabse bade Aalim-e- Rabbani ke makaan ke paas Rasoolallah (sallallaahu alaihi wasallam) ke liye ek 2 manzila behtreen makaan banwaya, aur waseeyat kar di ki

“jab bhi Nabi-e- Aakhiruz’zama (sallallaahu alaihi wasallam) yaha jalwa afroz honge, toh ye makaan Aap (sallallaahu alaihi wasallam) ki Aaraam’Gaah hoga”

Baadshah ne un Olema ki bahot maali (financial) madad bhi ki aur kaha

“tum log hamesha yahi raho”

aur fir bade Aalim-e- Rabbaani ko ek Khat diya, aur kaha

“ye mera khat Nabi-e- Aakhiruz’zama (sallallaahu alaihi wasallam) ki baargah mein pesh kar dena, aur agar zindegi bhar tumhe Huzur (sallallaahu alaihi wasallam) ki zyarat ka mauka na mile, toh apni aulaad ko waseeyat kar dena ki ek nasl ke baad dusri nasl mera ye khat mehfooz rakkhein…. yaha tak ki Nabi-e- Aakhiruz’zama (sallallaahu alaihi wasallam) ki khidmat mein ye khat pesh kiya jaaye…”

ye keh kar Baadshah waha se chal diya.

wo khat Nabi-e-kareem (sallallaahu alaihi wasallam) ki khidmat mein ek Hazaar saal ke baad pesh hua..

kaise pesh hua aur khat mein kya likha tha… ab ye suniye..

(khat ka Tarjuma)

“kamtareen makhlook ‘TabaA Awwal Hameeri’ (ye Baadshah ka naam hai) ki taraf se, Shafee-ul- Muznebeen… Saiyyad-ul- Mursaleen… Mohammad Rasoolallah sallallaahu alaihi wasallam…

Am’ma Ba’ad ! Aye Allah ke Habeeb (sallallaahu alaihi wasallam) main Aap par imaan laata hu, aur jo kitaab Aap par Naazil hogi, us par bhi imaan laata hu, aur main Aap ke Deen par hu. Bas, agar mujhe Aap ki zyarat ka mauka mil gaya to bahot achcha, aur agar main Aap ki zyarat na kar saka to Qayamat ke din Shafa’at farmana, aur Qayamat ke din mujhe mujhe nazar’andaz na karna, main Aap ki pehli Ummat mein se hu aur Aap ke saath Aap ki aamad se pehle hi baiAt karta hu, Main Gawahi deta hu ki Allah ek hai aur Aap uske sachche Rasool hain.”

Baadshah ka ye khat, nasl dar nasl un Aalimo mein mehfooz chala aaya,

yaha tak ki ek Hazaar saal ka arsa guzar gaya…

un Aalimo ki aulaad is kasrat se badhi ke Madina ki aabadi mein kayi guna azaafa ho gaya..

aur ye khat haatho haath hota hua, us bade Aalim-e-Rabbani ki aulaad mein se Hazrat Abu Ayub Ansari (radhiyallahu anho) ke paas pahuncha,

aur aap ne wo khat apne khaas ghulaam Abu’Laila ki tehveel mein rakkha,

aur jab Huzur (sallallaahu alaihi wasallam) Makka Muazzama se hijrat farma kar Madeena Munawwara pahunche, toh Madeena ke khush’Naseeb log Rasoolallah (sallallaahu alaihi wasallam) ka istaqbaal (welcome) karne ke liye umad pade thy..

koyi apne makano ko saja raha tha…

koyi galyo aur sadko ko saaf kar raha tha…

koyi daawat ka intezaam kar raha tha…

aur sab yahi israar (insist) kar rahe thy ki ‘Huzur Hamare ghar mein thehrein…’

Rasoolallah (sallallaahu alaihi wasallam) ne farmaya…

“meri oontni ki nakel chord do, ye jis ghar mein rukegi aur baith jayegi, wahin meri Qayaam’gaah hogi”

oontni ki nakel chordi gayi,
to wo usi makaan mein ruk gayi jo Baadshah ne Rasoolallah (sallallaahu alaihi wasallam) ke liye banwaya tha.

logo ne fir Abu’Laila ko bheja ki jao Huzur (sallallaahu alaihi wasallam) ko Baadshah ka khat de aao,

jab Abu’Laila hazir hua to Huzur (sallallaahu alaihi wasallam) ne usy dekhte hi farmaya “tu abu’laila hai”

ye sun kar Abu’Laila hairaan ho gaya.

Huzur (sallallaahu alaihi wasallam) ne fir farmaya

“main Mohammad Rasoolallah hu, (sallallaahu alaihi wasallam),

Baadshah ka jo khat tumhare paas hai, Laao wo mujhe do”

Abu’Laila ne wo khat Huzur (sallallaahu alaihi wasallam) ko diya,

aur Huzur (sallallaahu alaihi wasallam) ne khat padh kar farmaya

‘Swaleh bhai ko Aafreen wa Shabaash hai”

(Meezaan-ul- adyaan)
(Hujja’tullaah alal Aalameen)

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm