Islamic Blog

*Bismillahirrahmanirrahim*

*Yaum e Araafa ki Fazilatein*
——

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya koi din nahi jis mein Allah Subhanahu Arafah ke din se badh kar bando ko aag se azad farmata hai wo apne bando ke qareeb hota hai aur farishton ke samne unlogo ki bina par faqr karta hai aur puchta hai ye log kya chahate hai
Sahih Muslim – 3288

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Arafah hajj hai
Sunan ibn Maja – 3015

*✦Hadith: Aaraafa ke Maqam par Allah Subhanahu ne Adam Alahaisalam ki Aulad se Ehad liya*
——
✦:Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ne Na’maan Yani Araafa ke Maqam par Adam Alahaisalam ke Aulad se Mazbut Ehad liya uska tareeqa ye tha ke Allah Subhanahu ne unke pusht (peet ) se sari Aulad nikali Jo usne paida Karni thi aur unko Aapne samne cheentiyon ki tarha bikhair diya aur phir unse amne samne kalam Karte hue kaha “Kya Main tumara RABB Nahi Hu “? sabne Jawab Diya kyu Nahi ham Sab gawa bante Hain , taake tum log Qayamat ke din aisa na kaho ke ham iss se be khaber thay Ya aisa kaho ke pehle pehal ye shirk to hamare bado ne Kiya aur ham unke bad unki nasal mein hue to kya un Galt rah walo ke kaam par Tu ham ko halaqat mein Dal Dega
( Musnad Ahmed hadees #1)
——-
*✦:Hadith: Araafa ke din Ka roze se ek Saal pehle aur Ek Saal guzre hue Ke Gunah baksh diye jaate Hain*
————
✦:Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jisne Araafa ke din roza rakha to Uske ek Saal ke agle aur Ek Saal ke peechle gunah baksh diye jaenge
( Sunan Ibn Maja hadees#1731)

*✦:Hadith: Araafa ke din Allah Subhanahu ne Deen e Islam Mukamal Kiya*
——
✦:Ibn Abbas Radi Allahu Anhu ne aayat tilwat farmaye
*الْيَوْمَ أَكْمَلْتُ لَكُمْ دِينَكُمْ وَأَتْمَمْتُ عَلَيْكُمْ نِعْمَتِي وَرَضِيتُ لَكُمُ الإِسْلامَ دِينًا*
Unke paas ek yahudi baitha hua tha usne Kaha agar ye aayat ham( Yahudi ) par nazil huyee Hoti to jis din ye aayat nazil huyee Hain us din ko ham Eid Ka din Bana lete ye sun Kar ibn Abbas Radi Allahu Anhu ne Kaha ye aayat Eid hi ke din nazil huyee us din Juma aur Araafa Ka din tha ( aur ye dono Muslmano ki Eid ke din Hain)
(Jamia Tirmaizi hadees#3044)

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)