Hadith: Abdullah bin khubayb (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‘Subah aur sham 3 baar Surah Al-Ikhlas , Surah Al-Falaq aur Surah An-Nas padh liya karo, ye tumhe har cheez ke liye kaafi ho jayegi (yani har tarah ki pareshaniyo se bachne ke liye ye kaafi hain)
- Sunan Abu dawud, Jild 3, 1643-Hasan
Hadith: Uqba bin Amir (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: “Har Namaz ke baad Aakhri teen Surah yani Surah Al-Ikhlas, Surah Al-Falaq aur Surah An-Nas padha karo.”
- Silsila Ahadees-e-Sahiha, 2776
Latest posts by Noor Saba (see all)
- शब ए बारात की रात में क्या पढ़े | 2022 शब ए बरात का रोज़ा कब रखते है | - 7th March 2022
- Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात) - 5th March 2022
- शब ए बारात की नमाज और सलामत तस्बीह (हिंदी) - 5th March 2022