Islamic Blog

  1. Logo ki khatir karm karna :-Allah tala ka farman hai : main sajhi banane wale ke sirq se be niyaz hoon,jis ne koi karm kia jis me mere saath kisi dusre ko sajhi banaya to mai use aur uske kam ko uske muh par maar deta hoon.
  2. Bahiri achayi aur ander ki burayi : Mujhe yese kom ke baare me jankari hai jo kayamat ke din tihama ke safed pahado jaisi nekiaya lekar aayenge, jinhe allah-ta-aalah khayi hui bhusa ki tarah kar dega !

Soban ne kahan : ye allah ke rasool aap unki sifat hame bata dijiye taki hum awgya ke karan un me se na ho jaye,to aap ne farmaya  sun lo we tumhari hi chamdi wale tumhari biradari ke log hai  aur jis karan tum raaton me kiyas karte ho we bhi karte hai lekin we log yese log hai ki jab akele me hote haihai to gunah kiya karte hai.

  1. Ghamand : jannat me yesa aadmi nahi jayega jis ke dil me thoda barabar bhi ghamand ho Kibr ka meaning: haq ka inkar karna aur logo ko hakir samjhana
  2. Kapda niche tak pahanna : pazama,kameez aur pagdi in sabhi me isbal ka etbar hota hai aur jis ne koi chij ghamand karte hue nicha karke pahna to allah us ki aur kayamat ke din nahi dekhega
  3. Hasad : tum hasad se bacho : kyuki hasad neki is tarah se mita deta hai jis tarah aag lakdi ko raakh bana deti hai ya kaho ghas bhus ko!
  4. Sudh : Nabi (S.A.W) ne Sudh lene wale aur Sudh dene wale par lanat ki hai  sud ka ek driham jise aadmi jante hue khata hai 36 aurton se balatkar karne se badhkar hai.

To be continue……

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm