Islamic Blog

YOUM E WISAAL UMM AL MOMINEEN HAZRAT KHADEEJA RADIALLAHU TAALA ANHA 10 RAMZAN-UL-MUBARAK :

HAZRATE KHADEEJA RadiALLAHU Anha AAP HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KI SAB SE PAHLI BIWI & RAFEEQ-E-HAYAAT HAI AAP KHAANDANE QURAISH KI BAHUT HI BAAWAQAR Wa MUMTAAZ KHATOON HAI.
AAPKE WALID KA NAAM KHUWAILID IBNE ASAD & MAA KA NAAM FAATIMA BINTE ZAAYEDA HAI.

AAPKI SHARAFAT & PAK-DAAMNI KI BINA PAR TAMAM MAKKA WALE
UNKO “TAAHIRA” KE LAQAB SE PUKARA KARTE THE. UNHONE HUZOOR Sallallahu Alayhi Wasallam KE AKHLAAQ wa AADAAT & JAMAL-E-SOORAT wa KAMAAL-E- SEERAT KO DEKH KAR KHUD HI AAPSE NIKAAH KI RAGHBAT ZAAHIR KI. & ASHRAFE QURAISH KE MAJMA ME BAQAIDA NIKAAH HUA
AAP HUZOOR Sallallahu alayhi Wasallam KI BAHUT HI JAAN-NISAAR &
WAFA SHEAAR BIWI HAI HUZOOR KO UNSE BAHUT HI BEPANAH MUHABBAT THI JAB TAK YAH HAYAAT RAHI AAPNE DUSRA NIKAH NA FARMAYA
MUSALSAL 25 SAAL TAK MAHBUBE KHUDA KI JAAN-NISARI wa KHIDMAT
GUZARI KE SHARAF SE SARFARAZ RAHI.

AAPKI WAFAAT KE BAAD HUZOOR- E-AQDAS NE APNI MAHBOOB TAREEN BIWI HAZRATE AAISHA SE Nikah FARMAYA HAZRATE AAISHA SE FARMAYA
KARTE THE: KHUDA KI QASAM! KHADEEJA SE BEHTAR MUJE KOI BIWI
NAHI MILI.

(ZURQANI JILD-3,SAFA-224 ISTEE’AAB JILD-4,SAFA-1817)

AAP KA MAZARE POOR ANWAR MAKKAH SHAREEF KE QABRASTAN JANNATUL MAALA ME HAIN

Hayate Tayyaba HAZRATE KHADEEJA RadiALLAHU Anha SAB SE PAHLE HUZOOR KI NABUWWAT PAR YAHI IMAAN LAAYE :

IBTEDAE ISLAM ME JAB KI HAR TARAF AAPKI MUKHALAFAT KA
TUFAN UTHA THA AISE KATHIN WAQT ME SIRF EK HAZRAT KHADEEJA HI KI ZAAT THI JO PARWANO KI TARAH HUZOOR PAR QURBAN HO RAHI THI.
IS KHUSOOSIYAT ME TAMAM AZWAAJE MUTAHHARAAT PAR UNKO
MUMTAAZ FAZILAT HAASIL HAI. UNKE FAZAAIL ME BAHUT SI HADISE
BHI AAYI HAI HUZOORE AKRAM Sallallahu alayhi wasallam NE FARMAYA:
TAMAM DUNIYA KI AURATO ME SAB SE ZYADA ACHCHHI & BAKAMAAL 4 BEEBIYA HAI

1. HAZRAT MARYAM
2. HAZRAT AASIYA (FIRAUN KI BEEWI)
3. HAZRAT KHADEEJA
4. HAZRAT FAATIMA
(BUKHARI J-1, S-539)

EK MARTABA HAZRAT JIBRAIL ALAYHIsSALAM DARBARE NABUWWAT ME HAAZIR HUE Aur ARZ KIYA JAB YAHA JAB HAZRATE KHADEEJA AAPKE PAAS AA JAYE TO UNSE UNKE RAB KA & MERA SALAM KAH DIJIYE. AUR UNKO YE KHUSHKHABRI SUNA DIJIYE KI JANNAT ME UNKE LIYE MOTI KA EK GHAR BANA HAI
(BUKHARI J:1 S:539)

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm