Yani kaun zakaat lene ke mustahiq hain?
Allah ka farmaan hai
” sadqe sirf faqeeron, miskeeno aur unke wasool karne waalon ke liye hain, aur unke liye jinki taaleef e qalb maqsood hon, aur ghulamon ko azaad karaane me aur qarz daaron ke liye aur allah ki raah me aur musaafir k liye, ye farz hai allah ki taraf se”
(surah tauba 60)
is ayat se malum hota hai ke zakaat ke mustahik yahi 8 hain, inko chhod kar kisi aur par zakaat kharch nahi ki ja sakti..
Albatta ye zaroori nahi ke zakaat ki raqam in 8 par kharch ki jaaye balke inme se jo zyadah munasib aur zyadah zarurat mand hon us par ise kharch kar diya jaaye
1- FUQARA AUR MASAKEEN:
Se muraad wah log hain jo zarurat mand hon aur jin ke paas itna maal na ho ke jisse wah apne biwi bacchon ke akhraajaat poore kar saken, unhen zakaat ki raqam se itna paisa diya jaaye ke jo ziyadah se ziyadah ek saal tak unki zaroorat ke liye kaafi ho
2-AAMEELEEN ALAIHA:
isse muraad zakaat ikattha karne waale aur use mustahaqeen me taqseem karne waale log hain, unhe zakaat ki raqam se unke kaam ke badle tankhwah diya ja sakta hai, khwaah wah maaldaar kyon na hon,
3- WAL MUWALAFA QULOO BUHUM:
Isse muraad kamzor imaan waale naye muslim log hain, ya aise log jinke musalmaan hone ki ummeed ho, ya aise kuffar jinko maal dene se toqa ho ke wah aise qabeele ya ilaaqe ke logon ko musalmano par hamlawar hone se rokenge..
5- WAFIR’RIQAAB:
Isse muraad ye hai ke ghulaamon ko uske aaqaaon se chhuda kar azaad kar dena
6-MAQROOZ:
Jo karz dene ki taqat na rakhta ho, use zakaat ki raqam di ja sakti hai, ba’sharte usne qarzah jaayez maqsad ke liye liya ho,
isi tarah aise log jinka kaarobaar shadeed khasaare ka shikaar ho gaya ho, toh unhe bhi zakaat di ja sakti hai…
7- FI’SABEELILLAH:
Se muraad jihaad aur deegar tamaam deeni maqasad hain jo allah ki raza ke hote hain, maslan madaris ki taameer, unme zer taaleem talbah(students) aur hospital wagerah me zakaat ki raqat kharch ki ja sakti hain,
8- Wah musaafir jiska safar jayez maqsad ke liye huwa ho aur uska zaad e raah dauraan safar khtam ho jaaye aur wah safari zaruriyaat ko poora karne ke liye paise ka mohtaaj ho, use bhi zakaat di ja sakti hai….
Mazkoorah mustahaqqeen zakaat agar apne qareebi rishtedaaron me mil jaaye to unhe zakaat dene se dugna(double) Ajar(benefit) milega…
Apne biwi, bacchon aur waalidain ko zakaat nahi di ja sakti,
haan ! Bahen, bhai, agar zarurat mand hon to unhe zakaat dene se dugna(double) ajar milega, isi tarah daulat mand aur kamaane waale aur faasiq wa faajir ko zaakaat nahi di ja sakti….
Aur aal-e-rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ko bhi zakaat nahi di ja sakti……
NOTE: AMAL KARNE SE PAHLE KISI AALIM SE MASHWARA KAR LEN…… Jazakallahu khairan kaseera..
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017