Islamic Blog

Bismillahirrhamanirrahim

✦ Mafhum-e-Hadith: Zameen , pahad, Loha, Aag , paani aur hawa se bhi mazbut ibn a adam ka chupa kar diya hua sadqa hai
———-
✦ Anas bin Malik Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jab ALLAH subhanahu ne zameen banayee to wo harkat karne lagi phir ALLAH ne pahad banaye aur unhe hukm diya ki unhe thame raho, farishto ko pahado ki mazbuti par tajjub hua unhone pucha Eh ALLAH kya aapki makhluqat mein pahado se zyada mazbut bhi koi cheez hai, ALLAH ne farmaya haan loha , phir unhone pucha ki kya lohe se zyada sakht bhi koi cheez hai to farmaya Aag , phir farishto ne pucha ki is se sakht ? to farmaya paani , farishto ne phir pucha ki is se sakht (ALLAH ne) farmaya hawa farishto ne phir pucha ki is se bhi zyada sakht aur koi cheez hai to ALLAH subhanahu ne farmaya wo ibn Adam hai jo dahine haath se sadqa karta ho aur bahine ko bhi khabar na ho( yani chupa kar sadqa karta ho)
Jamia Tirmidhi , Vol 2, 1294-Hasan

✦ Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Dojakh se bacho Sadqa dekar chahe Khajur ka ek tukda dekar hi sahi aur jise ye bhi na mile use chahiye ke achchi baat kahkar (kyunki Achchi bata kahna bhi sadqa hai)
Sahih Bukhari, Vol 8, 6563
———–
✦ अनस बिन मलिक रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जब अल्लाह सुबहानहु ने ज़मीन बनाई तो वो हरकत करने लगी फिर अल्लाह ने पहाड़ बनाए और उन्हे हुक्म दिया की उन्हे थामे रहो, फरिश्तो को पहाड़ो की मज़बूती पर ताज्जुब हुआ उन्होने पूछा एह अल्लाह क्या आपकी मख्लुकात में पहाड़ो से ज़्यादा मज़बूत भी कोई चीज़ है, अल्लाह ने फरमाया हाँ लोहा , फिर उन्होने पूछा की क्या लोहे से ज़्यादा सख़्त भी कोई चीज़ है तो फरमाया आग , फिर फरिश्तो ने पूछा की इस से सख़्त ? तो फरमाया पानी , फरिश्तो ने फिर पूछा की इस से सख़्त (अल्लाह ने) फरमाया हवा फरिश्तो ने फिर पूछा की इस से भी ज़्यादा सख़्त और कोई चीज़ है तो अल्लाह सुबहानहु ने फरमाया वो इब्न आदम है जो दाहिने हाथ से सदक़ा करता हो और बाएँ को भी खबर ना हो( यानी छुपा कर सदक़ा करता हो)
जामिया तिरमिज़ि ,जिल्द 2, 1294-हसन

✦ रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया दोजख से बचो सदक़ा देकर चाहे खजूर का एक टुकड़ा देकर ही सही और जिसे ये भी ना मिले उसे चाहिए के अच्छी बात कहकर (क्यूंकी अच्छी बता कहना भी सदक़ा है)
सही बुखारी, जिल्द 8, 6563

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm