Islamic Blog

Hadeeṡ e Nabawi :

(1) Hazrat Burida radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya ki
‘Maine tum logo ko qabro ki ziyarat se mana kiya tha. Ab main tumhe ijaazat deta hu ke un ki ziyarat karo.’

(Muslim;
Mishkaat, Safa -154)

2666 Hazrat Shaikh Abdul Haq Mohaddeeṡ Dehalwi rahmatullāhi alaihi is Hadees shareef ki Sharah me farmaate hain ki :

‘Zamaana e jaahiliyat se qareeb hone ke sabab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne pehle is andeshe se qabro ki ziyarat se mana kar diya tha ki log un ke saath phir se kahi jaahiliyat wala rawaiya ikhtiyar na kar len.
Phir jab Islaam ke qaanoon se log khoob aagaah ho gaye to Aap sallallāhu alaihi wa sallam ne qabro ki ziyarat ke liye ijaazat de di.’

(Ash’at ul Amlaat, Jild -1, Safa -717)

(2) Hazrat Ibne Mas’ood radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaya ki
‘Maine logo ko qabro ki ziyarat se roka tha, to ab tum un ki ziyarat karo.’

(Ibne Maajah;
Mishkaat, Safa -154)

(3) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaya ki
‘Tum Qabro ki ziyarat kiya karo, Kyun ki wo tumhe Maut ki yaad dilaati hai.’

(Sahih Muslim, Jild -2, Hadeeṡ -2259)

(4) Hazrat Mohammad bin Nomaan radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya ki
‘Jo apne maa-baap ki qabron ki ziyarat kare ya un me se kisi ek ki qabr ki har Jum’aa ke din ziyarat kare, to use bakhsh diya jaayega aur use neki karne wala likha jaayega.’

(Mishkaat, Safa -154)

*********************
(4) Hazrat Aa’isha Siddeeqa radiy-Allāhu ta’ala anha se riwaayat hai ki
‘Jis raat ko Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam mere yaha qayaam farmate to raat ke aakhri hisse me uthkar Madeena ke qabrastan me tashreef le jaate.’

(Muslim,
Mishkaat, Safa -154)

(5) Hazrat Abu Huraira, Sa’ad bin Abi Waqqaas, Mohammad bin Ibrāheem aur Uqaba bin Umar radiy-Allāhu ta’ala anhuma se riwaayat hai ki
‘Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam har saal Shohada e Uhad ki mazaar par tashreef le jaate aur waha farmate ‘Tum par salaam ho kyun ki tum ne sabr kiya. Tumhara akhirat ka ghar kaisa achha hai.’
Isi tarah Hazrat Abu Baqr Siddeeq, Hazrat Umar Faarooq, Hazrat Uṡmaan Ghani aur Hazrat Ali radiy-Allāhu ta’ala anhuma bhi har saal Shohada e Uhad ke mazaar e mubarak ki ziyarat karte the.’

(Sharah al Sudoor, Safa -210;
Tafseer Jaamia al bayaan 13/ 96;
Ibne Kaṡeer 2/ 791;
Tafseer e Kabeer 19/ 45;
Qurtabi, Jild -5, Safa -313)

********************
2666 In ahadeeṡ se saabit hota hai ke Auliya Allāh ke mazaar aur Qabrastan ki ziyarat karna jaaṡiz hai.

*****************
Qur’an :
10 Surah al-Younus, Aayat 62, 63, 65 :

Khabardaar sun lo beshak jo ALLĀH ke dost hote hain un ko na to koi khauf hota hai na koi gam hota hai.
Wo log jo eimaan laaye aur (hamesha) taqwa par rahe.
Un ke liye duniya ki zindagi me (izzat wa kaamyaabi ki) khush-khabari hai aur aakhirat me bhi (maghfirat wa shafa’at ki).

*****************
Auliya Allāh ke foyuz o barkaat haasil karne ke 8 tareeqe hain :

(1) Bai’at (2) Ta’azeem (3) Sohbat wa khidmat (4) Ita’at (5) Itteba (Pairwi) (6) Tawassul wa Istigaaṡah (7) Madah wa Zikr (8) Isaal e ṡawaab (9) Ziyarat.

*****************
2666 Auliya Allāh ke mazaar par jaana (Khaas kar Urs ke mauqe par) aur un ke waseele se dua karna jaa’iz hai.

Auliya Allāh ke mazaar par ALLĀH ta’ala ki rahmat o noor ki tajalliyaat ki baarish zyada hoti hai. Is liye un ke foyuz o barkaat ka faaida hame bhi milta hai.

Jis tarah electricity ki line me sab jagah electric current hota hi hai
Lekin jis point pe holder me ya plug me lamp, tube ya pankha (fan) wagairah laga hai waha hame is ka faa’ida milta hai.

*****************
Ziyarat ka Tareeqa :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Jab qabrastan jaayen ya Auliya Allāh ke mazaar par jaayen to pehle salaam karen ke wo salaam sunkar us ka jawaab dete hain. Jo hum nahi sun sakte, sirf dusre Auliya Allāh hi sun sakte hain.

Jab qabrastan ya mazaar par pahunche to agar yaad ho to Durood e Hazaari (Roohi) padhen ke is ka bahot ṡawaab aur fazeelat hai.
Agar yaad na ho to koi bhi Durood shareef padhen.

Phir agar aap phool saath laayen ho to qabr par wo rakhen.

Phir qabr ke paayanti ki taraf khade rahen.
Agar jagah na ho to kisi bhi taraf khade ho sakte hain.
Qabr ke bilkul qareeb na khade rahen ya baithen, thoda door baithen.

Phir Durood shareef ke baad Surah Faatiha, Surah Kaafiroon, Surah Ikhlaas, Surah Falaq, Surah Naas aur Aayat ul Kursi aur jo bhi dusri surah yaad ho wo padhkar ya Qur’an shareef dastyaab ho to tilaawat karke isaal e ṡawaab karen.
Ya phir Kalma ya Tasbeeh ya Durood padhte rahen.

Is ke baad un ke liye dua e maghfirat karen.
Phir ALLĀH ta’ala se Huzoor Pyare Aaqa sallallāhu alaihi wa sallam aur Auliya Allāh ke waseele se apne liye aur sab musalmano ke liye deen aur dunya ki bhalai ke liye dua karen.
In shaa Allāh ALLĀH ta’ala apne muqarrab bando ke sadqe me hamari dua qubool farmaega.

Waha se nikalte waqt bhi salaam karen.

*****************
Ziyarat ke muta’alliq chand khaas zaroori baaten :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Auliya Allāh ke mazaar par Tilaawat e Qur’an, Zikr aur Durood o salaam padhna aur ALLĀH ta’ala se un ke waseele se dua karna jaa’iz hai.

(2) Qabr par ya mazaar par phool aur sabz patte rakhna jaa’iz hai.
Jab tak ye tar (sabz) rahenge tab tak us ahle qabr ko us ka faa’ida hoga.

Agar wo aam musalman hai aur agar gunaah ki wajah se us ko azaab ho raha hai to us ka azaab kam hoga.
Aur agar wo Auliya Allāh hai ya nek banda hai to us ko sawaab milega aur us ke darjaat buland hote rahenge.

(3) Qabr ko sajda karna ya chumna ya rooku’ ki tarah jhukna ya us ka tawaaf karna ye sab BID’AT E MUKAFFARAH (ya’ni Shirk aur Kufr tak pahunchane wali) hain.

Aur Mazaar par ya qabrastan me aurto ko jaana, naachna aur gaana-bajaana, khel tamaasha karna ye sab BID’AT E FASSAQAH (ya’ni gunaahgaar banaane wali) hain.
Aur kaafiro ki koi bhi rasm ya tareeqa sahi maankar apnaana bhi Kufr hai.

In sab se hamesha bachen aur dusro ko bhi in se bachne ke liye kahen.

(4) Mazaar par roshni ke liye chiraag wagairah jalaana mubaah (jaa’iz) hai.
Mazaar par ki gai roshni se raat ke waqt ya andhere me waha aane walo ko ya waha se guzarne walo ko faa’ida milta hai.
Maujooda daur me bijli (electricity) ki sahulat hai, is liye lamp ya tube ke zariye bhi roshni ki ja sakti hai. Us ke baad bhi Tel wagairah se chiraag jalaana zaroori nahi ke ye fuzulkharchi ya’ni maal ko zaaya karna hai.
Isi tarah 1 ya 2 chiraag se roshni ho gai aur wo kaafi ho to zyada chiraag jalaana bhi fuzulkharchi ya’ni maal ko zaaya karna hai.

Qabr ke upar aag jalaana mana hai.
Agar mazaar ya qabr ke paas Chiraag ya Mombatti ya Agarbatti jalaana chahen to 3 haath se zyada faasle par jalayen.
Agar mazaar me jagah na ho to baahar jalayen.

(5) Auliya Allāh aur buzurgaan e deen ki qabr par Chaadar [gilaaf] sirf un ki shaan wa martaba zaahir karne ke liye chadaate hain.
Mazaar par jab ek chaadar maujood ho, Kharaab [boshida] na hui ho, Badalne ki haajat na ho to dusri chaadar chadhaana Fuzulkharchi hai ya’ni maal ko zaaya karna hai. Balke jo raqam is me sarf karte hain wo ALLĀH ke wali ko isaal e ṡawaab karne ke liye kisi mohtaaj ko den. Rasm ke taur par chaadar chadhaana ya badalte rehna sahi nahi hai.

(6) Aurto ko Qabrastan ya Auliya Allāh ke mazaar par jaana sakht mana hai.
Is liye islaami bahene khud bhi waha na jaayen aur dusri baheno ko bhi waha na jaane ke liye samjhayen.

Aurte jab apne ghar se mazaar par jaane ke liye nikalti hai us waqt se us par farishto ki la’anat shuru ho jaati hai aur jab tak wo apne ghar par waapas aati hai tab tak la’anat jaari rehti hai.

Aur agar beparda nikalti hai to behayai ka gunaah bhi karti hai aur us ko dekhne wale mardo ke gunaah bhi us ke zimme honge.

Sirf Pyaare Aaqa Sarkare Madeena sallallāhu alaihi wa sallam ke Roza e anwar ki ziyarat ke liye aurte bhi (parde me) jaa sakti hain ke ye Rahmat e aalam sallallāhu alaihi wa sallam ka darbar hai aur zariya e rahmat wa maghfirat hai aur Hajj ya Umraah ko jaane walo ke liye Roza e rasool ki haazri waajib hai.

Agar aurte isaal e ṡawaab karna chaahe to apne ghar par Tilaawat e Qur’an ya Durood shareef ya Kalma wagairah jo kuchh bhi yaad ho padhkar isaal e sawaab karen.
Ya un ke naam se niyaaz karen aur kisi ghareeb -miskeen aur haajatmando ko khaana khilaayen ya khairaat karen.

Mard bhi apne ghar par ye sab kar sakte hain.
Agar mard qabrastan ya mazaar par jaakar isaal e ṡawaab ke liye Tilaawat e Qur’an wagairah karen to bhi behtar hai.

(7) Kisi wali Allāh ka mazaar agar bahot door ho to waha par chalkar jaana mana hai. Ziyarat ke liye sawaari par jaayen.

(8) Mazaar par haazri me Auliya Allāh ke foyuz o barkaat haasil karne ki niyyat rakhen.
Picnic ki niyyat se jaana ya logo ko dikhaane ke liye jaana (riya) ya Aurto ka saj-sanwar kar mardo ke bich me jaana aur mardo ka un aurto ko dekhte rehna ye sab gunaah hai.

(9) Kisi ne kisi wali Allāh ke mazaar ki ziyarat ki mannat maani aur kisi wajah se wo pura na kar saka to is baat ka afsos ya malaal na kare kyun ki ye Mannate Sharai nahi hai balke Mannate Urfi hai. Apne ghar par ya kisi bhi jagah par wali Allāh isaal e ṡawaab kare to kaafi hai.

(10) Mazaar par jaakar sirf phool rakh dena kaafi nahi, balke Tilaawat e Qur’an karke isaal e ṡawaab karna behtar aur mufeed hai. Kuchh yaad na ho ya waqt kam ho to kam az kam Durood shreef ya Kalma padhkar isaal e ṡawaab karen.

(11) Shab e Baraat ko Qabrastan aur mazaarat ki ziyarat ke liye jaana aur Dua e maghfirat aur Isaal e ṡawaab karna ye achhi baat hai.
Magar sirf Shab e Baraat ko ya aur koi khaas din me ya raat me hi Qabrastan aur mazaarat ki ziyarat ke liye jaana chaahiye aisa nahi hai balke jab bhi fursat mile tab Qabrastan jaakar Dua e Maghfirat aur Isaal e sawaab karte rehne chaahiye khaas kar Shab e Jum’aa (Jumeraat aur Jum’aa ki darmiyaani raat) aur Jum’aa ko.
Qabrastan ki ziyarat maut ki yaad dilaati hai aur Dua e Maghfirat aur Isaal e ṡawaab se Ahle Qabr ko qabr me raahat hoti hai.
Aur Qabrastan aur mazaarat ki ziyarat me islaami tareeqa apnaana chaahiye aur har buri bid’at se door rehna chaahiye.

*********************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko mukammal Ishq e Rasool ata farmae.
Aur Sab ko hidaayat ata farmae aur in tamaam baato ko yaad rakhkar amal karne ki aur dusro ko sahi tareeqe se samjhane ki taufiq ata farmae aur gunaaho se aur buri bid’ato se bachne ki taufiq ata farmae.
Aameen.

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm