Islamic Blog

*Assalamu Alaikum*
Dosto – Hum jis QAAYNAT (univers) me Rahte Hain – isme – Karoro Galaxies Hain
Har galaxy (Tara Mandal) me Karoro Arabo TAARE Hain
Hamari galaxy- yani MILKY WAY me bhi 200 karor Taare (sooraj) Hain
Hamara *SOORAJ* bhi ek TAARA Hai
Ye Hamari DUNIYA se -Sabse Nazdeeki TAARA Hai
Sooraj – Humse kareeb 14 karor k.m doori per Hai
Azeezo Dosto – ALLAH (s.n.t) ne itni Azeem QAAYNAT Banayi Hai
Ki – Usme Hum aur Hamari Duniya ZERO ke Baraber Hain
Ye Qaynaat – Science ki Soch (kalpna) se Bahut Badi Hai
1925 me – America ke space scientist “ADONE HUBBLE” ne – Ek Bahut Chauka dene wali KHOJ ki – Usne Bataya – ki > ye sabhi “galaxies” Ek doosre se Door Huyi Jaa Rahi Hain
Yaani – ye Qaynaat PhaiL Rahi Hai – Lagataar is ka PhaiLaaw (wistaar) Ho Raha Hai
Aaj bhi – Unki – KHOJ ko 20 vi Sadi ki-Ek Mahan KHOJ ke Taur pe Mana Jaata Hai
isi baat ko -Hum QURAAN me Dekhte Hain
Surah no 51- Aayat no 47 me ALLAH Farmate Hain
*(BESHAK) AASMANO KO HUMNE APNE ZORR (QUDRAT) SE BANAYA HAI -AUR- HUM HI ISKO PHAILAV (WISTAAR) DENE WALE HAIN )*
Azeezo dosto – zara dhyan dijiye – ki- QURAAN paak me – UNIVERS ke PhaiLaw ki Baat – Us waqt (1400 Saal pahle) Hame ALLAH ne Bata di thi – Jabki – Us waqt “insaan” ne Durbeen ka bhi EEJAAD Nahi kiya tha
***($UBHAN ALLAH)***

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm