Islamic Blog

ALLAH Rabbul Aalamin Qur’an-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai

“Rozo Ki Raato Me Apni Aurato Ke Pas Jaana Tumhare Liye Halaal Hua. Wah Tumhari Libaas Hai Aur Tum Unke Libaas, ALLAH Ne Jaana Ki Tum Apni Jaano Ko Khayanat Me Dalte The To Usne Tumhari Taubah Qabool Ki Aur Tumhe Muaf Farmaya. To Ab Unse Sohbat Karo Aur Talab Karo Jo ALLAH Ne Tumhare Nasib Me Likha Ho Aur Khaao Aur Piyo. Yaha Tak Ki Tumhare Liye Jaahir Ho Jaye Safedi Ka Dora, Siyahi Ke Dore Se Pou Fat Kar. Fir Raat Aane Tak Roze Pure Karo Aur Aurato Ko Hath Na Lagao Jab Tum Masjido Me Etikaf Se Ho. Yah ALLAH Ki Hade Hai Unke Paas Na Jaao. ALLAH Yuhi Bayan Karta Hai Logo Me Apni Aayate Ki Kahi Unhe Parhejgari Mile.”
(Sure Barkarh, Para  2, Aayat 187, Tarzuma: Kanzul Imaan)

Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Ta’ala Anhu Farmate Hain Ki Nabi E Kareem Salallahu Ta’ala Alaihi Wasllam Ki Khidmat Me 1 Shakhsh Hajir Hua
Or Usne Arz Ki Ya RasoolAllah Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasllam Mai Halak Ho Gaya
To Huzoor Ne Farmaya
“Ki Tujhe Kis Shae(chiz) Ne Halak Kiya”?
To Us Ne Arz Ki Ke
“Mai Roze Ki Halat Me Tha Ki Mai Apni Biwi Se Majama’at Kar Baitha Hun To Nabi-E-Kareem Salallahu Ta’ala Alaihi Wasllam Ne Irshad Farmaya Ki
“Gulam Aazad Kar”
Us Ne Arz Ki
“Ya RasoolAllah Mai Gulam Aazad Nahi Kar Sakta”
Fir Huzoor Salallahu Ta’ala Alaihi Wasllam Ne Farmaya
“Ki 2 Mahine Musalsal
Roze Rakh”
Us Ne Arz Ki
“Ya RasoolAllah Mai
Yah Bhi Nahi Kar Sakta”
Huzoor Salallahu
Ta’ala Alaihi Wasllam Ne FIR Farmaya Ki
“60 Miskinon Ko Khana Khila De Tera Kaffara Ada Ho Jayega”
To Us Ne Arz Ki
“Ya RasoolAllah Mai To Khud Miskin Hun”
To Nabi E Kareem
Salallahu Ta’ala Alaihi Wasllam Ne Farmaya
“Baith Ja”
THODI Der Ke Baad 1 Tokra Khujooron Ka Aaya
To Aap Ne Farmaya Ki
“Sawal Karne Wala Kahan Hain?”
To Us Ne Arz Ki Ke
“Mai Hajir Hun”
Nabi E Kareem Salallahu Ta’ala Alaihi Wasllam Ne Farmaya Ki
“Yah Khujooron Ka Tokra Le Ja Or Madeena Munwwara Ke Gareebon Me Taqseem Kar De
To Tera Kaffara Ada Ho Jayega”
To Us Ne Fir Arz Kiya Ki
“Ya RasoolAllah Madeena Munwwara Me Mujhse Jyada Gareeb Or Miskin Or Kaun Ho Sakta Hain”
To Pyare Aaqa MUSKURAYEN Or Farmaya Ki
“Ja Apne Bchhon Ko Khilade Tera Kaffara Ada Ho Jayega”
(Bukhari Sharif Jild 1 Page 259
Mishkat Sharif Page 176)

Ehtlam ho jane ya Humbistari karne ke bad nahaya nahi
Aur isi halat me pura din guzar diya to wah namazo ke chod dene ke sabab sakht gunahgar hoga magar roza ho jayega.
(Fatwae Aalamgiri Jild 1, Safa 187, Anwarul Hadees)
RAMZAN SHARIF KE MAHINE ME ROZE KI HAALAT KE ILAAWA
BIWI SE HAMBISTARI KARNA JAAIZ HAI
(BAHAR-E-SHARIAT)
Aurat rozdar so rahi thi. Sote me usse sohbat ki gayi to is surat me uspar sirf kaza lazim he. Kaffara nahi.
(Durre Mukhtar, Sunni Bahishti Zewar)
Sukhee ungli aurat ne sharmgaah me rakhi to roza na gaya. Ha agar ungli sharmgah ki adrunee ratubat (taree) se aise bheeg gayi ki ab uski gandagee chut kar dusre chiz me lage.
Uske baad ungli baahar karke aise hi gandagi ke haalat me fir ander ki, ki gandagi chut kar sharmgah ke bheetree hisse me lagee to roza jata raha.
Yuhi agar ungli pani ya tel ya dudh ya ghee ya thuk me aise bheegee thi ki us ki tari chut kar farze dakheel me lage aur aurat ne apni sharmgah me kisi bina par dakhil ki to roza fasid ho jayega.
>Raddulmuhtar
Yuhi agar aurat ne apni sharmgaah me pani ya tel tapkaya to roza jata raha.
(Aalamgiri,Sunni Bahishti Zewar)
Sukhi dawa kapde me bandh kar sharmgah me rakhi ki wah kapde se chchan kar bhitri hisse me gire. Ya dawa aisi gili ho ki kapde me se tapak kar farze dakhil me lage. Ya hilne ke sabab kapda chadha jaye ki bilkul farze dakhil ke andar gayab ho jaye to in surto me roza jata rahega.
(Durre Mukhtar,Sunni Bahishti Zewar)
Roze ki halat me (Ramzan ya gair Ramdan) kisi jarurat ke tehat koi dawa sukhi ya gili,roti ya kapda chahe koi chiz aurat ne peshab ke raste me is tarah rakhi ki sharmgah ke andruni hisse (Furuze dakhil) ke andar bilkul gayab kar di to Roza jata raha. Aur agar dawa kisi kapde me bandh kar sharmgah me is tarah rakhi ki kapde ka sira furuze dakhil se bahar raha agarche sharmgah ke bahri parde (Furuze khariz) me gayab ho jaye to Roza na jayega.
(Durre Mukhtar, Sunni Bahishti Zewar)
Janabat (Napaki) ki halat me subah ki balki agarche sare din Napak raha, Roza nahi toota magar itni der tak jan buz kar Gusla na karna ki Namaz kaza ho jaye Gunah wa Haram he.
Hadees me farmaya
“Junoob (Napak) jis ghar me hota he usme rehmat ke farishte nahi aate.”
(Durre Mukhtar)
APNE HAATH SE AGAR KISI ROZADAAR NE MANI NIKAALI
TO
US KA ROZA TUT JAATA HAI.
(BAHAR-E-SHARIAT JILD-1, HISSA-5,SAFA-119)
Nind me Ehtelam Ho Gaya To Roza Na Tuta
Sare din Janabat (Be Gusla) Raha to bhi Roza na Tuta
Magar Namaze kaza hone ke sabab Gunah he
(Qanoon-E-Shariat)
JANABAT(GUSUL FARZ HONE) Ki Haalat Me Subh Ki
Balki Agarche Saare Din Junub(Be Gusul)
Raha
Roza Na Gaya.
(Durr-E-Mukhtaar Jild: 3, Safa: 372)
Mard ne Aurat Ka Bosa Liya Ya Chua Ya Mubasharat ki Ya Gale lagaya Aur injal hua to roza tut gaya
Agar Aurat ne mard ko chua aur mard ko injal Hua to Roza Na Tuta
Aurat ko kapde ke uparse chua aur kapda itna mota he Ki Badan ki garmi malum na hui to Roza Na Tuta agarche injal ho
(Qanoon-E-Shariat)
Aurat ko Mard ne Humbistari par mazboor kiya fir Hambistari ke bich me apni khushi se mashgul rahi to kaffara lazim nahi ki Roza to pehle hi toot chuka he.
(Sunni Bahishti Zewar Safa 188, Jauhra)
Roze Ki Haalat Me Mard, Aurat Ne Sohbat Ki To Roza Toot Gaya. Ya Mard Ne Aurat Ka Bosa (Kiss) Liya, Gale Lagaya Aur INZAAL (Yani Mard Ki Mani Nikli) Hua To Roza Toot Gaya Aur Kaffara Bhi Laazim Ho Gaya. Jaanbuz Kar Aurat Se Sohbat Kiya Chahe Mani Nikle Na Nikle Roza Toot Gaya Aur Kaffara Bhi Laazim Ho Gaya
(Qanoon-E-Shariat, Jild 1, Safa 135-137)

Source: http://www.hamarenabi.in

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm