HIQAYAT:-
**********
Ek Din Hazrat Ali Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Masjid Ki Deewar Ke Paas Zameen Per Aaraam Farma Rahe The! Aapki Peet Mitti Se Lag Rahi Thi, Itne May Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Masjid May Tashrif Laye! Hazrat Ali Ko Zameen Per Lete Hue Dekhker Aapko Uthaya! Aapki Peet-Anwar Se Apne Hath Mubarak Se Mitti Zhaadte Hue Farmaya, Abu-Turaab, Mitti Wale! Uth-Bait! Hazrat Ali Ko Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke Mooh Mubarak Se Abu-Turaab Ka Lafz Kuch Aisa Pasand Aaya Ki Aapko Apne Asli Naam Se Zyada Yahi Naam Pasand Aane Laga! Ali Kehne Se Aap Itna Khush Nahi Hote Jitna Abu-Turaab Kehne Se Khush Hote!

(Taarikhul Khulfa, Pg-118)

********************************
SABAK:-
********
Hazrat Ali Radi-Allahu-Ta’aala Anhu La Lakab “ABU-TURAAB” Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ka Rakha Hua Tha! Is Naam May Ek Khaas Mohabbat Jalwa Farma Hain! Isliye Hazrat Ali Ko Yeh Naam Bada Pyara Tha Ki Yeh Naam Pyare Ka Rakha Hua Pyara Naam Hain!

Shaheel Khan

As-salam-o-alaikum my self shaheel Khan from india , Kolkata miss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.

Share
Published by
Shaheel Khan

Recent Posts

Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात)

शब्-ए -बरात बेशुमार हैं शब् -ए-बरात यानि 15th शाबान में बख्शीश व मगफिरत वाली रात…

2 years ago

Shab E Barat 2022: इबादत की रात शब-ए-बारात, जानिए कब और कैसे मनाया जाता है|

शब्-ए-बरात की रात मुस्लिम समाज के लोग मस्जिदों और कब्रिस्तानों में अपने और पूर्वजों के…

2 years ago

शब-ए-बारात 2022 (SHAB-E-BARAT FESTIVAL)

शब-ए-बारात - शब-ए-बारात का पर्व मुस्लिमों द्वारा मनाये जाने वाले प्रमुख पर्वों में से एक…

2 years ago

शब् बरात के बारे मे कुछ जरुरी बातें |

शब-ए-बारात दो शब्दों, शब[1] और बारात [2]से मिलकर बना है, जहाँ शब का अर्थ रात होता है वहीं बारात का…

2 years ago