Islamic Blog

Aurton ke liye baal husn -wa- khoobsoorti ki alaamat hai, isi liye aam taur par aurtein lambe aur ghane baalon ko pasand karti hain, magar aaj ke daur mein baaz aurton ne baalon ko taraashwaana shuru kar diya hai, is ki mukhtalif shaklein banwaati hain, baaz peshaani se oopar ke baalon ko kaatti hain aur kuch khawateen mardon ki tarah chhota rakhne ki koshish karti hain, yeh sab Islami tehzeeb wa akhlaaq ke munaafi hai aur gair Islami tareeqa hai,…..Haqeeqat yeh hai ki is amal ki wajah se aurat mardon se mushabehat ikhtiyaar karne waali ban jaati hai aur ye bahot hi khatarnaak aur halaakat wa tabaahi ka sabab hai,…….Huzoor Pak (Sallallahu Alaihi wasallam) ne aisi aurton par laanat farmaai hai jo mardon ki mushaabehat ikhtiyaar karti hain. Neez is mein faasiq wa faajir logon ke saath tashabboh bhi paaya jaata hai, aur logon ki mushaabehat ikhtiyaar karne se bhi bachna zaroori hai. Is liye ke Rasulullah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaaya: Jis ne jis qaum ke sath mushaabehat ikhtiyaar ki woh unheen mein se hai. #(Abu Dawood: 4031)Yahaan yeh samajh lena chaahiye ke Islam aurton ko zeenatikhtiyaar karne se mana nahin karta hai, balke is ki ijaazat deta aur baaz martaba to is ka hukm diya hai, albatta is silsile mein kuchh hidaayetein di hain jis mein sharaafat wa gairat hai, sharm-o-haya hai, etedaal aur meyaana rawi hai aur jis ko apnaakar ek aurat shareef, nek wa Deendar aur Allah ki nazar mein mehboob ban sakti hai, is liye tamaam aurton ko Islami taur tareeqe ko apnaana chaahiye aur doosron ke tareeqon se bachne ki poori koshish karni chahiye.

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm