Islamic Knowledge

Bewafa Duniya Pe Tu Mat Kar Aitbar

“Ek Bar Sufiyan Bin Oyynah Ne Hazrat Sufiyan Sori RehmatullahAlayhi Se Kahan Ki Mujhe Kuchh Nasihat Farmayiye !
To Hazrat Sufiyan Sori RehmatullahAlayhi Ne Farmaya Logo Se Meljol (Milna Julna) Aur Pehchan Kam Rakh.
Ye Sunkar Sufiyan Bin Oyynah Ne Kahan Ki Allah Aap Par Raham Kare ! Hadees Me To Aaya Hai Ki Logo Se Pehchan Badha Kyunki Har Pehchan Wala Momin Dusre Momin Ki Shafa’at Karega.
To Hazrat Sufiyan Sori RehmatullahAlayhi Ne Farmaya Mera Gaalib Guman Yehi Hai Ki Tujhe Jo Bhi Taklife Pohchi Hogi Wo Kisi Jaan Pehchan Waale Hi Se Pohchi Hogi”

[ Minhajul Aabedin-85 ]

»» Insan Logo Se Meljol Rakhta Hai Dosti Banata Hai Fir Unse Jyada Ummid Rakhne Lagta Hai Dili Lagav Ki Wajah Se Jab Log Us Ummid Par Khare Nahi Utarte To Insan Ko Usse Taqlif Hoti Hai Jo Duri Ki Wajah Bhi Banti Hai Aur Kabhi Kabhi Dushmani Ko Wajah Bhi Ya Gibat Chugli Me Bhi Mubtala Kar Deti Hai
Isliye Kaam Ke Siva Aur Deeni Maqsad Se Jyada Fursat Me Meljol Kam Hi Rakkha Jaye..

Ek Allah Ta’ala Ki Zaat E Paak Hai Jo Kabhi Hum Se Munh Nahi Modta Hum Jab Bhi Pukarte Hai Wo Apne Bande Ki Sada Par Labaik Kehta Hai
Jo Maa Se Bhi 100 Guna Jyada Apne Bande Se Muhabbat Karta Hai..

Noor Aqsa

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.

Share
Published by
Noor Aqsa

Recent Posts

Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात)

शब्-ए -बरात बेशुमार हैं शब् -ए-बरात यानि 15th शाबान में बख्शीश व मगफिरत वाली रात…

2 years ago

Shab E Barat 2022: इबादत की रात शब-ए-बारात, जानिए कब और कैसे मनाया जाता है|

शब्-ए-बरात की रात मुस्लिम समाज के लोग मस्जिदों और कब्रिस्तानों में अपने और पूर्वजों के…

2 years ago

शब-ए-बारात 2022 (SHAB-E-BARAT FESTIVAL)

शब-ए-बारात - शब-ए-बारात का पर्व मुस्लिमों द्वारा मनाये जाने वाले प्रमुख पर्वों में से एक…

2 years ago

शब् बरात के बारे मे कुछ जरुरी बातें |

शब-ए-बारात दो शब्दों, शब[1] और बारात [2]से मिलकर बना है, जहाँ शब का अर्थ रात होता है वहीं बारात का…

2 years ago