Haiz us qhoon ko kehte hain jo balegha aurat ke raham se har maah nikalta hai, iska kam se kam waqt ek din aur ek raat hai aur ziyada se ziyada 15 din hai. A’am taur par 6 ya 7 din aata rehta hai.

Haiz o Nifaas Ke Ayyam Mein Mamno A’amaal
1. Namaaz Aur Roza Ki Mumaneat:
Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: ‘Jab aurat haiz se hoti hai to wo namaz nahi padhti aur na roza rakhti hai.’
(Bukhari: al Haiz 304 – Muslim: al Eman 79)

Ek aurat ne Aisha r.a. se dariyaft kiya: Kya wajah hai ke haaeza aurat roze ki qaza tu deti hai, Namaz ki nahi?
Aisha r.a. ne farmaya: ‘Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ke zamana mein hamein haiz aaya karta tha to hamei’n roze ki qaza ka hukam diya jaata tha magar namaz ki qaza ka hukam nahi diya jata tha.’ (Muslim: al Haiz 335)

2. Haeza Se Sohbat Karne Ki Mumaneat:
Haiz ki haalat main aurat se mujamat karna saqht gunah hai Allah Ta’ala ne Quran e Majeed main farmaya: ‘Pas (ayyam) haiz mein aurato’n se kinara kasha karo (ya’ani sohbat na karo).’
Agar koi is gunah ka murtakib hojaae to Nabi e Akram ne farmaya: ‘Jo shaqs bahaalat haiz apni aurat se sohbat kare to ise chaahie ke aadha deenar qhairat kare.’
(Abu Dawood: al Tahaara 264 – Tirmizee: al Tahaara 136) Imam Malik (V1 P171‐172) aur Imam Zahabi ne ise Saheeh kaha hai.

Deenar sadhe chaar (4½) mashe sone ka hota hai to aadha deenar sawa do mashe (2¼) sone ka hua. Sone ki qeemat sadqa kare ya’anee kisi mustahiq ko de de aur aainda ke liey tauba kare.

Ibne Abbas r.a. farmate hain agar haiz ka rang surqh hai to ek deenar aur agar haiz ka rang peela hai to adha deenar qhairaat kare.
(Tirmizee: 138 – Abu Dawood: an Nikaah 2169) Albani ne muquf riwayat ko saheeh kaha.

3. Tawaf Ka’aba Ki Mumane’at:
Ummul Momineen Aaisha r.a. se riwayat hai ke main Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ke sath hajj ko gai, raaste me mujhe haiz shuru hogae, Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм mere paas aae aur main ro rahi thee, Aapne Farmaya: ‘Kya tumhe haiz aagaya? Main ne a’arz ki ke haa’n Aap ne farmaya: ye Allah Ta’ala ka amar hai jo is ne Aadam (A) ki betiyo’n ke liey likh diya hai, pas tum har wo kaam karo jo haaji karte hain siwaae Qhanae Ka’aba ke tawaaf ke, aur wo tum (haiz se paak hokar) ghusl karne ke ba’ad karna.’
(Bukhari: al Umrah 1785 – Muslim 1216)

Source:https://iqrakitab.wordpress.com

Noor Aqsa

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.

Share
Published by
Noor Aqsa

Recent Posts

Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात)

शब्-ए -बरात बेशुमार हैं शब् -ए-बरात यानि 15th शाबान में बख्शीश व मगफिरत वाली रात…

2 years ago

Shab E Barat 2022: इबादत की रात शब-ए-बारात, जानिए कब और कैसे मनाया जाता है|

शब्-ए-बरात की रात मुस्लिम समाज के लोग मस्जिदों और कब्रिस्तानों में अपने और पूर्वजों के…

2 years ago

शब-ए-बारात 2022 (SHAB-E-BARAT FESTIVAL)

शब-ए-बारात - शब-ए-बारात का पर्व मुस्लिमों द्वारा मनाये जाने वाले प्रमुख पर्वों में से एक…

2 years ago

शब् बरात के बारे मे कुछ जरुरी बातें |

शब-ए-बारात दो शब्दों, शब[1] और बारात [2]से मिलकर बना है, जहाँ शब का अर्थ रात होता है वहीं बारात का…

2 years ago