Categories: Dua

MAA BAAP KI ITAAT ALLAH AUR USKE RASOOL KE BAAD

Allah pak Quran me boht se jagah apne huqooq ke fauran baad walidain ke huqooq ki baat karte hai. Allah swt farmate hai

Aur tumhara Rab ka farman hai ki uski ibadat me kisi ko shareek na karna aur jab tumhare maa baap mese ek ya dono budhi umar par pahuch jaye to unhe uff tak na kehna aur na hi usne jhirag ke baat karna lekin unse husne suluk ke saath pesh aana aur ye dua karna ki aye hamare rab hamare maa baap par rahem kar jis tarah bachpan me hamare maa baap ne ham par raham kiya tha.
Quran,chapter-17,ayat-23-24.

 Aur jab hum ney bani israeel say wada liya kay tum Allah Taalaa kay siwa doosray ki ibadat na kerna aur maa baap kay sath acha sulook karna …
[Quran 2:83]

Aur Allah Taalaa ki ibadat karo aur uss kay sath kisi ko shareek na kero aur maa baap kay sath salook-o-ehsan karo…
[Quran 4:36]

Aap kahiye ki aao main tumko woh cheezen parh kar sunaon jin (yani jin ki mukhalifat) ko tumharay rab ney tum per haram farma diya hai woh yeh kay Allah kay sath kisi cheez ko shareek mat thehrao aur maa baap kay sath bhalai karo.
[Quran 6:151]

Lekin sath me Allah pak ne ye bhi batlaya hai ki agar Allah ke hukm aur walidain ke hukm me Takrao ho to Allah ka hukm manna chahiye. Allah pak farmate hai:

 Humne her insan ko apnay maa baap kay sath acha salook kerney ki naseehat ki hai haan agar woh yeh koshish karein kay aap mere sath ussay shareek ker len jis ka aap ko ilm nahi to unn ka kehna na manay tum sab ka lotna meri hi taraf hai phir mein her us cheez say jo tum karte they tumhen khabar doon ga.
[Quran 29:8 and 46:15]

Aafreen Seikh

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.

Share
Published by
Aafreen Seikh

Recent Posts

Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात)

शब्-ए -बरात बेशुमार हैं शब् -ए-बरात यानि 15th शाबान में बख्शीश व मगफिरत वाली रात…

2 years ago

Shab E Barat 2022: इबादत की रात शब-ए-बारात, जानिए कब और कैसे मनाया जाता है|

शब्-ए-बरात की रात मुस्लिम समाज के लोग मस्जिदों और कब्रिस्तानों में अपने और पूर्वजों के…

2 years ago

शब-ए-बारात 2022 (SHAB-E-BARAT FESTIVAL)

शब-ए-बारात - शब-ए-बारात का पर्व मुस्लिमों द्वारा मनाये जाने वाले प्रमुख पर्वों में से एक…

2 years ago

शब् बरात के बारे मे कुछ जरुरी बातें |

शब-ए-बारात दो शब्दों, शब[1] और बारात [2]से मिलकर बना है, जहाँ शब का अर्थ रात होता है वहीं बारात का…

2 years ago