Islamic Knowledge

Maut Ke Baad Waali Zindagi Ke Liye Amal Kare

Hadees : Farmane Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Hai Ke,
“Aqalmand Aur Samajhdaar Woh Hai Jo Apne Nafs Ka Muhasba Kare, Aur Maut Ke Baad Waali Zindagi Ke Liye Amal Kare
Aur Ahmaq-O-Nadan Woh Hai Jisne Nafsani Khwahishat Ki Pairwi Ki Aur Allah Ke Rehmat Se Jannat Milne Ki Ummid Rakhi”.
– (Fath Al Bari, Jild 9, Page#342 :

∗Gareeb Ko Sadqa Dena Buri Maut Se Bachaata Hai…..
» Hadees : Huzoor Akram ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Irshad Farmaate Hain,
“Gareeb Ko Sadqa Dena Buri Mout Se Bachaata Hai”
– (Shoabul Iman: 3463 :

∗Aalimo Ke Maut Ke Saath Ilm Ko Utha Liya Jayega….
» Hadees : Rasool’Aallah ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,
“Allah Ilm Ko Iss Tarah Se Nahi Utha Lega Ki Iskey Bando Se Cheen Lega Balki Wo Aalimo Ko Maut Dekar Ilm Ko Utha Lega Phir Jab Koi Aalim Baaqi Nahi Rahega Toh Log Jahilon Ko Sardar Bana Lengey Unsey Sawalat Kiye Jayengey Aur Wo Bagair Ilm Ke Jawab Dengey Isliye Khud Bhi Gumraah Hongey Aur Logo Ko Bhi Gumraah Karengey”. (Sahih Bukhari, Ilm Ka Bayan 100)

» Wajahat : Lihaza Aye Emaanwalo! Ilm Ke Utha Liye Jaane Se Pehle Khub Ilm-e-Deen Hasil Karo Taa Ke Tum Gumrahi Se Bach Sako Aur Logon Ko Bhi Haq Raah Ki Dawat De Sako..

∗Maut Ko Kasrat Se Yaad Kiya Karo…..
» Hadees : Farmane Mustafa ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Hai Ke,
“Lazzaton Ko Khatm Karne Waali Maut Ko Kasrat Se Yaad Kiya Karo”.
– (Sahih Bukhari)
» Hadees : Hazrat Abu Hurera (Razi Allaho Anhu) Ne Kaha Ke, Huzoor ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke,
“Tum Me Koi Mout Ki Aarzoo Na Kare (Isliye Ke) Woh Ya Toh‘Nekokar’Hoga, Toh Mumkin Hai Iss Ke Nek Amal Me‘Ziyadati’Ho Jaye. Aur Ya‘Badkar’Hoga, Toh Ho Sakta Hai Ke Aainda Tauba Kar Ke Allah Ki‘Khushnoodi’Haasil Karle”.
– (Bukhari Shareef), Anwar-Ul-Hadees, Page Number 226)
Qaul-e-Mubarak :
“Mout Ko Hamesha Yaad Rakho, Magar Mout Ki Aarzoo Kabhi Naa Karo”.
– Hazrate Umar (Razi Allaho Anhu)
Qaul-e-Mubarak :
“Mout Ko Yaad Rakhna Nafs Ki Tamaam Bimaariyo Ki Dawaa Hai”.
– Hazrate Gaus-e-Aazam (Rahmatullah Alayh)

∗Momin Ko Maut Iss Tarha Aa Jati Hai Jis Tarha……
» Hadees : Nabi-e-Paak (Sallallaho Alayhi Wasallam) Ne Farmaya Ki,
“Momin Ko Mout Iss Tarha Aa Jati Hai Jis Tarha Peshani Par Paseena Aa Jata Hai”.
-: (Mishkat : Jild-1,Page-342)

∗Har Jaandar Ko Maut Ka Maza Chakhna Hai…..
Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Har Jaandar Ko Mout Ka Maza Chakhna Hai (Kullu Nafsin Zaikatul Maut) Aur Tumhe Qayamat Ke Din Pure Pure Badle Milenge, Phir Jo Koi Dozakh Se Dur Rakha Gaya Aur Jannat Me Dakhil Hua So Wo Pura Kamiyab Hua, Duniya Ki Zindagi Toh Dhoke Ke Maal Ke Siwa Kuch Bhi Nahi Hai”.
-: (Surah Aal-e-Imran : A-185)

∗Maut Se Pehle Khuda Ki Yaad Me izzat Hai….
» Qaul-e-Mubarak : Mout Se Pehle Khuda Ki Yaad Me Izzat Hai, Jis Waqt Fasl Kaati Jaati Ho, Uss Waqt Hall Chalana Aur Beej Bona Bekar Hai.
– Gaus-e-Aazam (Rahmatullah Alayh)

∗Woh Shakhs Maut Ke Liye Taiyaar…..
Hazrat Sufiyan Sauri (Rehmatullah Alayh) Farmate Hai,
“Woh Shakhs Maut Ke Liye Taiyaar Nahi Hua,
Jise Ye Khayaal Ho Ki, Kal Woh Zinda Rahega.

∗Insan 5 Hisso Me Taqseem Ho Jayega….
Mout Ke Baad Insan Paanch (5) Hisso Me Taqseem Ho Jayega,
» 1. Rooh Malkul Maut Le Jayenge.
» 2. Maal Waaris Le Jayenge.
» 3. Gosh Kide Makode Kha Jayenge.
» 4. Haddiyan Mitti Kha Jayegi.
» 5. Nekiyan Qarzdar Le Jayenge.
Lekin Koshish Karna Ke Emaan Shaitan Na Le Jaye.
Allah Hum Sab Ka Khatma Emaan Par Ata Farmaye.
!!!!! Aameen Summa Ameen !!!!!

Noor Aqsa

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.

Share
Published by
Noor Aqsa

Recent Posts

Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात)

शब्-ए -बरात बेशुमार हैं शब् -ए-बरात यानि 15th शाबान में बख्शीश व मगफिरत वाली रात…

2 years ago

Shab E Barat 2022: इबादत की रात शब-ए-बारात, जानिए कब और कैसे मनाया जाता है|

शब्-ए-बरात की रात मुस्लिम समाज के लोग मस्जिदों और कब्रिस्तानों में अपने और पूर्वजों के…

2 years ago

शब-ए-बारात 2022 (SHAB-E-BARAT FESTIVAL)

शब-ए-बारात - शब-ए-बारात का पर्व मुस्लिमों द्वारा मनाये जाने वाले प्रमुख पर्वों में से एक…

2 years ago

शब् बरात के बारे मे कुछ जरुरी बातें |

शब-ए-बारात दो शब्दों, शब[1] और बारात [2]से मिलकर बना है, जहाँ शब का अर्थ रात होता है वहीं बारात का…

2 years ago