Categories: Islamic Knowledge

MERAJ SHAREEF SPECIAL

================================================
WAQIYA MERAAJ AHADIS NABVI KE UJALE ME
=======================================
Inem se munajaat,raviyat,ILAHI,
Imamate AMBIYA ,SIDRATUL MUNTAHA tak urooj
=========================================
SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA SALLAM farmate hai:
ALLAH TA`ALA ne mujhper jo chahi wahi farmayi aur rozana 50 namaze farz farma di jab mai farig hokar wapas aa raha tha to HAZRAT MOSA ALLAIHS`SALAM se mulakat hue .
Unhone pucha . YA SAYYADUL MURSALEEN! ALLAH RABBUL IZAAT ne apki ummat per kiya farz kiya hai ?
Maine jawab diya rozana 50 namaze .kaihne lage, HUZOOR ! wapis jakar takhfif karwayiye kyuki apki ummat me ye taqat nahi hai mai qabl azi bani israil ko azma chukka hu .
SARWAR-A-KAONO MAKA SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA AALHI WA SALLAM farmate hai ke mai laota aur BARGAH-A-KHUDAWANDI me namazo ki takhfif ke liye arz guzaar hua , ALLAH TA`ALA ne 5 namaze muaf farma di maine wapas ate waqt HAZRAT MOSA ALLAIHS`SALAM se 5 namazo ki muafi ka ziqr kiya to unhone kaha HUZOOR apki ummat me itni taqat nahi hai wapis jakar mazeed takhfif karwayiye. SAYYADUL AMBIYA ALLAIHS`SALATU WAS SALAM farmate hai ke mai HAZRAT MOSA ALLAIHS`SALAM ke kaihne per laota aur BARGAH-A-KHUDAWANDI me namazo ki takhfif ka masla pesh karta raha ,yaha tak ke ALLAH TA`ALA ne farmaya ke A HABIB apki ummat per rozana 5 waqt namaz padhna farz hai . ye agarcha ginti me 5 namaze hogi lekin inka sawab itna marhamat farmaunga jitna 50 namazo ka hota hai .
iske sath ALLAH TA`ALA ne ye bhi farmaya ke agar apke kisi ummati ne neki ka irada kiya aur use kar na saka tab bhi uske name amal me ek neki likh di jayegi aur agar use kar liya to 10 nekiyo ka sawaab milega .iske baraks jisne kisi badi ka kasd kiya aur use na kar saka to us muamle ko kalhadm shumaar kiya jayega aur agar us burayi ka murtakib ho gya to ek burayi hi likhunga.
FAQR-A-DO ALAM SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA AALHI WA SALLAM farmate hai ke wapas ate waqt jab is dafa bhi mai MOSA ALAIHIS`SALAM se mila aur unhe is amr ki ittela di to wo kaihne lage HUZOOR ! BARGAH-A-KHUDA WANDI SE AUR takhfif karwayiye. RASOOL ALLAH SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA AALHI WA SALLAM ne farmaya ke mujhe is silsile me ab BARGAH-A-KHUDA WANDI me arz karte hue sharam mahsos hoti hai.
(SHIFA SHAREEF JILD AWWAL SAFA 271-272)
SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA SALLAM

Aafreen Seikh

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.

Share
Published by
Aafreen Seikh

Recent Posts

Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात)

शब्-ए -बरात बेशुमार हैं शब् -ए-बरात यानि 15th शाबान में बख्शीश व मगफिरत वाली रात…

2 years ago

Shab E Barat 2022: इबादत की रात शब-ए-बारात, जानिए कब और कैसे मनाया जाता है|

शब्-ए-बरात की रात मुस्लिम समाज के लोग मस्जिदों और कब्रिस्तानों में अपने और पूर्वजों के…

2 years ago

शब-ए-बारात 2022 (SHAB-E-BARAT FESTIVAL)

शब-ए-बारात - शब-ए-बारात का पर्व मुस्लिमों द्वारा मनाये जाने वाले प्रमुख पर्वों में से एक…

2 years ago

शब् बरात के बारे मे कुछ जरुरी बातें |

शब-ए-बारात दो शब्दों, शब[1] और बारात [2]से मिलकर बना है, जहाँ शब का अर्थ रात होता है वहीं बारात का…

2 years ago