Hadith

MILAAD SHARIF

Khud Huzoor SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Ne Majma-A-Sahaba Ke Saamne Mimber Per Khade Hoker Apni Wiladat Pak Aur Apne Ausaaf Bayaan Farmaya! Jisse Malum Hua Ki Milaad Padhna Sunnat-A-Rasool SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Bhi Hain!

Chunanche, Hazrat Abbaas Radi-Allahu-Anhu Se Riwayat Hain Ki Ek Din Huzoor SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Ki Khidmat May Main Haazir Hua! Shayed Huzoor SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Tak Khaber Pahuchi Thi Kuch Log Hamare Nasab Pak May Ta’an Karte Hain!

Faka-Man-Nabiyu-Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam-Alal-Mimber-A-Fakala-Man-Ana!

Bas Mimber Per Qayaam Farmaker Pucha Batao Main Kaun Hoon? Sabne Arz Kiya Ki Aap Rasoolallah Hain, Farmaya Main Mohammad Ibne Abdullah Ibne Abdul Muttalib Hoon! ALLAH Ne Makhluk Ko Paida Farmaya, To Humko Behtarin Makhluk Mayse Kiya, Fir Unke 2 Hisse Kiye Arab Wa Ajam! Humko Unme Se Behter Yani Arab Mayse Kiya Fir Arab Ke Chand Qabile Farmaye! Humko Unke Behter Yani Quraish Mayse Kiya! Fir Quraish May Chand Khandaan Banaye! Humko Un Mayse Sabse Behter Khandaan Yani Bani-Haashim Mayse Kiya!

Hum Khatumun Nabiyeen Hain Aur Hum Hazrat Ibrahim Ki Dua, Hazrat Isa Ki Basharat Aur Apni Walida Ka Didaar Hain! Jo Ki Unohne Hamari Wiladat Ke Waqt Dekha Ki Unse Ek Noor Chamka Jisse Sham Ki Imaratain Unko Nazar Aayi!
Huzoor SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Ne Apna Nasab Nama Apni Nath-Sharif Apni Wiladat Pak Ka Wakeya Bayaan Farmaya! Yahi Milaad Sharif May Hota Hain!
Aisi Sekdon Aa-Hadees Pesh Ki Ja Sakti Hain!

(Mishkaat Jild-2 Baab Fazayil-A-Sayyadul Mursalin Fasl-A-Saani Pg-513)

***************************

Shaheel Khan

As-salam-o-alaikum my self shaheel Khan from india , Kolkata miss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.

Share
Published by
Shaheel Khan

Recent Posts

Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात)

शब्-ए -बरात बेशुमार हैं शब् -ए-बरात यानि 15th शाबान में बख्शीश व मगफिरत वाली रात…

2 years ago

Shab E Barat 2022: इबादत की रात शब-ए-बारात, जानिए कब और कैसे मनाया जाता है|

शब्-ए-बरात की रात मुस्लिम समाज के लोग मस्जिदों और कब्रिस्तानों में अपने और पूर्वजों के…

2 years ago

शब-ए-बारात 2022 (SHAB-E-BARAT FESTIVAL)

शब-ए-बारात - शब-ए-बारात का पर्व मुस्लिमों द्वारा मनाये जाने वाले प्रमुख पर्वों में से एक…

2 years ago

शब् बरात के बारे मे कुछ जरुरी बातें |

शब-ए-बारात दो शब्दों, शब[1] और बारात [2]से मिलकर बना है, जहाँ शब का अर्थ रात होता है वहीं बारात का…

2 years ago