Categories: Dua

Ramzan Mein Dua Jaldi Qabool Hoti Hai

Ramzan ke mahine mein Allah apne bando par khaas rahmat naazil karta hai aur uski duaon ko sunta hai, wese to poore ramzan mein hi duaen kubul hoti hain lekin roza iftaar karne se pahle ka jo time hota hai (yaani maghrib ki azaan se 15-20 minute pahle ye time shuru ho jaata hai) ye time duaon ke kubul hone ka khaas time hota hai, is time Allah hamari dua zarur sunta hai, lekin ye keemti time hum iftaari tayyar karne mein ya khane-peene mein gawa dete hain.
(1) Is time Allah arsh ko uthane wale farishto ko hukm deta hai ke apni-apni ibadat ko chhodkar rozedar ki duaon par ameen kaho.
(2) Hazrat Muhammad (sallallahu alayhi wasallam) ne farmaya ke har raat ko ek farishta pukaarat hai ke, Ae bhalai ke talash karne wale, dhyan de aur aage badh, aur ae burai ko pasand karne waale, bas kar aur aankhe khol, iske baad farishta phir kehta hai, he koi maghfirat (maafi chahne wala) jiski maghfirat ki jaae, he koi tauba (gunaho se maafi chahne wala) jiski tauba ko kubul kiya jaae, he koi aur bhi kuch maangne wala jiski dua kubul ki jaae.
(3) Hazrat Muhammad (sallallahu alayhi wasallam) ne farmaya ke Ramzan mein har din Allah ke yaha se dozakh ke kedi chhode jaate hain aur har insan ki kam se kam ek dua roz kubul ki jaati hai.
(4) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke 3 insano ki dua kabhi bhi khali nahi jaati (a) rozdaar ki iftaar ke time, (b) insaaf karne waale baadshah ki dua (c) mazloom (laachaar-majboor) ki dua, in logo ki duaen Allah baadalon se upar utha leta hai aur aasaman ke darwaaze inke liye khol diye jaate hain aur Allah farmata hai ke mein teri zarur madad karuga
(5) Hazrat Aaesha (radi allahu anha) farmati hain ke jab ramzan aate the to Hazrat Muhammad (sallallahu alayhi wasallam) bahut fikarmand ho jaate the aur namaz zyada padhne lagte the aur duaon mein bahut aajizi (requesting) ho jaate the aur Allah ka khauf dil mein aa jaata tha.
Yaad rakhiye ke hum jo dua maangte hai Allah uske badle 3 kaam karta hai, (1) jo humne dua maangi, Allah usko wesa ke wesa hi pura kar deta hai (2) Jo humne maanga, agar wo hamare haq mein accha nahi hai to Allah uske badle koi dusri acchi cheez humko de deta hai ya agar koi pareshani aane waali hoti hai to us dua ke badle us pareshani ko hata deta hai (3) Agar ye dono kaam bhi Allah nahi karta to hamari dua ke badle dher saari nekiya de deta hai, jab mar kar Allah ke yaha insan jaega aur apni dua ke badle nekiya dekhega to kahega, kaash meri duniya mein ek bhi dua kabool na hui hoti.
Bhaiyo-bahno is mahine ki keemat ko samajhiye aur Khoob dua kariye. Allah hum sabki jayaz tamannaon ko kabool kare, Aameen.

Noor Saba

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.

Share
Published by
Noor Saba
Tags: dua

Recent Posts

Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात)

शब्-ए -बरात बेशुमार हैं शब् -ए-बरात यानि 15th शाबान में बख्शीश व मगफिरत वाली रात…

2 years ago

Shab E Barat 2022: इबादत की रात शब-ए-बारात, जानिए कब और कैसे मनाया जाता है|

शब्-ए-बरात की रात मुस्लिम समाज के लोग मस्जिदों और कब्रिस्तानों में अपने और पूर्वजों के…

2 years ago

शब-ए-बारात 2022 (SHAB-E-BARAT FESTIVAL)

शब-ए-बारात - शब-ए-बारात का पर्व मुस्लिमों द्वारा मनाये जाने वाले प्रमुख पर्वों में से एक…

2 years ago

शब् बरात के बारे मे कुछ जरुरी बातें |

शब-ए-बारात दो शब्दों, शब[1] और बारात [2]से मिलकर बना है, जहाँ शब का अर्थ रात होता है वहीं बारात का…

2 years ago