Hadith

SAFAED BAAZ

HIQAYAT🌼
**********
🌸Hazrat Abu Mohammad Zarir Rehmatullah Ta’aala Alaihi Ne Ek Martaba Farmaya Ki 40 Saal Se Main Ek Safaed Baaz Ki Talash May Hoon, Lekin Wo Aajtak Nahi Mila! Mureed Ne Arz Kiya, Huzoor Yeh Kya Baat Hain? Hame Bhi Batayen! Aapne Farmaya, Aaj Se 40 Saal Pehle Ek Roz Namaz-A-Asr Se Faarig Hoker Masjid May Baitha Tha Ki Maine Ek Naujawan Ko Dekha Jo Nangge Pau Zardh Chehra Aur Bikre Hue Baalon Wala Aur Sir Zhukaye Tha! Wo Masjid May Dakhil Hua Aur Wazu Karke Namaz Padhne Laga! Namaz Padhne Ke Baad Sir Zukhaye Fir Wahin Baitha Raha! Namaz-A-Magrib Ka Waqt Hua To Jamaat Ke Sath Usne Bhi Namaz Padhi! Namaz Ke Baad Fir Wo Sir Zhukaye Bait Gaya! Us Raat Khalifa Ke Yahan Sab Sufiyon Ki Dawat Thi! Maine Us Naujawan Se Kaha, Aye Durvesh! Main Khalifa Ke Yahan Dawat Per Ja Raha Hoon, Tum Bhi Chaloge? Usne Kaha Mujhe Khalifa Ki Dawat Ki Parvah Nahi! Haan! Agar Aapka Ji Chahe To Thodasa Halwa Mere Liye Lete Aayiyega!
🌸Maine Uski Is Baat Per Tawajjo Na Ki Aur Dawat Per Chala Gaya! Jab Wapas Chala Aaya Aur Dekha Ki Wo Usi Tarah Sir Zhukaye Baitha Tha! Maine Usse Kuch Na Kaha Aur Isha Ki Namaz Ke Baad Ghar Jaker Sogaya! Maine Khwab May Dekha Ki Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Tashrif Laye Hain! Sath May Hazrat Ibrahim Khalilullah, Musa Kalimullah Alaihi-Mus-Salam Bhi Hain Aur Digar Ambiya-A-Kiram Alaihi-Mus-Salam Bhi Hain! Maine Salam Arz Kiya To Huzoor-A-Anwar SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Apna Rukh-A-Anwar Fher Liya! Maine Arz Kiya, Ya Rasoolallah! Kya Mujhse Koi Khatah Hogayi Hain? Huzoor Ne Farmaya, Haan! Hamare Doston Mayse Ek Ne Tumse Halwa Maanga Aur Tumne Koi Dhyan Na Diya!
🌸Main Usi Waqt Khwab Se Chaunka Aur Rone Laga! Dauda Hua Masjid May Aaya, Kya Dekhta Hoon Wahi Naujawan Masjid Se Nikalker Baaher Ja Raha Hain! Maine Jaker Arz Ki, Ki Janab Zara Taher Jayiye! Main Abhi Halwa Lata Hoon! Unohne Farmaya, Sach Hain! Jab Koi Durvesh Huzoor Sayyadul Ambiya Aur Digar Ambiya-A-Kiram Alaihi-Mus-Salam Ki Shifarish Laye Tab Aapse Halwa Paye! Be-Shak Bada Mushkil Kaam Tha! Bas Yeh Kaha Aur Chala Gaya!

(Tazkiratul Auliya, Pg-574)

********************
🌷SABAK🌷
********
🌸Hadees May Aaya Hain Ki Gardh Aaloodh Chehron Aur Bikre Hue Baalon Wale Khuda Ke Maqbool Wa Mukarrib Bande Hote Hain! Bas Un Ba-Jaahir Sadha-Mijaaj Bandon Ko Hirakat Ki Nazar Se Na Dekhna Chahiye!
🌸Yeh Bhi Malum Hua Ki ALLAH Ke Maqboolon Ka Lihaaj Khud Sarwar-A-Ambiya SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHi-WASALLAM Ko Bhi Hota Hain! Lihaza Un ALLAH Walon Ki Dilshikni Rasoolallah SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Naraazgi Ka Moajib Hain!
🌸Yeh Bhi Malum Hua Ki Hamare Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Jumla Halaat Se Ba-Khaber Hain! Huzoor Ke Sadqe May ALLAH Wale Bhi Jaan Lete Hain!
*******************

Noor Aqsa

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.

Share
Published by
Noor Aqsa

Recent Posts

Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात)

शब्-ए -बरात बेशुमार हैं शब् -ए-बरात यानि 15th शाबान में बख्शीश व मगफिरत वाली रात…

2 years ago

Shab E Barat 2022: इबादत की रात शब-ए-बारात, जानिए कब और कैसे मनाया जाता है|

शब्-ए-बरात की रात मुस्लिम समाज के लोग मस्जिदों और कब्रिस्तानों में अपने और पूर्वजों के…

2 years ago

शब-ए-बारात 2022 (SHAB-E-BARAT FESTIVAL)

शब-ए-बारात - शब-ए-बारात का पर्व मुस्लिमों द्वारा मनाये जाने वाले प्रमुख पर्वों में से एक…

2 years ago

शब् बरात के बारे मे कुछ जरुरी बातें |

शब-ए-बारात दो शब्दों, शब[1] और बारात [2]से मिलकर बना है, जहाँ शब का अर्थ रात होता है वहीं बारात का…

2 years ago