Islamic Blog

Aap ki wilaadat 581 A.D. me Najd me hui.

Aap ke waalid ka naam Haariṡah ibn Sharahil aur waalida ka naam Sauda bint Ṡaalaba hai.

Aap Banu Kalb qabeele ke Uzra khandaan se ta’alluq rakhte hain.
Aap ki waalida Tayy qabeele ke Maan khaandaan se hain.

***************
Ek martaba 8 saal ki umr me Aap apni waalida aur qabeele waalo ke saath safar kar rahe the tab Qayn qabeele waalo ne aap ke khaimo par hamla karke Aap ko qaid kar liya aur ghulaam banakar Ukkaz ke bazaar me 400 deenaar me bech diya.
Makka ke Hakeem bin Hijjaam ne Aap ko kharida aur apni phuphi Hazrate Khadeeja bint Khuwailid radiy-Allāhu ta’ala anha ko diya.
Jab Hazrate Khadeeja bint Khuwailid radiy-Allāhu ta’ala anha ka nikaah Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam se hua to wo Hazarte Zaid ko apne saath le gai.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam Aap se bahot mohabbat karte the aur ‘Habeeb’ kehkar bulaate the.

Jab Aap ke waalid Haariṡah aur chacha Kaab Makka aaye to Ka’abatullāh par Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam se mulaaqaat hui to Zaid ko waapas dene ke badle jitni chaahe utni raqam dene ke liye baat ki. Magar Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ‘Zaid ko hi faisla karne do. Agar wo apne pariwaar ke saath jaana chaahta hai to main use baghair koi muawaze ke aazaad kar dunga.’ Zaid ko bulaaye gaye to unho ne apne waalid aur chacha se kaha ke ‘Main Mohammad (sallallāhu alaihi wa sallam) ko chhodkar waapas nahi aana chaahta. Kyun ki in me maine kuchh khaas baat dekhi hai.’
Phir Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam Zaid ko lekar Ka’aba ki sid’hi par gaye aur ek iqraar-naama tayyaar karke shaahido ki maujoodagi me baahum dastkhat kiye. Phir logo se mukhaatib hokar farmaaya ‘Aaj se Zaid mera beta hai.’ Aap ke waalid aur chacha khush hokar waapas laut gaye.
Is ke baad Makka ke log Aap ko Zaid ibn Muhammad kehne lage.

******************
Jab 609 A.D. me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Islaam ki daawat di to Aap foran Islaam me daakhil ho gaye.

Aap Islaam apnaane waale sab pehle 3 sahaabi e Rasool me saamil hain.

******************
13 Nabawi (622 A.D.) me jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu anhu ke saath Makka se hijrat karke Yaṡreeb (Madeena) aa gaye. Is ke baad Aap bhi Hijrat karek Madeena aa gaye.
Kuchh mahine baad Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke farmaan par Aap Makka aaye aur Ummul mo’mineen Sawda binte Jama’a radiy-Allāhu anha, Shehzaadi e Rasool-Allāh Umme Kulṡum auu Faatimah Zahara radiy-Allāhu anha, Khaadim Abu Raafi, Hazrate Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu anhu ki zuaja Umme Rummaan, aur un ke bache Asma, Abdullāh aur Aa’isha, Aap ki zauja Baraaka aur beta Usaama, Talhah ibn Ubaydullāh, Abdullāh ibn Urayqit radiy-Allāhu anhu ko apne saath Makka se Madeena lekar aaye.

*********************
Jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne sahaaba me aapas me Mawaakhaat qaa’im ki to Aap ko apne chacha Hazrate Hamza bin Abdul Muttalib radiy-Allāhu anhu ka bhai banaaya.

*******************
Aap ki 6 biwiya, 2 saahabzaade aur 1 saahabzaadi hai.

(1) Durrah (Fakhita) bint Abi Lahab bin Abdul Muttalib
(2) Umme Ayman, Barakah bint Ṡa’alaba bin Amr (Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki Baandi) se
1 beta : Usama [Wilaadat 3 Nabawi (612 A.D.)]
(3) Hind bint Awwaam
(4) Umme Mubashshir, Humayma bint Sayfi [Nikaah 2 Hijri (623 A.D.)].
(5) Zaynab bint Jahsh bin Riyab (Nikaah 3 Hijri (625 A.D.) Talaaq (626 A.D.)]
(6) Umme Kulṡum bint Uqba [Nikaah 628 A.D.) Talaaq ] se
1 beta : Zaid (Bachpan me hi inteqaal hua)
1 beti : Ruqayya.

*******************
Jab Aap ne Hazrate Zaynab bint Jahsh ko talaaq de diya aur us ke baad Hazrate Zaynab bint Jahsh radiy-Allāhu anha ka nikaah Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke saath hua to ALLĀH ta’ala ne Aayat naazil farmai : ‘Phir jab Zaid ne use [Zainab ko] talaaq dene ki garz puri kar li, to hum ne us se Aap ka nikaah kar diya taake mo’mino par un ke munh bole beto ki biwiyo (ke saath nikaah) ke baare me koi harj na rahe jab ke wo (talaaq dekar) un se alag ho gaye ho, Aur ALLĀH ka hukm to pura kiya jaane waala hi tha.’ (Qur’an : Surah al-Ahzaab, Aayat 37).

Chunaanche Aap ek aise sahaabi e Rasool hain jin ka naam Qur’an majeed me aaya hai.

Isi tarah jab ALLĀH ki taraf se Aayaaten naazil hui :
(1) ‘Tum un ko un ke baap (hi ke naam) se pukaara karo, Yehi ALLĀH ke nazdeek zyaada adl hai, Phir agar tume un ke baap ma’aloom na ho to wo deen me tumhare bhaai aur tumhare dost hain.’ (Qur’an : 33 Surah al-Ahzaab, Aayat 5).
(2) ‘Aur Mohammad (sallallāhu alaihi wa sallam) tumhare mardo me se kisi ke baap nahi lekin wo ALLĀH ke Rasool hain aur tamaam nabiyo ke baad (tashreef laakar) silsila e nabuwwat ko khatm karne waale aakhari nabi hain , Aur ALLĀH har cheez ka khoob ilm rakhne waala hai.’ (Qur’an : 33 Surah al-Ahzaab, Aayat 40).

Is ke baad logo ne Aap ko Zaid ibn Muhammad ke badle Aap ke asli naam Zaid ibn Haariṡah kehkar pukaarna shuru kar diya.

*********************
Aap Tirandaaji ke maahir the.

Aap ne Junge Badr, Junge Uhud, Junge Khandaq aur Junge Khaybar saamil hokar apni shuja’at dikhaai.

Aap Sulaih Hudaibiyah ke mauqe par bhi haazir the.

Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam islaami fauj ke saath Banu Mustaliq se jung ke liye gaye to Aap ko Madeena me apna Naa’ib banakar gaye the.

Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Aap ne 7 jung me islaami fauj ka Saalaar banakar bheja tha.
(1) Junge Qaraada– Najd ke qareeb Makka ke qaafile ke saath [Jamadi uṡ ṡaani 3 Hijri (November 624 A.D.)];
(2) Junge Jumum – Banu Saalim ke saath [Rabi uṡ ṡaani 6 Hijri (September 627 A.D.)];
(3) Junge Is – Makka ke qaafile ke saath [Jamaadi ul awwal 6 Hijri (September 627 A.D.)];
(4) Junge Taraf – Nakhl ilaaqe me;
(5) Junge Waadi al-Qura – Banu Faraza qabeele ke saath, Jis me aap shadeed jakhmi hue. [Jamaadi uṡ ṡaani 6 Hijri (November 627 A.D.)].
Phir Aap Sha’aban 6 Hijri (January 628 A.D.) me islaami fauj ke saath dobaara Waadi al-Qura gaye aur Banu Faraza ko haraaya.
(6) Junge Hisma – Juzam qabeele ke saath [Jamaadi uṡ ṡaani 6 Hijri (October 628 A.D.)];
(7) Junge Mu’tah – Byzantine lashkar ke saath [Jamaadi uṡ ṡaani 8 Hijri (October 629 A.D.)];

***************
7 Hijri (629 A.D.) me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne apne sahaaba ko khato ke saath Islaam ki daawat ke liye alag alag mulko ke baadshaah ke paas bheje.
Hazrat Haaris bin Umair Azdi radiy-Allāhu ta’ala anhu ko safeer banakar Bosra ke baadshaah ki jaanib bheja. Hazrat Haaris bin Umair Azdi jab maqaame Mu’tah par pahunche to waha ke governor Sharjeel Ghassani ne aap ko rokkar shaheed kar diya.

Jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko pata chala to Aap ne Jamaadi ul awwal 8 Hijri (September 629 A.D.) ko Harzte Zaid bin Haariṡah radiy-Allāhu ta’ala anhu ko saalaar banakar 3000 musalmano ka lashkar bheja.
Jab musalman Musharif pahunche to pata chala ke Byzantine aur un ke saathiyo ka lashkar taqreeban 200000 ka hai. Musalmano ne intazaar karne ka aur Madeena se madad mangwane ka mashwara kiya. Magar Hazrate Abdullāh ibn Rawaahah radiy-Allāhu ta’ala anhu ne irshaad farmaaya ke ‘Musalman baatil se jung karne se ya shaheed hone se darta nahi hai.’
Phir jab jung shuru hui to muslim lashkar Musharif se hote hue Mu’tah aa gaya.

Aap ne bahot bahaaduri ke saath jung ki. Magar aakhirkaar shaheed ho gaye.

Aap ki shahaadat ke baad Hazrat Ja’afar bin Abu Taalib radiy-Allāhu ta’ala anhu islaami lashkar ke saalaar bane. Un ki shaadat ke baad Hazrate Abdullāh ibn Rawaahah radiy-Allāhu ta’ala anhu saalaar e lashkar bane aur wo bhi shaheed ho gaye.

*****************
Aap ka wisaal 5 Jamaadi uṡ ṡaani 8 Hijri (October 629 A.D.) ko Junge Mu’tah ke dauraan hua.

Aap ka mazaar Mu’tah (Jordan) me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Zaid ibn Haariṡah radiy-Allāhu ta’ala anhu aur tamaam Auliya Allāh aur Ashaaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm