HIQAYAT
**********
Ek Bujurg Vaaz Farma Rahe The! Farma Rahe The Ki Qayamat Ke Roz Har Ek Ko Jahannam Ke Uper Se Guzarna Hoga! Khuda-Ta’aala Farmata Hain-
Tarjuma
*********
“Tum May Koi Ais Nahi Jiska Guzar Dozak Se Na Ho Tumahre Rab Ke Zimme Yeh Zaroor Tehri Hui Baat Hain!”
Wahan Se Ek Yahudi Guzar Raha Tha Usne Yeh Aayat Suni To Kehne Laga Ki Agar Yeh Baat Durust Hain To Fir Hum-Tum Barabar Hain, Isliye Ki Hame Aur Aap Sabko Jahannam Se Guzarna Hoga! Wo Bujurg Farmane Lage Ki Nahi Yeh Baat Nahi! Guzrege To Sabhi, Hum Salamati Ke Sath Guzar Jayege Aur Takwa Aur Imaan Ki Badaulat Bach Jayege Aur Tum Uske Ander Gir Jaoge Fir Unohne Yeh Aayat Padhi-
Tarjuma
*********
“Fir Hum Dar Walon Ko Bacha Lege Aur Zalimon Ko Usme Chhod Dege Ghootno Ke Bal!”
Yahudi Ne Kaha Ki Agar Muttaki Bachege To Soon Lijiye Ki Muttaki Hum Hi Hain! Farmaya, Yeh Baat Bhi Nahi Aur Yeh Aayat Padhi-
Tarjuma
*********
Aur Meri Rehmat Har Chiz Ko Ghere Hain To Ankarib Main Nematon Ko Unke Liye Likh Duga! Jo Darte Aur Zakaat Dete Hain Aur Wo Hamari Aayaton Per Imaan Laate Hain Wo Jo Gulami Karege Us Rasool Be-Padhe Gaib Ki Khaber Dene Wale Ki!”
Yahudi Ne Kaha Accha Daawe Per Koi Dalil Pesh Kijiye! Farmaya, Lo! Aisi Dalil Pesh Karta Hoon Jise Khaas Wa Aam Dekh Sakege! Yeh Wo Ki Ek Kapda Mera Aur Ek Kapda Tumahra Leker Dono Ko Aag May Daalte Hain Jiska Kapda Aag May Jalne Se Bach Jayega Wo Saccha! Yahudi Ne Kaha Manzoor Hain!
Chunanche, Unohne Apna Ek Kapda Liya Aur Ek Kapda Us Yahudi Ka Leker Yahudi Ke Kapde Ko Ander Lapetker Jalti Aag May Daal Diya! Thodi Daer Ke Baad Use Nikaala Gaya To Saare Logon Ne Dekha Ki Hazrat Ka Kapda Jo Uper Tha Bilkul Mehfuz Hain Aur Yahudi Ka Kapda Jo Ander Tha Jal Chuka Tha! Yeh Karamaat Dekhker Wo Yahudi Usi Waqt Musalman Hogaya!

(Rauzur-Riyaheen, Pg-120)

*********************************
SABAK
*******
Imaan Ki Badaulat Insaan Jahannam Se Bach Jata Hain, Yeh Bhi Malum Hua Ki Bujurgon Ki Taraf Mansoob Hojane Se Kapda Bhi Aag Se Bach Jata Hain Yani ALLAH Ke Maqboolon Se Nisbat Najaat Ka Zariya Hain!
*********************************

Shaheel Khan

As-salam-o-alaikum my self shaheel Khan from india , Kolkata miss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.

Share
Published by
Shaheel Khan

Recent Posts

Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात)

शब्-ए -बरात बेशुमार हैं शब् -ए-बरात यानि 15th शाबान में बख्शीश व मगफिरत वाली रात…

2 years ago

Shab E Barat 2022: इबादत की रात शब-ए-बारात, जानिए कब और कैसे मनाया जाता है|

शब्-ए-बरात की रात मुस्लिम समाज के लोग मस्जिदों और कब्रिस्तानों में अपने और पूर्वजों के…

2 years ago

शब-ए-बारात 2022 (SHAB-E-BARAT FESTIVAL)

शब-ए-बारात - शब-ए-बारात का पर्व मुस्लिमों द्वारा मनाये जाने वाले प्रमुख पर्वों में से एक…

2 years ago

शब् बरात के बारे मे कुछ जरुरी बातें |

शब-ए-बारात दो शब्दों, शब[1] और बारात [2]से मिलकर बना है, जहाँ शब का अर्थ रात होता है वहीं बारात का…

2 years ago