Islamic Knowledge

Bhalayi Aur Burayi Ek Jaise Nahi Ho Sakti

Mehfum-e-Hadees: Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Hajjatul Wida Ke Mouke Par Apne Aakhri Khutbe Me Irshad Farmaya Ke,
“Ayyam-e-Jahiliyat Ke Makhtuleen Ka Kasaas Aur Diyat Dono Khatm Ki Jati Hai” :
Yaani Aankh Ke Badle Aankh Aur Khoon Ke Badle Khoon Ka Riwaj Jo Zamane Jahiliyat Ke Dour Se Ab Tak Chalta Aa Raha Hai Usey Khtam Kiya Jata Hai !!!.
Yakinan Agar Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Apni Ummat Se Burayi Ka Badla Bhalayi Se Dene Ki Sikh Na Di Hoti Toh Aaj Hum Sab Bhi Kahi Na Kahi Haiwano Me Shumar Kiye Jate.
Isme Koi Shaq Nahi Ke Allah Aur Uskey Rasool Ka Paigaam Haq Hai, Allah Ta’ala Ne Quraan-e-Kareem Ke Mubarak Ayat me Farmaya Ke,
Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Bhalayi Aur Burayi Ek Jaise Nahi Ho Sakti Toh Tum Burayi Ko Apne Bhale Sulook Se Door Kar Do, Phir Kya Dekhoge Ki Jis Shakhs Aur Tumhare Beech Dushmani Thi Unme Aisa Ho Jaayega Jaise Koi Pakke Dost Hote Hai”.
-(Quran 41:34)
Iss Mudde Per Quraan-e-Karim Ki Rahnumaai Dil Ko Badaa Sukoon Deti Hai, Rabb-e-Taala Ne Burayi Ko Khatm Karne Ki Iss Ayat Me Kya Khoob Taaleem Di Hai Ki, Koi Jab Hamse Buraa Sulook Kare Toh Hame Uska Badla Bhale Sulook Ki Shakl Me Dena Chahiye Iss Tarha Se Ek Din Wo Bhi Hamare Dost Ho Jaaynge Jo Aaj Hamse Dushmani Rakhte Hain.
» Dua: Insha Allah !! Allah Taala Hume Parhne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Toufiq De Aameen Summa Aameen!!!

Noor Aqsa

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.

Share
Published by
Noor Aqsa

Recent Posts

Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात)

शब्-ए -बरात बेशुमार हैं शब् -ए-बरात यानि 15th शाबान में बख्शीश व मगफिरत वाली रात…

2 years ago

Shab E Barat 2022: इबादत की रात शब-ए-बारात, जानिए कब और कैसे मनाया जाता है|

शब्-ए-बरात की रात मुस्लिम समाज के लोग मस्जिदों और कब्रिस्तानों में अपने और पूर्वजों के…

2 years ago

शब-ए-बारात 2022 (SHAB-E-BARAT FESTIVAL)

शब-ए-बारात - शब-ए-बारात का पर्व मुस्लिमों द्वारा मनाये जाने वाले प्रमुख पर्वों में से एक…

2 years ago

शब् बरात के बारे मे कुछ जरुरी बातें |

शब-ए-बारात दो शब्दों, शब[1] और बारात [2]से मिलकर बना है, जहाँ शब का अर्थ रात होता है वहीं बारात का…

2 years ago