Sahaba

Aazmaish Ke Baad Aap Hazart Ayyub (Alaihay Salam) Ke Sehatmand Hone Ki Kuch Muktalif Riwayate

» Bismillah Hir Rahemanir Rahim «
• Aazmaish Ke Baad Aap Hazart Ayyub (Alaihay Salam) Ke Sehatmand Hone Ki Kuch Muktalif Riwayate
Aziz Dosto ,… Eik Riwaayat Me Hai Ki Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ne Baargaahe Khudawandi Me Arz Kiya “Aye Mere RAB ! Tu Jaanta Hai Ki Jab Mai Do Aadmiyo Ko Jhagadte Huve Dekhta Aur Sunta Ki Woh Kasme Uthha Rahe Hai (Ya Kasme Khaa Rahe Hai) Toh Mai Apne Ghar Jaata Aur In Dono Aadmiyo Ki Taraf Se Kaffarah Adaa Karta Ke Kahee Unhone Allah Ta’ala Ka Naam Bilawazaah (Bina Zaroorat) Na Liya Ho”.’
Aur Fir Aap Ne Sajde Me Sir Rakh Diya. Aur Sajde Ki Hi Haalat Me Arz Kiya “Aye Mere RAB ! Mujhe Tere Izzat Aur Jalaal Ki Kasam, Uss Waqt Tak Sajde Se Sir Nahi Uthhavooga Jab Tak Tu Meri Takleef Ko Door Na Farmaa Dega”. Aap Sajde Me Hi They Ki Aap Ki Sari Taklife Door Ho Gayee.
• Eik Aur Riwaayat Me Hai Ki Shaitaan Iblees ! Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ki Biwi (Wife) Se Tabib (Haqim) Hazaq Ki Shaqal Me Mila. Aur Iblees Ne Un Se Kahaa “Agar Aap Mujhe Apne Sir Ke Baal De De Toh Uss Me Eik Aisi Dawaa (Nuskha) Bana Kar Aap Ko Dooga Ke Jis Ke Istemaal Karne Se Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ki Bimaari Door Ho Jaayegi. Aap Shaitaan Iblees Ka Fareb (Chaal) Na Samjh Saki Aur Apne Shauhar Ki Mohabbat Me Apne Sir Ke Baal Kaat Kar Shaitaan Iblees Ko De Diye.
Shaitaan Iblees Ne Unhe Eik Nuskha Tayyar Kar Ke De Diya Jise Le Kar Woh Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ki Khidmat Me Pahoonchi. Lekin Aap Ke Pahoochne Se Pahele Shaitaan Iblees Insaan Ki Shaqal Me Hazrat Aayyub (Alaihay Salam) Ke Paas Pahoocha Aur Unse Kahaa Ki “Aap Ki Biwi Ne Badkaari (Badchalni) Ki Hai Isiliye Sazaa Ke Taur Par Basti Walo Ne Unke Sir Ke Baal Mundwaa (Kaat) Diye Hai, Agar Aap Ko Yaqin Na Ho Toh Aap Khud Dekh Lena Ki Un Ke Baal Munde (Kate) Hai Ya Nahi.
Ye Baat Sunkar Aap Taish (Gusse) Me Aa Gaye Aur Aap Ne Kasam Khayee Ke “Agar Ye Baat Sahi Nikli Toh, Jab Bhi Mai Sehatyaab (Tandrust) Howooga Toh Apni Biwi Ko Iss Zurm Ki Sazaa Me (100) Kodhe (Hunter) Marooga.
• Eik Riwaayat Me Hai Ki Jab Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ki Biwi Wo Nuskha (Dawaa) Le Kar Aap Ki Khidmat Me Haazir Huyee Aur Wo Nuskha Aap Ki Khidmat Me Pesh Kiya Toh Aap Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) ! Shaitaan Iblees Ki Chaalbaazi Ko Samajh Gaye. Aur Kasam Khayee Ke Apni Biwi Ki Iss Khataa Ki Sazaa Ke Taur Par Apni Biwi Ko (100) Kodhe (Hunter) Maarege.
(Allahu Allam)
Eik Riwaayat Me Hai Ki Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) ! Qazaa–e–Haazat (Hammam, Toilet) Ke Liye Tashreef Le Jaate, Qazaa–e–Haazat Ke Baad Aap Ki Biwi Aap Ka Haath Thaam Leti.Aur Aap Un Ka Sahara Le Kar Waapas Aa Jaate. Eik Din Aap Ki Biwi Ko Der Ho Gayee Aur Isi Jagaah Aap Ki Taraf Allah Taala Ne Wahee (Paigaam , Sandesh) Farmayee Ki “Apna Pair ( Leg) Zameen Par Maaro.”
Aap Ne Apne Pair Ko Zameen Par Maara Toh Paani Nikal Aaya. Allah Taala Ne Aap Ko Huqum Diya Ki “Ye Nahaane Ke Liye Thandaa Paani Hai Aur Peene Ke Liye Bhi.”
Jab Aap Ne Uss Paani Se Nahaya (Gusal Kiya) Aur Uss Thande Paani Ko Piya Toh Aap Ki Saari Bimaari Aur Takleef Door Ho Gayee Aur Aap Pahele Se Bhi Jiyada Sehatmand Aur Tandrust Ho Gaye
Aziz Dosto ,… Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ko Allah Taala Ne Shifaa Bakhshi, Aur Aap Ki Tamam Bimaari Door Ho Gayee Aur Pahele Se Bhi Jiyada Haseen–O–Jameel Aur Tandrust Ho Gaye. Aur Aap Apni Uss Jagaah Se Hatt Kar Door Ja Baithe. Jab Aap Ki Zauzah Mohtarma (Biwi) Waapas Tashreef Layee Toh Aap Ko Apni Jagaah Na Paya, Isi Wazaah Se Pareshaan Ho Kar Aap Ko Dhoodhne Lagi. Dhoondhnte-Dhoondhte Woh Aap Hazrat Aayyub (Alaihay Salam) Ke Paas Pahoonchi Lekin Aap Ko Pahechaan Na Saki. Aur Arz Kiya “Aye Allah Ke Bande ! Aap Ne Allah Ke Nabi Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ko Jo Ki Bimaar The Aur Yahaa Par Rahaa Karte The, Unhe Dekha Hai ? Unhe Kahee Kutte Aur Bhedhiye Toh Nahi Uthaa Le Gaye ? ”
Aur Fir Kahaa “Bimaar Hone Se Pahele Woh Aap Hi Ki Tarha Khoobsurat Aur Tandrust The” Kuch Der Woh Aap Se Baate Karti Rahi .
Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ne Kaha “Tera Bhalaa Ho ! Main Hi Ayyub Hoon .”
Aap Ki Biwi Ne Jawaab Diya “Aye Khuda Ke Bande ! Kya Aap Mujh Se Mazaaq Kar Rahe Hai ?”
Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ne Kaha “ALLAH ! Tera Bhalaa Kare, Mai Hi Aayyub Hoon. Allah Taala Ne Mujhe Mera Jism Dubaarah De Diya Hai, Aur Iss Ke Saath–Saath Aur Bhi Maal Aur Aulaad Se Nawaaza Hai.
Dosto ,… Eik Riwaayat Me Hai Ki Aap Huzur-e-Aqdas Mohammaed Musatafa (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaaya Ki “Jab Rabbul Aalmin Ne Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ko Shifaa (Aafiyat) Bakhshi Toh Uss Ke Saath Hi Aap Par Aasmaan Se Sone (Gold) Ki Tidhdhiya Barsayee, Jise Pakad–Pakad Kar Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Apne Kapde Me Jamaa Karne Lage. Tabhi Allah Taala Ne Aap Ko Pukara “Aye Ayyub ! Jo Kuch Tum Dekh Rahe Ho, Kya Maine Tumhe Iss Se Ghani Nahi Kar Diya ?”
Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ne Arz Kiya “Beshaq ! Aye Mere Rab ! Lekin Mai Teri Rahemato (Nemato) Se Be–Parwaah Nahi Rah Sakta.”
Aur Eik Riwaayat Me Hai Ki Aap Ki Do Khetiya Thi Eik “Genhoo”’ (Gandoom, Wheat) Ki Aur Dusri “Jau”’ Ki. Allah Taala Ne Baadal Ke Tukde Bheje. Jab Eik Baadal Ka Tukda Gandoom (Genhoo) Ke Khet Ke Upar Gaya Toh Woh Khet Sone Ki Baaliyo Se Bhar Gaya,Yahaa Tak Ki Sona Is Ke Kinaaro Se Baahar Girne Laga. Aur Dusra Tukda “Jau” Ke Khet Ke Upar Gayaa, Jis Se Woh Khet Chaandi (Silver) Se Labaalab Bhar Gayaa. Yahaa Tak Ki Uss Ke Kinaare Se Baahar Girne Lage. Iss Tarha Aap Ki Badhaali Tangdasti Aur Gareebi Jo Ki Eik Imtehaan Thi Allah Taala Ne Use Bhi Door Kar Diya. Aur Aap Ko Pahele Se Bhi Jiyada Maal–O–Daulat Ataa Farmayee . (Allahu Alam)
Eik Riwaayat Me Hai Ki Allah Taala Ne Aap Ki Aulaade Jo Faut (Marr, Death) Ho Chuki Thi Unhe Dubara Zinda Kar Diya. Ya Aap Ko Un Faut (Death) Huyee Aulaado Ke Badle Me Nek Aur Saaleh (26) Aulaade (Ladke Aur Ladkiya) Ataa Farmayee. Aur Aakhirat Me Inn Sabhi Ko Jannatul Firdaus Me Zamaa Karega Aur Inn Par Apna Rahemo Karam Tamam Karega.
Aur Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ne Jo Bimaari Ki Haalat Me Apni Biwi Ko (100) Kodhe Maarne Ki Qasam Khayee Thi. Uss Par Allah Taala Ne Huqum Diya Ki “Aap Apni Qasam Na Todhe Aur Apni Biwi Ko, Jo Ki Nek Khaatoon Hai Aur Jinhone Aap Ki Timaardari Ki Aur Aap Ka Saath Na Chhodha, Tamaam Dukh Dard Aur Takleef Ke Bavojood Bhi Aap Se Wafaa Nibhayee, Isiliye Aap Unhe (100) Tinko Ka Muthhthha (Guchcha) Lekar Maare Aur Apni Qasam Poori Kare.”

Noor Aqsa

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.

Share
Published by
Noor Aqsa

Recent Posts

Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात)

शब्-ए -बरात बेशुमार हैं शब् -ए-बरात यानि 15th शाबान में बख्शीश व मगफिरत वाली रात…

2 years ago

Shab E Barat 2022: इबादत की रात शब-ए-बारात, जानिए कब और कैसे मनाया जाता है|

शब्-ए-बरात की रात मुस्लिम समाज के लोग मस्जिदों और कब्रिस्तानों में अपने और पूर्वजों के…

2 years ago

शब-ए-बारात 2022 (SHAB-E-BARAT FESTIVAL)

शब-ए-बारात - शब-ए-बारात का पर्व मुस्लिमों द्वारा मनाये जाने वाले प्रमुख पर्वों में से एक…

2 years ago

शब् बरात के बारे मे कुछ जरुरी बातें |

शब-ए-बारात दो शब्दों, शब[1] और बारात [2]से मिलकर बना है, जहाँ शब का अर्थ रात होता है वहीं बारात का…

2 years ago